Transliterated Islamic Poetry

Discussion in 'Poetry' started by Ridwi, Sep 9, 2011.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    dil se hazār baar Madīnah tujhe salām
    ‘allāmah nisār ‘alī ujāgar​

    dil se hazār baar Madīnah tujhe salām,
    Âqa ka tū dayār Madīnah tujhe salām

    laraeb khaare dashte Madīnah ke ĥusn par,
    qurbān lālazaar Madīnah tujhe salām

    tujhse mittī hamesha merī bekarāriyāN,
    tū dil ka hai qarār Madīnah tujhe salām

    toote mera jo dum tu Madīnah ho saamne,
    yeh dil kī hai pukaar Madīnah tujhe salām

    Taybah se duur kaise ujāgar rahega ab,
    mushkil hai intizār Madīnah tujhe salām

    ---

    recited here
     
  2. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    jo banauN par hai baĥār-e chaman ârayee dost
    imām ahl as-sunnah, aála ĥazrat imām aĥmad razā khān raĥimahullah​

    jo banauN par hai baĥār-e chaman ârayee dost,
    khuld ka naam na le, bulbul-e sheda’yee dost

    thak ke baithe tu dard-e dil pe Tamanna’ee dost,
    kaun se ghar ka ujāla nahīN zebā’yee dost

    sharm se jhuktī hai, meĥrāb ke sājid haiN ĥuzūr,
    sajdah karwātee hai kaabe se JabeeN sā’yee dost

    taaj walauN Ka yahāN khaak pe maatha dekha,
    saare daara’uN kī, daara huee, daarā’yee dost

    thoor par koyee, koyee charkh pe yeh ‘arsh se paar,
    saare bāla’ūN pe, baala rahī, bālā’yee dost

    anta feehim ne, ‘uduw ko bhī liya dāman maiN,
    ‘aysh jāwed mubārak tujhe sheda’yee dost

    ranj ae’da ka razā, chaara hee kya hai ke unhe,
    aap gusthāk rakhe ‘ilm-aw-shaqe bā’yee dost
     
  3. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    banda milne ko karīb-e ĥazrat-e qādir gaya

    banda milne ko karīb-e ĥazrat-e qādir gaya
    imām ahl as-sunnah, aála ĥazrat imām aĥmad razā khān raĥimahullah​

    banda milne ko karīb-e ĥazrat-e qādir gaya,
    lamah’e bātin maiN gumne jalwa’e zāhir gaya

    terī marzī pa-gayā sūraj phira ulte qadam,
    terī unglee uth gayee mah ka kaleja chir gaya

    terī rehmat se safīullah ka bhera paar tha,
    tere sadqah se najīullah ka bajra tir gaya

    terī âmad thī ke baytullah mujre ko jhuka,
    terī haybat thee ke har bhut thar-thara kar ghir gaya

    mumin unka kya hua, allah uska ho gaya,
    kāfir unse kya phira, allah hee se phir gaya

    woh ke us darr ka hua, khalq-e khuda uskī huee,
    woh ke us dar se phira, allah usse phir gaya

    raĥmatul-lil alamīn! âfat maiN hooN kaisī karooN,
    mere mawla maiN tu is dil se bala maiN ghir gaya

    wāsita pyāre ka aisa ho ke jo sunnī mare,
    yooN na farmāyeiN tere shāhid ke woh fājir gaya

    thawkareiN khaate phirau ge, unke dar par, par raho,
    qafila tu ae raza awwal gaya, âkhir gaya
     
  4. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    tū sham-e risālat hai ‘ālam tera parwāna
    hudūr muftī al-aázam hind mawlana Mustafa razā khān noorī​

    tū sham-e risālat hai ‘ālam tera parwāna
    tū maahe nabuwwat hai ae jalwa’e jānā-na

    jo saaqī-e kauṣar ke chehre se niqāb uthe,
    har dil bane meh-khāna har ânkh ho pemānah

    dil apna chamak uthe īmān kee tal’at se,
    kar ânkheiN bhī nūrānī ae jalwa’e jānā-na

    har phool maiN boo terī, har sham’a maiN zau terī,
    bulbul hai tera bulbul, parwana hai parwana

    peete haiN tere dar ka, khaate haiN tere dar ka,
    paanī hai tera paanī, daanah hai tera daanah

    har aarzū bar âye, sab hasrateiN pūrī hauN,
    woh kaan zara dhar kar, sunle mera afsānah

    gir-par ke yahāN pohancha, marr-marr ke isse pāya,
    choote na ilāhī ab, sang-e dar-e jānā-na

    woh kehte na kehte kuch, woh karte na karte kuch,
    ae kaash woh sun lete, mujh se mera afsānah

