nice urdu ash'ār

Discussion in 'Poetry' started by Bazdawi, May 16, 2017.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

    nice twist, brother abu Hasan, to the one I mentioned below.

    That was also aimed at the "lip service" of some of our fiery orators......

    ،یہ مسائل تصّوف یہ تیرا بیان غالب
    تجھے ہم ولی سمجھتے جو نہ بادہ خوار ہوتا
     
    Unbeknown and Bazdawi like this.
  2. Abu Hamza

    Abu Hamza Well-Known Member

    mujhe khaab mai hi nazāra kara dai
    madine ki dil kash nazāro sai keh do

    zamāne ke ando kau ahmad ki manzil
    bata dau zara tees paro sai keh do

    Muhammad challe suay arsh e-āzam
    adab sai rahe chānd tāro sai keh do

    صلي الله تعالي عليه و اله و سلم
     
  3. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    jān dī? dī huī usī kī thī -
    Haq to yun hai keh haq adā nah huā.
     
  4. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    na masayil e tasawwuf, na tera bayan ghalib
    nahin hum wali samajhtey go na baadah khwar hota

    --
     
    Bazdawi likes this.
  5. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    hai Ghafil - woh kya jagah he jahan:
    panch jaate hai, chaar phirte hain!
     
  6. ridawi

    ridawi Muhammadi Sunni Hanafi

    din lahw meiN khonā tujhey, shab şub’ĥ tak sonā tujhey
    sharm-e-nabīy, khauf-e-khudā, yeh bhi nahiN woh bhi nahiN
     
    Bazdawi likes this.
  7. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

    ،یہ مسائل تصّوف یہ تیرا بیان غالب
    تجھے ہم ولی سمجھتے جو نہ بادہ خوار ہوتا
     
    Bazdawi likes this.
  8. Noori

    Noori Senior Moderator

    طاعت میں تا رہے نہ مے و انگبیں کی لاگ
    دوزخ میں ڈال دو ،کوئی لے کر بہشت کو
     
    Bazdawi likes this.
  9. Noori

    Noori Senior Moderator

    saraapa rehn e ishq o na guzeer e hasti
    ibaadat barq ki karta hoN awr afsos hasil ka (ghalib)

    سراپا رہن عشق و ناگزیر الفت ہستی
    عبادت برق کی کرتا ھوں اور افسوس حاصل کا
     
    Bazdawi likes this.
  10. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    ghayr apne hogaye jo hamare badal gaye,
    nazraiN badal gayi to nazārei badal gaye.

    kis ko sunayyega yahaN gham ki dāstān,
    jo gham mai saath dete woh saare badal gaye.

    is daur e maslihat mai wafa koyi shay nahiN,
    gaahe huwe hamare, to, gaahe badal gaye.

    Akhtar lagayye lo, nabi e kareem se,
    kya fikr ahl e duniya jo sitare badal gaye!
     
    Unbeknown likes this.
  11. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    in an age where people would have you believe that - the public loving you or hating you is all that counts, this quatrain of Ala Hazrat, translated by Muhaddith e Azam Hind, is perfect!

    na mujhe mad'ĥ ki khwahish, na mujhe khaţra e zam
    na kisī wāh kī parwāh, na kisī āh kā gham
    maiN huN us gosha e tanhāyī ka rahne wāla
    key jahāN chand kitābeN haiN dawāt aur qalam.
     
    Abu Hamza and Unbeknown like this.
  12. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    mai to is waste chup hu keh tamasha na bane,
    woh samajhte hai hamein un se gila kuch bhi nahi.
     
    Unbeknown likes this.
  13. Abu Hamza

    Abu Hamza Well-Known Member

    can you perhaps provide a translation to this?

    jazak'Allāhu khayr
     
  14. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    Khatka nahin hai Zafar tujhe,
    Jo Khuda kahe tujhe barmala;
    Tujhe hai waseela rasool ka,
    Wo tumhara hami kar hai.
     
    Abu Hamza likes this.
  15. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    ghayr ki baat tasleem kya kijiye?
    ab to khud par bhi ham ko bharosa nahi!
    apna saya samajte the jin ko kabhi -
    woh juda hogaye, dekhte dekte.
     
    Abu Hamza and Unbeknown like this.
  16. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    i thought it would be nice to post some urdu verses as i didnt see any thread like this - feel free to post.
     

Share This Page