Imam Ahmad Raza: mas'ala e afzaliyat ijmaiýah ĥai

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by Ridwi, Jun 5, 2011.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    ḥakīm al-ummat állāmah muftī Aḥmad yār khān naéymī rehmatullah álayh tehrīr farmātay haiN:

    baád anbiyāá Abū Bakr Ṣiddīq ke bara parhayzgār honā bhi Qurân se saabit, aur baṙay parhayzgar ka afzal honā bhi Qurân se saabit, lehāza afzalliyat e Ṣiddīq qatí ĥai, is ka munkir gumrāh hai. (tafsir nur ul irfan, pp. 983)
     
  2. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    zarb e haydri, pp. 154

    sadr al-fādhil sayyid nayīm ud-dīn murādabādī raĥimahullah farmatay haiN:

    Ahl e Sunnat ka is par ijmaá ĥai ke anbiyá álayhis salātu was salām ke baad tamām áalam se afzal hazrat Abū Bakr Ṣiddīq ĥaiN, unkay baad hazrat Úmar, unkay baad hazrat Úsmān aur unkay baad hazrat Álī rađiyAllāhu ánhum.
    aagay farmatay haiN:

    ibn Ásākir ne hazrat Ibn Úmar rađiyAllāhu ánhuma se riwāyat kee farmaya hum Abū Bakr, Úmar o Úsmān o Álī ko fazeelat detay thay. Sarwar e Akram álayhis salātu was salām hum maiN tashreef farma thay. (sawaneh karbala)
     
  3. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    imam abu AbdAllah Zahbi Amir al-Mu’mineen Mawla Ali rađiyAllāhu ánhu se tafzil e Shaykhayn rađiyAllāhu ánhuma ka ba-tawātur manqul hona zikr kar ke farmatay haiN,

    Khuda rāfziyoN ka bura karay, kis qadar jaahil haiN yáni Hazrat Mawla kee muhabbat ke dawah phir inka aysa sareeh khilāf. (as sawaiq al-muhriqqah, pp. 90 - 91, kutub khaana majeediya. Multan)
    fatawah khulasa maiN hai,

    rawāfiz maiN se jo Hazrat Ali radiyAllahu anhu ko doosroN par fazeelat de, woh bidáti hai. (khulasat ul-fatawah, kitab as-salah, vol. 1, pp. 149, maktabah rashidiya. kuwayta)
    fath al-qadeer maiN hai,

    rawāfiz maiN se jo Hazrat Ali radiyAllahu anhu ko Khulafaye salasa par fazeelat de, woh bidáti hai. (fath al-qadeer, kitab as-salah, baab al-imamah, vol. 1)
    bahr ar-rayiq maiN hai,

    rāfizi agar Hazrat Ali radiyAllahu anhu ko doosroN par fazeelat de, tu woh bidáti hai. (al-bahr ar-rayiq, kitab as-salah, baab al-imamah, vol. 1, pp. 611, maktabah rashidiya, kuwayta)
    allamah ali barjandi sharh niqayah aur allamah shaykh zaadah majma’ al-anhar maiN farmatay haiN,

    rāfizi agar Hazrat Ali radiyAllahu anhu ko doosroN par fazeelat de, tu woh bidáti hai. (majma’ al-anhar, kitab as-salah, baab al-jama’ah, vol. 1, pp. 163, al-maktabah al-ghaffariyah. kuwayta)
    shams qahsitani kee sharh niqayah maiN hai,

    jo Hazrat Ali radiyAllahu anhu ko Shaykhayn rađiyAllāhu ánhuma par fazeelat de us kee imamat makruh (tahreemi) hai. (jami’ al-ramuz lil-qahsitani, vol. 1, pp. 172, maktabah islamiyyah. tehran)
    ashbah wa al-naza’ir maiN hai,

    agar Mawla Ali radiyAllahu anhu ko Shaykhayn rađiyAllāhu ánhuma se afzal bataye tu bidáti hai. (ashbah wa al-naza’ir, pp. 159, dar al-kutubul ilmiyyah. beirut)​

    ---

    matla al-qamarayn, pp. 166 - 167. Maktabah Bahar e Shariat
     
  4. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    i was reading siraj al-awarif by siraj al-arifeen sayyid abul husayn Ahmad noori raheemahullah.

    ---

    the shaykh stated,

    After the rank of the Prophets is the rank of Sayyiduna Abu Bakr as-Siddiq radiyAllahu anhu, then Sayyiduna Umar al-Faruq radiyAllahu anhu, then Sayyiduna Uthman al-Ghani radiyAllahu anhu and then Sayyiduna Ali al-Murtadah radiyAllahu anhu. This is also the correct sequence of the office of Khilafah. (siraj al-awarif, pp. 51)
    on pp. 66 it is stated that the Grand Shaykh (Qutb al-Waqt Shah Aale Rasul Ahmadi al-Husayni) said,

    The highest ranking in this Ummah is that of Sayyiduna Abu Bakr as-Siddiq, then Sayyiduna Umar al-Faruq, then Sayyiduna Uthman al-Ghani then Sayyiduna Ali al-Murtadah radiyAllahu anhum. (siraj al-awarif, pp. 66) ​
     
  5. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    sadr as sharia, mufti amjad ‘ali aazmi alayhir rahmah, bahar e shariyat maiN farmatay haiN,

    baad anbiya o mursalin tamām mahlukāt ins o jin o malk se afzal Siddiq e Akbar haiN phir Umar Fāruq e Aazam phir Usmān Ghani phir Mawla Ali rađiyAllāhu ánhum. jo shaqs Mawla Ali karam ullah wajhahul kareem ko Siddiq ya Faruq rađiyAllāhu ánhuma afzal banaye gumrah, bad-mazhab hai. (bahar e shariyat, part 1, pp. 46, sect. imāmat ka bayan, Mumtaz Academy. Lahore).​
     