    ânkhauN maiN merī, tū âa, aur dil maiN mere bas-ja,
    dil shaad mujhe farma ae jalwa’e jānā-na

    [dunya maiN mujhe apna, tum ne tu banāya hai,
    maHshar maiN bhī keh dena, yeh hai mera deewāna]

    sarkār ke jalwauN se, raushan hai dil-e noorī,
    ta-Hashr rahe raushan, noorī ka ye kāshānah
     
  5. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    yes brother you have permission, edit where you please if any mistakes in transliteration.
     
  6. brother ridwi, may I have your permission to use your transliterations and translate them into english?

    sallu alal Habib! صلى الله عليه وسلم
     
  7. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    bāgh jannat ke haiN baĥr-e madh khawān-e ahle bayt
    ustādh-e zaman, shahenshāh-e sukhn, mawlana ĥasan razā khān​

    bāgh jannat ke haiN baĥr-e madh khawān-e ahle bayt,
    tum ko muzhda nār ka ae dushmanān-e ahle bayt

    ramz ka medān banā hai jalwa gah-e ĥusn-aw-‘ishq,
    karbala maiN ho rahā hai imtihān-e ahle bayt

    unkī paakī ka khudāye paak karta hai bayāN,
    âyah’e tathīr se zāhir hai shān-e ahle bayt

    Mustafa ‘izzat barhāne ke liye ta’zīm deN,
    hai buland iqbāl terā dūdmāne ahle bayt

    phool zakhmauN ne khilāye haiN hawāye dost ne,
    khoon se seencha gayā hai gulstān-e ahle bayt

    hūreiN kartī haiN ‘arūsan-e shahādat ka singīr,
    khubarū dulhā bana hai har jawān-e ahle bayt

    unke ghar be-ijāzat jibrā’il âte nahīN,
    qadr wāle jānte haiN qadr-aw-shān-e ahle bayt

    ae shabāb-e fasl-e gul yeh chal gayī kaisī hawā,
    kut raha hai lehlahātā būstān-e ahle bayt

    kis shakī kī hai hukūmat hāye kyā andher hai,
    din dahāre lut raha hai karāwān-e ahle bayt

    haak par ‘abbās-aw-‘usmān ne alambardār haiN,
    bekasī ab kaun uthāye ga nishān-e ahle bayt

    jum’ah ka din hai kitābeiN zeest kī-teh kar ke aaj,
    khelte haiN jān par shehzādgān-e ahle bayt

    terī qudrat jānwar tak âb se serāb haiN,
    pyaas kī shiddat maiN tarpe be-zābān-e ahle bayt

    qāfila sālār manzil ko chaleiN haiN saunp kar,
    wāris-e be wārisāN ko kārwān-e ahle bayt

    fātima ke lādle ka âkhrī dīdār hai,
    ĥashr ka hangāma barpa hai mayān-e ahle bayt

    waqt-e âkhir keh rahā hai haak maiN milta suhāg,
    lo salâm-e âkhrī ae bevgān-e ahle bayt

    bāgh jannat chaur kar âye haiN meĥbūb-e khudā,
    ae zahe kismat tumhārī kushtagān-e ahle bayt

    koyee kyūN pooche kisī ko kyā garaz ae bekasī,
    âj kaisā hai marīz-e nīm jān-e ahle bayt

    ghar lutānā jān denā koyee tujh se seekh le,
    jān-e ‘ālam ho fidā ae khāndān-e ahle bayt

    sar shahīdān-e muĥabbat ke haiN nezauN par buland,
    aur oonchī kī khudā ne qadr-aw-shān-e ahle bayt

    daulat-e dīdār paayī paak jāneiN bech kar,
    karbala maiN khoob hee chamkī dūkān-e ahle bayt

    apnā sawda bech kar bāzār sūna kar gaye,
    kaunsī bustī basāyī tājrān-e ahle bayt

    ahle bayt paak se gusthakiyāN be-bakiyāN,
    la’natullahi ‘alaykum dushmanān-e ahle bayt

    be-adab gusthāk firqa ko sunā de ae ĥasan!,
    yūN kahā karte haiN sunnī dāstān-e ahle bayt

