Biography In Urdu Gaus-e-zaman, Kutubul waqt Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma(rah)

Discussion in 'Siyar an-Nubala' started by mazhar_rk, May 17, 2009.

Draft saved Draft deleted
  1. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

  2. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    New Web Site On This Great Kutub a must see

    Visit the link below to see the site of the great Aulia Allah who was the Gaus, Kutub and mujaddid of his time in his life he has shown many miracels visit the site to know all about him.

    http://silsila-e-rehmani.webs.com/
     
  3. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    web site on silsila-e-rehmani very great Aulia Allah

    visit the link below to read the biography of this great Aulia Allah of his time for whom the KABA Sharif came to see him.


    http://silsila-e-rehmani.webs.com/index.htm
     
  4. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    Yes brother u are write but the reason i have written sayed is Hazrat Sarkar Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) from his moter side is a Hassani wa Hussaini Sayed and Maa Khaton-e-Jannat Bibi Fatema(razi-an-laho-ta-al-anha) has told Hazrat Sarkar Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) when he meet her in divine presence that ur are Biradare(brother) of Hassan wa Hussain(razi-an-laho-ta-al-anhu) and after saying this she kissed his Forehead.
    So after saying this golden words by Maa Khaton-e-Jannat Bibi Fatema(razi-an-laho-ta-al-anha) he is bound to be a sayad if i am not mistaking what if he has not taken birth physically in that family but was spiritually blessed by the great family and was accepted as a son by Maa Khaton-e-Jannat Bibi Fatema(razi-an-laho-ta-al-anha).

    I hope u under stand why i have written sayed, if u want to know any thing more plz ask.
     
  5. saghe_jilani

    saghe_jilani New Member

    With no disrespect towards this great Awliya-Allah , Just have a small question.

    You mentioned that he is among the 31st descendant of Of Amir Al Momineen Sayyedina Abu Bakr As Siddiq Radi Allahu ta'ala anhu , That mean's this great Wali was Siddiqui, Then why are you writing Syed , Syed's are written only with the descendant of Sayyidul Mursaleen Sayyedina Muhammad Mustafa sallal lahu alaihi wa aalihi wa sallam.

    Yes you can Write Syedi or Sayyedina with that Buzurg but i dont think Syed.

    Correct me if i am wrong.

    JazakAllahu Khayrun
     
  6. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    Ya Fazle Rehma Karam Sarkar.
     
  7. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    want to know any thing more about this kamil buzurg-e-kamil plz feel to ask me
     
  8. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    If any one from india or abroad wants to visit the mazar sharif plz ask me for the adress.
     
  9. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    The Urs-e-pak of Gaus-e-zaman, Kutubul waqt Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma(rah) is starting from 30 March.
     
  10. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    Ya Fazle Rehma Karam
     
  11. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    Allah tala ne ye sari kayinat ko banaye to sirf aur sirf apne mehboob Hazrat Mohammad Mustafa (صلى الله عليه وسلم.S) ka martaba logo ko batane ke liye ke mere mehboob mere liye kya hai. Warna Allah ko koi zaroorat nahi thi hum jaise ghunhagaroon ki na to wo hamari ibadat ka mauhtaj hai na hamari kisi cheej ka balki hum uske har tarah se mauhtaj hai. Is duniya ko sajane ke baad usne har waqt hum ko gumrahi se bachane ke liye nabiyon ko bheja jo hame sahi rah dikhate rahe. Aur ek waqt aya ki sare nabiyon ke sardar ka ana hua jin ka nam hi isme azam hai aur har marz ke dawa hai mere aur hum sab ke pur noor jinke liye sari tariff choti hai Hazrat Mohammad Mustufa(صلى الله عليه وسلم.S) ka ana hua. Aap din-e-Islam apne sath laye aur puri insaniyat ko anmol tohfa diya Jis se insaniyat aj tak us din ke rehmat se sarabor horahi hai.Ye who din tha jo Allah ko khud sabse zyada pasand tha. Hamare pyari nabi ke bad to nabuwat ka silsila ruk gaya uske bad Aulia e karam ka silsila shuru hua jo Imam Aul Aulia Hazrat Maula Ali Muskil Khusha(raz) se aage bada. Allah ne apne mehboob ke bad in aulia karam se kam liya jo din-e-Islam ko duniya ke har ek kone me failane ka kam karte rahe hai aur hum ghunhagaroon ko Allah aur uske mehboob Hazrat Mohammad (صلى الله عليه وسلم.S) ke sunnato aur nek rah pe chalne ka tarika dekhatey rahey aye hai.