  6. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Sharh maiN hai,

    haasil yeh ke tafzil e Siddīq Quran o Ḥadīth o Ijmaá e ummat se saabit, jo is ka inkaar karay kareeb hai ke us ke īman maiN khatr o intiha. (Sharh Badá al-Amali)
    ajab is se jo Ijmaá e Saḥāba o Tabíeen o kāf'fahí Ahl e Sunnat ka khilaf karay phir (apnay) aap ko Sunni jaanay, ae aziz! jaisay tamām imāniyāt par yaqeen laanay se aadmī musalmān hota hai aur eyk ko inkār kāfir o murtad kar deta hai, issī tarah Sunni woh jo tamām áqayed e Ahl e Sunnat maiN unke mawāfiq ho agar eyk maiN bhi khilāf karta hai har-giz Sunni nahīN bidáti hai, issī liye Úlamā e deen Tafziliyah ko SunniyoN maiN shumār nahīN kartay aur unhaiN Ahl e Bidat kee shaakh jaantay haiN.

    Matla al-Qamarayn, pp. 163 – 164, Maktabah Bahar e Shariat
     
  7. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Imam Ahmad Raza álayhir rahmah states in Matla al-Qamarayn,

    Imām álām Abū Zakariyyah Muḥiyy al-Millah wad-din Nawawī rehmatullah álayh Sharh Sahīh Muslim Shareef maiN farmatay haiN,

    sunniyoN ne ittifāq kiya ke afzal e Sahâba Abu Bakr haiN, phir Umar. (Sharh al-Nawawi ala Sahīh Muslim, Kitab Fadayel as-Saḥāba, vol. 15, pp. 148, Dar al-Kutub ul-Ilmiyyah. Beirut)
    aur farmatay haiN,

    Abu Mansur Baghdadi farmatay haiN hamaray ashaab ijmaá kiye huay haiN ke afzal e Saḥāba Khulafaye Arba’a haiN, tarteeb e mazkoor par. (Sharh al-Nawawi ala Sahīh Muslim, Kitab Fadayel as-Sahâba, vol. 15, pp. 148, Dar al-Kutub ul-Ilmiyyah. Beirut)
    Tahzīb al-Asmaá wa al-Lughāt maiN farmatay haiN,

    Ahle Sunnat ne ijmaá kiya ke, mutlaqan sab Saḥāba se afzal Abū Bakr phir Úmar.
    Imam Ahmad bin Muhammad Khateeb Qastalani, Irshad al-Sari Sharh Sahīh al-Bukhârī maiN farmatay haiN,

    Anbiyā álayhis salatu was salām ke baád afzal ul-bashar Abū Bakr rađiyAllāhu ánhu haiN aur salaf ne unke afzal e ummat honay par ittifāq kiya, Shāfiýī waghayra is amr par ijmaá e Saḥāba o Tabi’een naql kartay haiN. (Irshad al-Sari Sharh Sahīh al-Bukhârī, vol. 6, pp. 430, under Hadīth 3655, Dar ul-Fikr. Beirut)
    Mawāhib al-Ladunniya maiN farmatay haiN,

    Ahle Sunnat ke nazdeek bil-ijmaá afzal as-Saḥāba Abū Bakr haiN phir Úmar. (al-Mawahib al-Ladunniya, vol. 2, pp. 545, Dar al-Kutubul Ilmiyyah. Beirut)
    Állāmah Fasi, Sharh Dalayel al-Khayrat maiN farmatay haiN,

    Hamaray Aaqa Ṣiddīq e Akbar rađiyAllāhu ánhu ke tamaam Saḥāba se afzal honay par ijmaá hai. (Mutale al-Musarraat, pp. 147, Maktabah Nooriyah Razawiyyah. Pakistan)
    Bustan Faqeeh Abul Layth maiN hai,

    Imam Muhammad bin Fadl farmatay haiN sunniyoN ka ijmaá hai ke is ummat ke behtar baad Nabī śallAllāhu álayhi wa sallam ke, Abū Bakr haiN phir Úmar. (Bustan al-Aarifeen, pp. 129, Dar al-Kutubul Ilmiyyah. Beirut)
    matla al-qamarayn, pp. 160 – 162, Maktabah Bahar e Shariat.
     
  8. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Imam Ahmad Raza álayhir rahmah stated:

    jaana jis ne jaana aur falāḥ paayee agar maana, aur jis ne na jaana woh ab jaanay, ke, ḥazrat sayyid ul-múminīn imām al-muttiqīn Ábd Allah bin Uthman Abi Bakr Ṣiddīq e Akbar o janab amīr al-múminīn imām al-áadilīn Abū Ḥafs Úmar bin al-Khattāb Farūq e Aázam rađiyAllāhu táālā ánhuma wa ardahuma ka janab e Mawla al-múminīn imām al-wāsilīn Abū al-Ḥasan Álī bin Abī Tālib Murtadah asad-ullah karam ullah wajhahu, balke tamām SaĤâba Kiram riDwan-ullah táālā álayhim ajmaeen se afzal o behtarīn ummat (hona masalaýe) ijmaiýah ĥai.
    matla al-qamarayn, pp. 157 – 158, Maktabah Bahar e Shariat.
     

Share This Page