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  8. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    ustādh-e zaman, shahenshāh-e sukhn, mawlana ĥasan razā khān writes:

    kare chāra sāzī ziyārat kisī kī,
    bhare zakhm dil ke malāhat kisī kī

    khuda ka diya hai tere paas sab kuch,
    tere hote kyā hum ko hājat kisī kī

    dam-e ĥashr ‘āasī maze le rahe haiN,
    shafā’at kisī kī hai, raĥmat kisī kī

    na puhanche-ge jab tak gunahgār unke,
    na jāyegī jannat maiN ummat kisī kī

    khuda se du’â hai ke hungām-e rukhsat,
    zabān-e ĥasan par ho midĥat kisī kī [zawq-e na’at]

    -----

    i couldn't find this in zawq-e na'at, i must've have missed it, does anyone know what page it is on?
     
  9. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    murādeiN mil rahī haiN
    ustādh-e zaman, shahenshāh-e sukhn, mawlana ĥasan razā khān

    murādeiN mil rahī haiN shaad shaad unka suwālī hai,
    labauN pe iltija hai, haath maiN Roze kī jālī hai

    terī sūrat, terī sīrat zamāne se nirālī hai,
    terī har har ada pyāre, dalīl-e be-misālī hai

    bashar ho ya malak jo hai, tere dar ka suwālī hai,
    terī sarkār wāla hai, tera darbar-e ‘āalī hai

    woh haiN Allah wāle jo tujhe wālī kaheiN apna,
    ke tū Allah wāla hai tera Allah wālī hai

    fakīrauN be nawā’o apnī apnī jhauliyāN bhar lo,
    ke baara bhut rahā hai fayz par Sarkār ‘aālī hai

    nikāla kab kisī ko bazm-e fayz ‘āam se tumne,
    nikālī hai tu âne wāloN kī hasrat nikālī hai

    khudā shāhid ke Rawz-e ĥashr ka khatka nahīN rehta,
    mujhe jab yaad âata hai ke mera kaun wālī hai

    faqat itna sabab hai ine’qād-e bazm-e maĥshar ka,
    ke Unkī shān-e Maĥbūbī dekhāyī jāne wālī hai

    sharaf Makkah kī bastī ko, mila Taybah kī bastī se,
    Nabī wālī hee ke sadqe woh Allah wālī hai

    wohī Wālī, wohī Âqa, wohī Wāriṣ, wohī Mawla,
    maiN unke sadqe ja’ooN aur mera kaun wālī hai

    murādauN se tumhīN dāman bharo ge na-murādauN ke,
    gharībauN bekasauN ke aur pyāre kaun wālī hai

    tumhāre dar, tumhāre âastāN se maiN kahāN ja’ooN,
    na koyee mujh sa-bekas hai, na tum sa koyee wālī hai

    ĥasan ka dard, dukh, mawqūf farma kar bahālī do,
    tumhāre haath maiN dunya kī mawqūfī bahālī hai

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  10. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Rukh Din Hai Ya Mehr-e Samā[n]
    Imām Ahl as-Sunnah Imām Aĥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Rukh Din Hai Ya Mehr-e Samā[n], Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]
    Shab Zulf Ya Mushq-e Khuta, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]]

    Mumkin Mai[n] Yeh Qudrat Kaha[n], Wājib Mai[n] ‘Abdīyat Kahā[n],
    Hayrā[n] Hoo[n] Yeh Bhī Hai Khatā, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Haq Yeh Ke Hai[n] abde ilāh Aur Ālam-e Imkā[n] Ke Shāh,
    Barzakh Hai[n] Woh, Sirre Khuda, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Bulbul Ne Gul Unku Kahā Kumree Ne Sarwe Jānfiza,
    Khayrat Ne Jhunjhlā Kar Kaha, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Khurshīd Tha Kis Zawr Par Ya Barh Ke Chamka Tha Qamar,
    Be-Pardah Jab Woh Rukh Huwa, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Dar Tha Ke ‘Isiyā[n] Kī Saza Ab Hogī Ya Roze Jazā,
    Dee Unkī Rehmat Ne Sadā, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Koyee Hai Nāzā[n] Zuhd Par, Ya Husn-e Tawbah Hai Si’par,
    Yaa[n] Hai Faqat Terī ‘Ata, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Din Lahw Mai[n] Khauna Tujhe, Shab Subh Tak Sawna Tujhe,
    Sharm-e Nabī Khawf-e Khuda, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Rizq-e Khuda Khāya Kiyā, Farmān-e Haq Taala Kiya,
    Shukr-e Karam Tars-e Sazā, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    Hai Bulbul-e Rangī[n] Rizā, Ya Thūthiye Nagmah Sira,
    Haq Yeh Ke Wāsif Hai Tera, Yeh Bhī Nahī[n] Woh Bhī Nahī[n]