    Aaj mai ap logo ko aise hi bakamal buzurg Gaus-e-Zaman, Kutub-e-Dauraan, Imam-e-mujaddine Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke bare mai batane wala hun jinki puri zindagi logo ko rahe haq aur ishq-e-Mohammadi(صلى الله عليه وسلم.s) ki talim dete hue guzar gayi. In Buzurg ke bare main jo bhi likha jaye kum hai. Ye wo buzurgi rakne wale buzurg the ki jinka taskara arsh se farsh tak har jagah hota tha.
    Inki Buzurgi aur ishq ka ye allam tha ki jab chahte Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.S) ka didiar karlete. Hazrat Waris Ali Shah to ye farmate hai ki Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) wo buzurg hasti hai ki jinhone ne kabhi bina Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.S) ko puche mureed hi nahi banya. Ab aap log khud andaza laga sakte hai ki kya martab hoga Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah). Aulia Allah apni sari zindagi nikal dete hai bus ek baar de dar-e-mustafa(صلى الله عليه وسلم.S)ke liye aur Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka martaba to dekhiye ki jab chahte Huzoor Hazrat Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.S) ka didar karliya karte the. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke bare mai kaha jata hai ki ye jab jisko chahte Hazrat Mohammad Mustafa (صلى الله عليه وسلم.S) ke bargah me khada karte the aur didar kara dete(SubhanAllah).

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) ke murred aur janashine khalifa the. Aap ka khooni rishta in charo salasil ke buzurgo se hai Qadri, Chisti, Nakshbandi, Shorwardi aur aap in hi silsile me logo ko bayat karte the.
    Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rah) 1160 hijri mai paida hui they. Aap Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rah) se murred hue aur bad mai unse hi khilafat hasil hui. Hazrat Khwaja Ziaullah Shah(rah) ke parde ke bad ap ne apne aage ke talim Hazrat Mir Dard(rah) jo khalifa the Hazrat Mohammad Nasir Andalib(rah) ke aur unke hi bete the.
    Allah tala ne Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rah) ko kubule aam farmaya tha aur unko Sher-e-Aafaq banadeya tha. Delhi se Kabul tak logo ne Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) se faiz uthaya khud Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) Kabul tashrif le gaye aur Zama Shah Shah-e-Afghanistan ko murred banaya.
    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ki hamrey pir Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) 10,000 martaba durood sharif aur 50,000 martaba kalmaye tayab roz padte they. Aur 10 se 12 kuran sharif tahajud me padne ka mamul tha. Aur 10 Quran Sharif ke pare itne der me padte ki logo ko lagta ki ek para hi padha hoga. Aur 5 times salato tasbhi padhte. Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) bahut narm dil aur mohabbati the. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ki un ki pir sahab Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) sari batien sunnat ke mutabik hi karte the. Shah Ghulam Ali dhelvi (rah) aksar apne mureedon ko talim ke bad Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rah) ke pas talimat ke liye bheja karte the.
    7 moharam 1251 Hijri ko ) Hazrat Shah Mohammad Afaq Sahab(rah) ka is duniya e fani se parda hua. Aap ke mazare sharif Delhi main Mughalpura, Golden Jaipur Transport, Roshan Azad Road, ke pass hai. Hakikat mai ye jagah par rehmat wo noor ki barish dikhti hai aur zahir mai ek aam jagah se lagti hai.