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  11. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Bulalo Phir Mujhe
    Abul Bilal Mawlana Muĥammad Ilyās Qâdrī Razawī

    -----

    Bulalo Phir Mujhe Ae Shāh-e Bahr-aw-Bhar Madīne Mai[n],
    Mai[n] Phir Rawta Hua Âa’o[n] Tere Darr Par Madīne Mai[n]

    Mai[n] Pochanchū[n] Kue’e Jaanā[n] Mai[n] Garībā[n] Chaak Seena Chaak,
    Girā De Kaash Mujh Ko Shawq Tarpā Kar Madīne Mai[n]

    Madīne Jaane Wālo Jā’o Jā’o fī amānillah,
    Kabhī Tu Apna Bhī Lag Jaaye Ga Bistar Madīne Mai[n]

    Salām-e Shawq Kehna Hājiyau Mera Bhī Raw Raw Kar,
    Tumhai[n] Aaye Nazar Jab Roza-e Anwar Madīne Mai[n]

    Piyām-e Shawq Lete Jā’o Mera Qāfile Wālo,
    Sunānā Dāstān-e Gham Merī Raw Kar Madīne Mai[n]

    Mera Gham Bhī Tu Dekho Mai[n] Para Hoo[n] Duur Taybah Se,
    Sukū[n] Paaye Ga Bas Mera Dil-e Muztar Madīne Mai[n]

    Na Ho Mayūs Deewāno Pukāre Jā’o Tum Unku,
    Bulayeinge Tumhai[n] Bhī Ek Din Sarwar Madīne Mai[n]

    Wasīlah Tujh Ko [A]bū Bakr-aw-‘Umar, Usmān-aw-Haydar Ka,
    Elāhī Tū ‘Ata Karde Hamai[n] Bhī Ghar Madīne Mai[n]

    Madīne Jab Mai[n] Pohanchū[n] Kaash Aisa Kayf Târī Ho,
    Ke Rawte Rawte Ghir Ja’oo[n] Mai[n] Ghush Kha Kar Madīne Mai[n]

    Wahā[n] Ek Saanṣ Mil Jaaye Yahee Hai Zeest Ka Haasil,
    Woh Qismat Ka Dhanee Hai Jo Gaya Dam Bhar Madīne Mai[n]

    ‘Ata Kardo, ‘Ata Kardo Baqī-e Paak Mai[n] mud-fan,
    Merī Ban Jaaye Turbat Ya Shah-e Kausar Madīne Mai[n]

    Madīna Is Liye ‘Attār Jaan-aw-Dil Se Hai Pyāra,
    Ke Rehte Hai[n] Mere Âqa Mere Dilbar Madīne Mai[n]

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  12. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Sar Sue’e Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kyā

    Sar Sue’e Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kyā
    Imām Ahl-as Sunnah Imām Aĥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Sar Sue’e Roza Jhuka Phir Tujh Ko Kyā,
    Dil Tha Sājid Najdīyā Phir Tukh Ko Kyā

    Baithte, Uthte Madad Ke Waaste,
    Ya Rasūlullah Kaha Phir Tujh Ko Kyā

    Bekhudī Mai[n] Sajdah-e Darr, Ya Tawāf,
    Jo Kiya, Acha Kiya Phir Tujh Ko Kyā

    Unku Tamlīk-e Maleek al-Mulk Se,
    Mālik ‘Aalam Kaha Phir Tujh Ko Kyā

    Ya ‘Ibādī Keh Ke Hum Ko Shāh Ne,
    Apna Banda Kar Liya Phir Tujh Ko Kyā

    Deo Ke Bandau[n] Se Kab Hai Yeh Khitāb,
    Tū Na Unka Hai, Na Tha, Phir Tujh Ko Kyā

    Najdī Marta Hai, Ke Kyūn Ta’zīm Kī,
    Ye Hamāra Deen Tha, Phir Tujh Ko Kyā

    Deo Tujh Se Khush Hai, Phir Hum Kya Karai[n],
    Hum Se Rāzī Hai Khuda, Phir Tujh Ko Kyā

    Deo Ke Bandau[n] Se Hum Ko Kya Araz’,
    Hum Hai[n] Abd-ul Mustafa, Phir Tujh Ko Kyā

    Teri Dauzakh Se Tu Kuch Cheena Nahī[n],
    Khuld Mai[n] Pohancha Riza Phir Tujh Ko Kyā
     
  13. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Tum Zaat-e Khuda Se Na Judā Ho Na Khuda Ho
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Tum Zaat-e Khuda Se Na Judā Ho Na Khuda Ho,
    Allah Ko Ma’lūm Hai Kya Jaane Kya Ho

    Yeh Kyū[n] Kahū[n] Mujh Ko Yeh ‘Atā Ho, Woh ‘Atā Ho,
    Woh Do Ke Hamesha Mera Ghar Ka Bhalā Ho

    Jis Baat Mai[n] Mash-hūr Jahā[n] Hai Lab-e Îsā,
    Ae Jaan-e Jahā[n] Woh Terī Thawkar Se Ada Ho

    Mittī Na Ho Barbād Pas-e Marg-e Ilâhī,
    Jab Khaak Ure Merī Madīne Kī Hawa Ho

    Mangta Tu Hai Mangta Koyee Shāhau[n] Mai[n] Dekha De,
    Jis Ko Mere Sarkaar Se Tukra Na Mila Ho

    Har Waqt Karam Bandah Nawāzī Pe Tula Hai,
    Kuch Kaam Nahī[n] Is Se Burā Ho Ke Bhalā Hai

    Allah Yunhee Umr’ Guzar Jaaye Gadā Kī,
    Sar Kham Ho Dar-e Paak Par Aur Haath Utha Ho

    Shabaash Ĥasan Aur Chamaktī Sī Ghazal Par,
    Dil Khawl Kar Aa’eenah Īmā[n] Kī Jila Ho
     
  14. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Tum Par Salām Har Dam
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Ae Deen-e Haqq Ke Rehbar, Tum Par Salām Har Dam,
    Mere Shafī-e Meĥshar Tum Par Salām Har Dam

    Is Bekas-aw-Hazī[n] Par Jo Kuch Guzar Rahee Hai,
    Zāhir Hai Sab Woh Tum Par, Tum Par Salām Har Dam

    Banda Tumhāre Darr Ka Âafat Mai[n] Mubtala Hai,
    Rehm-e Habīb-e Dāwar, Tum Par Salām Har Dam

    Be Wārisau[n] Ke Wāris, Be Wālīyau[n] Ke Wāli,
    Taskīn-e Jaan-e Muztar, Tum Par Salām Har Dam

    Lillah Ab Hamārī Faryād Ko Pahunchiye,
    Behad Hai Haal Abtar, Tum Par Salām Har Dam

    Koyee Nahī[n] Hai Mera, Mai[n] Kis Se Daad Chahū[n],
    Sultān-e Bandah Parwar, Tum Par Salām Har Dam

    Bulwa Ke Apne Darr Par, Ab Mujh Ko Dījiye ‘Izzat,
    Phirte Hoo[n] Khawār Dar Dar, Tum Par Salām Har Dam

    Muhtāj Se Tumhāre Karte Hai[n] Sab Kināra,
    Bas Ik Tumhee Ho Yāwar, Tum Par Salām Har Dam

    Koyee Nahī[n] Hamāra, Hum Kis Ke Darr Par Jayei[n],
    Ae Bekasau[n] Ke Yāwar, Tum Par Salām Har Dam

    Apne Gada-e Darr Kī, Lījiye Khabar Khudārā,
    Kījiye Karam Ĥasan Par, Tum Par Salām Har Dam

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  15. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabī ‘Azīz
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Jitna Mere Khuda Ko Hai Mera Nabī ‘Azīz,
    Kawnayn Mai[n] Kisi Ko Na Hoga Koyee ‘Azīz

    Kyūn Jayei[n] Hum Kahī[n] Ke Ghanī Tum Ne Kar Diya,
    Ab Tu Yeh Ghar Pasand Yeh Darr Yeh Galī ‘Azīz