    Khandane Fazle Rehmani :

    Walid Ke taraf se Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) 31st generation main Hazrat Abu Bakra Siddiqui(raz) se jake milte hai. Aur walda de taraf se apka rishta Hassani wa Hussani Sayed hai. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke walid ka nam Ahlullah Miya(rah) hai aap ka nikah Mohtarama Basirat bibi sahiba se hua. Jo Hazrat Rehmat-ullah shah(rah) ke beti hai. Hazrat Rehmat-ullah shah(rah) dadhiyali taur se aulad e khas Hazrat Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi(rah) se hai. Makhdoom Sayed Alauddin Sahab Sandhelvi(rah) ka nasbi taluk Hazrat Sayed Nasiruddin Chiragh Dhelvi(rah) aur Hazrat Sayed ShahBhuddine Soharwardi(reh) wa aulad Khwaja-e-Khwajgan Hazrat Sayed Bahauddin Nakshbandi (reh) se hain.
    Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) Mallawan Sharif Ke Rehne Wale the,aap ki paydayish bhi Mallawan Sharif main hui thi. Mallawan district unnao (U.P) main ek kasba hai jahan par Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke dada Huzoor Hazrat Sayed Makhdoom Misbah Piya urf maggan miya ki mazare akdas hai.
    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) in ki 7wi pusht(generation) main ate hai.
    Hazrat Sayed Makhdoom Misbah Piya ke bare main ye kaha jata hai ki ye ishq-e-nabi main aise dube hue the ki in ki surrat(face) mubarak puri tarah hum sab ke pyar Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s) se milti thi is wajah se kafi Aulia Allah ap ke ziyarat ke liye ate the. Aur ap ke jalal ke kya baa tap jis darakht(tree) ko dekhlete the wo suookh jaya karta tha Allah ho Akbar. Is par aap Allah se kehte is me mera koi kasoor nahi hai ye bhi teri diye hui sift hai. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki 2 shadi hui thi ek Mallawan sharif main aur dusre Gunjmuradabad sharif main, aap ka silsila Gunjmuradabad Sharif se aage bada hai. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke dusri biwi se 2 sahab zade hue Pehle Ka Naam Hazrat Sayed Ahmed Miyan Sahab(rah) jin se Silsilae Rehmani Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke parde ke baad aage bhada, aur dusre baite ka naam saidu baba tha jo ki paydayshi mazoob the, Hazrat Sayed Ahmed Miyan Sahab(rah) ke 2 baiten hue Hazrat Sayed Rehmatuallah miyan Sahab(rah) jo ki apne waqt ke .Abdaal guzre hai aur dusre baiten Hazrat Sayed Nematuallah Miyan Sahab(rah) jo itne sakhi the ki agar raste main koi bina Kapde dikhaye deta to apna kapda
    Utar kar use de dete the. Hazrat Sayed Rehamatuallah Sahab(rah) ki aulad bachpan main hi parda kargaye thi. Hazrat Sayed Nematuallah Miyan Sahab(rah) ke 2 shadi hui pehli biwi se Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rah), aur dusre Hazrat Sayed Shah Mohammad Miyan sahib (rah). Aur dusri biwi se Hazrat Sayed Afaq Sahab(reh), Hazrat Sayed Fazlu Miyan, Hazrat Sayed Rafiq Miyan. Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rah), aur Hazrat Sayed Shah Mohammad Miyan (rah) ko baad main Hazrat Sayed Shah Rehmatuallah Miyan Sahab(rah) ne god leliya, aur Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rah) aur Hazrat Sayed Shah Mohammad Miyan Sahab(rah) ko sari talimat zaheri wa bateeni dilane ke baad apna ja nashein banaya aur silsile Fazle Rehmani ko age badhane ki zimmedari un ke khandon par de aur Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman(rah) ko gadi nashien banaya. Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rah) neb hi ye zimedaari bakhubi nibhai aur silsile Fazle Rehmani ko duniya ke hark kone me phailaya, un ki buzurgi ka bhi kya kehna tha unka jina hi tha ishq Fazle Rehman ke liye aur razae Sarware kaynat(صلى الله عليه وسلم.s) aur Allah ke liye. In hone ne apni zindagi main bahut se karishme dikhaye hai, jinhe bayan karne ke liye ek alag bab likhna hoga inki zindagi par. Hazrat Mohammad Miyan Sahab(rah) bhi bahut kamala ke buzurg guzre hai in ki sari raat ibadat aur riyazat main guzarti thi, ek baar aap ne apne ek mureed ko jo haj pe jane ka kahish mandh tha par malihalat thik na hone ki wajah se nahi ja pa raha tha usko Kaba Sharif aur Madina Sharif apne hath mubarak main dikha diya tha, in hone ne bhi silsile Fazle Rehmani ko khub Failaya.
    Ye faiz Fazle Rehman hai ki unke khandan ke har bachha noori hai. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) par Allah ke Habib ka kuch khas hi karam hai ye unki hi dua hai ke aj . Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke khandan me har sathvi(7th) pusht main ek Kutub Paiyda honte hai, abhi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke 7th pusht ki shuruwat ho chuki hai ab dekhye kaun hai wok hush nasib jis ke ghar ye kutub paiyda hote hai.
    Waise to is khandan har bachha wali hai bus us ko Ishq Ilahi ki aag main apne aap ko ek baar dal dena hai aur fazle Habib(صلى الله عليه وسلم.s) ke sadke noori bun ke nikalna hai. Jis Jis ne aisa kiya aur fanaiyat ki taraf rukh kiya who faiz pata gaya aur faizane Fazle Rehmani ke sarparsti main najat patagaya aur dosre ke liye bhi najaat ka zariya banta chala gaya.