    Jo Kuch Terī Riza Hai Khuda Kī Wohee Khushī,
    Jo Kuch Terī Khushī Hai, Khuda Ko Wohee ‘Azīz

    Gau Hum Namak Harām, Kameen-e Ghulām Hai[n],
    Qurbān Phir Bhī Rakhtī Hai, Rehmat Terī ‘Azīz

    Shān-e Karam Ko Ache Bure Se Garaz Nahī[n],
    Usku Sabhī Pasand Hai[n], Usku Sabhī ‘Azīz

    Mangta Ka Haath Utha Tu Madina Hee Kī Taraf,
    Tera Hee Darr Pasand Âya, Terī Hee Galī ‘Azīz

    Kawnayn De Diye Hain, Tere Ikhtiyār Mai[n],
    Allah Ko Bhī Kitnī Hai Khātir Terī ‘Azīz

    Qur’ân Kha Raha Hai Ussī Khaak Kī Kasam,
    Hum Kaun Hai[n] Khuda Ko Hai Terī Galī ‘Azīz

    Dil Se Zara Yeh Kehde Ke Unka Ghulām Hoo[n],
    Har Dushman-e Khuda Ho, Khuda Ko Abhī ‘Azīz

    Taybah Ke Hote Khuld-e Barī[n] Kya Karū[n] Ĥasan,
    Mujh Ko Yahee Pasand Hai, Mujhe Yahee ‘Azīz
     
  16. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Manqabat Khalīfa-e Awwal rađiyAllāhu ánhu
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Bayā[n] Ho Kis Zubā[n] Se Martaba Siddīq-e Akbar Ka,
    Hai Yaar-e Gaar Mahbūb-e Khuda Siddīq-e Akbar Ka

    Ilâhī Reham Farma Khādim-e Siddīq-e Akbar Hoo[n],
    Terī Rehmat Ke Sadqe Wāsita Siddīq-e Akbar Ka

    Rusul Aur Ambiya Ke Ba’ad Jo Afzal Ho Aalam Se,
    Yeh Aalam Mai[n] Hai Kis Ka Martaba Siddīq-e Akbar Ka

    Gadā Siddīq-e Akbar Ka Khuda Se Fayz Leta Hai,
    Khuda Ke Fazal Se Mai[n] Hoo[n] Gada Siddīq-e Akbar Ka

    Nabī Ka Aur Khuda Ka Madh Gau, Siddīq-e Akbar Hai,
    Nabī Siddīq-e Akbar Ka, Khuda Siddīq-e Akbar Ka

    Hue Fārūq-aw-Usmān-aw-‘Alī Jab Dākhil-e Bay’at,
    Bana Fakhre Salāsil Silsila Siddīq-e Akbar Ka

    ‘Alī Hai[n] Uske Dushman Aur Woh Dushman ‘Alī Ka Hai,
    Jo Dushman ‘Aql Ka Dushman Hua Siddīq-e Akbar Ka

    Lutāya Rah-e Haqq Mai[n] Ghar Kayee Baar Is Muhabbat Se,
    Ke Lut Lut Kar Ĥasan Ghar Ban Gaya Siddīq-e Akbar Ka

    -----

    recited by owais qadri, here
     
  17. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Tumhāra Naam Musībat Mai[n] Jab Liya Hoga
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Tumhāra Naam Musībat Mai[n] Jab Liya Hoga,
    Hamāra Bigra Hua Kaam, Ban Gaya Hoga

    Gunahgār Pe Jab Lutf Aap Ka Hoga,
    Kiya Beghayr Kiya, Be Kiya, Kiya Hoga

    Khuda Ka Lutf Hua Hoga Dastagīr Zarūr,
    Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga

    Koyee Kahe Ga Duhāyee Hai Ya RasūlAllāh,
    Tu Koyee Thaam Ke Daaman Machal Gaya Hoga

    Kisī Ko Leke Chalei[n] Ge Farishte Sue’e Jaheem,
    Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga

    Nishan Khusrawe Dee[n] Duur Ke Ghulāmo[n] Ko,
    Liwa-e Hamd Ka Parcham Bata Raha Hoga

    Pakar Ke Haath Koyee, Haal-e Dil Sunāye Ga,
    Tu Rau Ke Qadmau[n] Se Koyee Lipat Gaya Hoga,