    Buchpan Se Shauk-E-Riyazat :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke paidayish 1st Ramzan-ul-mubarak 1208 hijri main hui thi. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka buzurgi ka andaza is baat se laga sakte hai ki in ke naam ka aur in ki paidayish ki adad(total) ek hi hai 1208. Aap ke paidayish ke waqt lag raha tha ki har jagah noor ki barish ho rahi hai. Aap ne pure Ramzan-ul-mubarak ka mahine apni maa ka dudh magrib ke baad hi piya, din bhar aap auron ki tarah roze se rehte(SubanAllah) Bachpan se hi allah ki yaad me magan rehte aur aksar tanha rehna pasand karte. Jab bacche inhe khelne ko bulate to wo un se kehte ki main is liye nahi paiyda hua hun.
    Maulvi Haider Ali shah(rah) Khalifa Hazrat Shah Mohammad Aafaq Sahab(rah) Mallawan me raha karte they ek din Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne pucha Maulvi Haider Ali shah(rah) se ki ap aksar garden kyun jhuka liya kartein hain. Maulvi Haider Ali shah(rah) ne jawab diya ki beta zikre ilahi karta hun. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne kaha ke mera bhi ji chahta hai ke mai bhi zikre ilahi karun aur Maulvi Haider Ali shah(rah) se kaha ki wo unko bhi sikha de zikre ilahi karna ye baat tab ki hai jab Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke umar sirf 3 ya 4 sal kit hi. Maulvi Haider Ali shah(rah) ne unko talim dena shuru kiya chand hi mahine me aahate kuwat ruhani Maulvi Haider Ali shah(rah) ke hat se bahar hogayi to miyan Haider Ali shah(rah) ne delhi apne murshid ke khidmat mai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko bhej diya. 9 sal ke umar bhi nahi hone payi thi ki walid ka saya Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke sar se uth gaya, aap ki walda ne uske bad apki parwarish ki, aap bhi khub dil laga ke ullom wa din hasil karte rahein.

    Karmate Buchpan :

    1) Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) khud irshad farmate hai ki humko bachpan mai hi Huzoor Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.S) aur Sahaba-e-Karam(raz) ki ziyarat aksar hua karti thi. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko bachpan se kubuliyat amaa hasil rahi. Insaan to insaan Haiwan bhi ap ke ghulam the. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ki Bachpan mai humne kabutar pale ek kabutar ko billi(cat) le bhagi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne billi(cat) se kaha chod de ushi waqt billi(cat) ne kabootar chod deya.
    2) Ek bar ek bhediya ek chote se bache ko uta kar bhag rahe the sab log us bhediya ke piche bhage bache ko bachane jab wo bhediya ka guzar Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke samne se hua to Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne us bhediya ko ghur ke dekha bus itna karma tha ki wo bhediya wahi bache ko chod kar bhag khadi hui. Us waqt bhi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki umar 4 se 5 saal ki hogi.
    3) Ek bar Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) logo ke bahot zid karne par shikaar par gaye bahut der pareshan hone par bhi logo ke hath koi shikaar na laga. Bahut dur logo ko hiran(deer) ka tola(group) ate hue dikha logo ne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se nishana lagane ko kaha Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne nishana to nahi lagaya par buland awaz se hirano(deer) se mukhatib kiya aur farmaya ki tum me se ek hiran(deer) mere pass ajaye aur baki wapas chale jayee ye sunte hi ek hiran dauda chala aya log khus hogaye aur hiran ko zinda hi ghar le jane ki tayari karne lage. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne logo se farmaya ke is din hiran le yahan ake tumlogo ka dil rakh liya ab tum log is hiran ko azad kardo. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) yeh baat sun kar logo ne hiran ko azzad kardiya(subhanallah).

    Ye kuch karamat thi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) agar unki buchapn ki karamat hi likhne pe aoo to page kam pad jayege.

    Hurane Bahist Ka Salam :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ek bar wo tifli mai apne kothe(terrace) par baithe hue the ki bahar se logo ne shor machaya ko khote par aurate kaise khadi hai phir thodi dir me sab gayab hogayi(subhanallah) kya madarzat kutbiyat wa alwaye muratib thi ki buchpan se hi hoorein salam ko atei thi.

    Ahteyate Adab Sayyad :

    Shijrae tayba ke tafsil se ye malum ho gaya tah ki Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) Walid Ke taraf se 31st generation main Hazrat Abu Bakra Siddiqui(raz) se jake milte hai. Aur walda de taraf se apka rishta Hassani wa Hussani hai. Magar Qurban jaye kya adab tha Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka ki kabhi mureed apko lafz sayyed se khitab farmate to aap adab ke lihaz se mureedon ko mana kar dete ki unhe sayyed na pukaro aur aitaraz jatate.

    Nisbat-e-Mustafai(صلى الله عليه وسلم.s) :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka Ishq Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) se kuch aisa tha ki lafzo main bayan nahi kiya ja sakta hai unki har ada hi Raza-e-Mohammad(صلى الله عليه وسلم.s) thi. Unka uthna bolna baithna chalna yahan tak ki sans lena bhi Ishq-E-Mustafa mai tha(subhanallah). Aap Farmate ki jin galiyon se Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) guzre hai un galiyon ke kuchon ko main apni palkon ke baharun. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ki ek bar unki Zaujaye Hayat(Wife) un ke sath baithe hue the to hamare pyare Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s) tashrif late hai ek pir zada Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke khidamt mai tashrif laya to Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s) ko dekhte hi behoosh hogaya hosh an eke baad Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne pucha ki arey bhai behosh kaise hogaye to us pir zade ne jawab diya ki Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s) ke Jamaal se behosh hogaya to Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne farmaya ke bus ek hi jhalak main ye haal hai.
    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) farmate hai ki ek Bar aap ne Hazrat Maula Ali Mushkil Khusha(raz) ko dekkha who mujhse farmate hai ki andar ajaao mujhe badi hichak lagi phir aapne dubara kaha to mai adban andar aagaya to wahan Hazrat Khatoon-e-jannat Maa Fatima(raz) ko dekha unhone mujhe beta kehkar apne sine mubarak se lagaleya aur aksar unke khwab me didar deti. Hazrat Ayesha Siddiqa(raz) bhi isi tara Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko chahti thi aur jab bhi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) bimar hote to ap unke paas tashrif lati tashrif lane par fauran Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki tabiyat thik hojati (SubhanAllah).