    Hazār Jaan Fida Narm Narm Paoo[n] Se,
    Pukār Sunke Asīrau[n] Kī Daurta Hoga

    Woh Paak Dil Ke Nahī[n] Jis Ko Apna Andesha,
    Hujum-e Fikr-aw-Taradud Mai[n] Ghir Gaya Hoga

    Koyee Karīb-e Tarāzū, Koyee Lab-e Kausar,
    Koyee Sirāt Par Unku Pukārta Hoga

    Shakistah Pahoo[n] Mera Haal Kee Khabar Kar Do,
    Koyee Kisī Se Yeh Rau Rau Keh Raha Hoga

    Zabān-e Sūkhī Dekha Kar Koyee Lab-e Kausar,
    Janāb-e Paak Ke Qadmau[n] Pe Lawt Ta Hoga

    Kahai[n] Ke Aur Nabī izhabū ilā ghayrī,
    Mere Huzūr Ke Lab Par anā lahā hoga,

    Maqām Fasilau[n] Par Kaam Mukhtalif Itne,
    Woh Din Zahūr-e Kamāl-e Huzūr Ka Hoga

    ‘Azīz Bache Ko Maa[n] Jis Tarah Talāsh Kare,
    Khuda Gawah Yahee Haal Âap Ka Hoga

    Ghulām Unkee Ināyat Se Chayn Mai[n] Honge,
    ‘Aduw Huzūr Ka Âafat Mai[n] Mubtala Hoga

    Du’a-e Ummat-e Badkār Wird-e Lab Hogī,
    Khuda Ke Saamne Sajde Mai[n] Sarr Jhuka Hoga

    Mai[n] Unke Darr Ka Bhikārī Hoo[n] Fazl-e Mawla Se,
    Ĥasan Faqīr Ka Jannat Mai[n] Bistara Hoga


    -----

    recited by owais qadri, here
     
  18. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    jazakAllah for link, beautifully recited
     
  19. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    owais recites this beautifully, here.
     
  20. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Bakhte Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jaane Na Diya
    Muftī al-Aázam Hind Mawlana Mustafa Razā Khān Noorī raĥīmahullah

    -----

    Bakhte Khufta Ne Mujhe Roze Pe Jaane Na Diya,
    Chashm-aw-Dil Seene Kaleje Se Lagāne Na Diya

    Ah Qismat! Mujhe Dunya Ke Ghamau[n] Ne Rauqa,
    Haaye Taqdīr Ke Taybah Mujhe Jaane Na Diya

    Paoo[n] Thak Jaate Agar Paoo[n] Banāta Sarr Ko,
    Sar Ke Bal Jaata Magar Zau’f Ne Jaane Na Diya

    Sarr Tu Sarr Jaan Se Jaane Kī Mujhe Hasrat Hai,
    Mawt Ne Haaye Mujhe Jaan Se Jaane Na Diya

    Sajdah Karta Jo Mujhe Iskī Ijāzat Hotī,
    Kya Karū[n] Izn Mujhe Iska Khuda Ne Na Diya

    Hasrat Sajdah Yunhee Kuch Tu Nikaltī Lekin,
    Sarr Bhī Sarkaar Ne Qadmau[n] Pe Jhukāne Na Diya

    Sharbat-e Deed Ne [Aur] Âag Lagādī Dil Mai[n],
    Tapashe Dil Ko Barhāya Hai Bujāne Na Diya

    Ab Kahā[n] Jaaye Ga Naqsha Tera, Mere Dil Mai[n],
    Taeh Mai[n] Rakha Hai, Isse Dil Ne Gumāne Na Diya

    Nafs-e Badkaar Ne Dil Par Yeh Qiyāmat Tawree,
    ‘Aml-e Nekh Kiya Bhī Tu Chupūne Na Diya

    Mere Aa’māl Ka Badla Tu Jahannum Hee Tha,
    Mai[n] Tu Jaata, Mujhe Sarkaar Ne Jaane Na Diya

    Mere Aa’māl Ne Seyah Ne Kiya Jeena Dū Bhar,
    Zehr Khāta, Tere Irshād Ne Khāne Na Diya

    Aur Chamaktī Sī Ghazal Koyee Parhau Ae Noorī,
    Rang Apna Abhī Jamne Shu’ra Ne Na Diya
     

Share This Page