    “Ek ye gahr hai ke goya maktabe Jibrile”
    Warna Din-e-Madarse mai mausami talim hai”

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne irshad farmaya ki ye wo masjid hai jahan Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) aksar tashrif late the aur Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) ne is masjid main namaz bhi padhi hai (SubhanAllah). Jo koi is masjid main kadam rakhega uski akbat bakhair hogi. Dada Miya Rehmatuallah Miyan Sahab jo Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke Pote hai unse bhi yahi malum hua hai. Aap farmate hai Yahan Huzoor Gaus-e-Pak(raz), Hazrat Nizamuddin Aulia(rah) aur digar aulia-e-karam aksar tashrif late the. Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri(rah) farmate hai ki unhone khud masjid Fazle Rehmani main Mujaddid Alif Sani(rah) aur Huzoor Gaus-e-Pak(raz) ko tashrif farma dekha hai.
    Yahi wo cheez hai jis ko samajh kar dil ye kehne par majboor hojata hai ki

    “Nabi Se Is Kadar Maksoos Ye The Qurb Nisbat Main
    Ke Karta Tha Khatir Fazl-e-Rehma Fazle Rehma Ki
    Khuda Ke Panjatan Ke Char Yaro Ke Hasin Jalwe
    Janab Fazle Rehma Mai Hai Panah Dekhne Wale” (SubhanAllah)

    Basharat-e-Mustafai(صلى الله عليه وسلم.s) :

    Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rah) jo Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke mureed the farmate hai k eek bar wo bahut pareshan the ki akhirat mai unka anjaam bakhair hoga ki nahi ye baat Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) apne kashf se malum karli. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne Maulvi Sayed Mohammad Ali Mungeri (rah) se farmaya ki ek baar un ko bhi yahi ahsas satane laga tha ki akhir unka akhirat mai kya hoga, bus itna sochna tha ki, Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko Hamare pyare nabi(صلى الله عليه وسلم.s) ke basharat hui aur hamare pyare nabi(صلى الله عليه وسلم.s) ne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se farmaya kit tum kya Fazle Rehma jo tum se mohabbat karega uska bhi anjaam bakhair hoga.
    “Nakirine(maut ka farishta) puchte hi the ki itne me nida aye
    Ise mat chedo ye dewane Fazle Rehma hai” (subhanallah).

    “Kiska Muqaddar Sajil Hai Ki Pahonche Tujh Tak
    Kaun Jane Kahan Tak Hai Wilayat Teri”


    Shariyat Ke Bina Kuch Nahi :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) Sunnat ke sakth paband the. Aap Hamesha Hanfi Musale se itefaq rakhte the aur hamesha awal waqt jamat se 5 time namaz ada karte the. Aap farmate the ki sunnat hi gausiyat aur kutbiyat hai. Aap ne ye bhi farmaya ki Gaus ho ka Kutub jo khilaf-e-shara kare wo kuch bhi nahi. Durood Sharif Ke ahmiyat me farmate ki bakasrat(always) Durood Sharif pada karo. Mujhe jo bhi mila Durood Sharif se hi mila.

    Quran-E-Pak Ki Lazzat :

    Maulvi Tajamul Hussain sahib likhte hai ki ek roz Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) Quran Sharif ki tilawat kar rahein the achanak unpe kaifiyat tari hogayi Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne Maulvi Tajamul Hussain sahib se farmaya ke jitna lutf mujhe Quran Sharif padhne main ata hai us ka zar-raa(thoda) barabar bhi agar tumhe ajaye to tum hamari tarah baith na sako aur apne kapde phad kar jungle main nikal jao. Uske bad
    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne ek aah li aur apne hujre(hut) main chalegaye aur kai roz tak bimar rahie Kaifiyat tilawat-e- Quran Shariff ke wajah say.

    Karamat-E-Fazle Rehmani :


    1) Maulan Ahmed Raza Khan Urf Ala Hazrat (rah) Mulakat Ke liye Aaye :

    Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ramzan-ul-mubarak ke mahine main Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se mulakt ke liye aye jab aap Gunjmuradbad sharif pahuche to aap ne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke ghulam se arz kiya ki who Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se milna chahte hai ghulam ne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko is baat ki itela ki. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne ghulam se farmaya ki Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) se kehdo ki who ek Fakir ke paas kya lene aya hai un ke walid aalim unke dada aalim, Ghulam ne Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) se majra bata diya Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ne phir gujarish ki is bar Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne unko bula liya milne ke baad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se Milaad Sharif Ke bare main pucha us par Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne unse pucha ki tum Milaad Sharif ko kya samjhte hain is par Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ne jawab diya ki main Milaad Sharif ko Mujtahab janta hun is par Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne unse kaha ki main Sunnat manta hun aur aj se tum bhi sunnat mana karo. Us ke bad Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ne farmaya ki kuch nasihat karne ko
    Is par Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne farmaya ki Takfir main jaldi na kiya karo. Aur Kaha ki jo Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s.) ki bargah main gustakhi kare bila shubha kafir hai.
    Uske Bad apni kala(kharka ya topi) Mubarak unko de di aur unki le li. Ye tarika Sufiya main faiz ata karne ka tarika hai. Aur ye irshad farmaya jise kisi sayar ne bakhubi kalam bandh kiya hai.

    “Aapni topi tujhe de di teri od li
    Hazrat Fazle Rehma aur yun kahein
    Noor par Noor ata hai tujhme nazar
    Sayedi Murshedi Shah Ahmed Raza”

    Qurban jaye Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke sakhsiyat par ki ap kitna dikhte the aur aap Aashiq-e-Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) ko kaise nawazte the.
    Aur kaisa nawaza hai Maulna Ahmed Raza Khan Sahab(rah) ko ki aaj duniya bhar main log unke diwane hai aur silsila Ala Hazrat(rah) kaisa phal aur phool rahaa hai ye sab Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke daine hai.

    “Yahan Par Apne Paraye Ko Deka Nahi Jata
    Bata Karti Hai Yahan Par Muft Daulat Fazle Rehma Ki”

    Mere Peer Sahab ne Is Baat Par ek Sher Likha Hai

    “Mana Ki Sab Kuch To Waliyon Ki Hateli Main Hai
    Aur Fazle Rehma Ne Jinko Chamka Diya Wo Bareily Main Hai”.


    2 ) Kaba Sharif Ka Khud Ana :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) apni walida ke sath akele raha karte the ek din aap ka dil hua ki aap bhi Haj kar aye jab aap ne apni ammi se ijazt mangi to unki walda ne unse kaha ki main itne zaiyef (old) hogayi hun. Agar tum Haj pe chale jao ge to mera khyal kaun rakhega.Baad main kabhi chalejana ye sunkar aap ne jana cancel kardeya sirf apni walda ke raza ke Liye. Jab raat mai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) apne hujre main lete Hue the tab apne kya dekha ki Kaba Sharif Unke Samne Khada Hai aur Un se kehta hai Ke aai Fazle Rehma Dil chota na karo agar tum mere didar ko nahi asakte to kya main khud ayah hun tumhare didar ko aao mera tawaf karlo.(SubhanAllah) is wakiya se ap log jan sakte hai ki akhir Allah ne kaisa banaya hai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki zaat-e-pak ko.

    3) Namaz Main Kaba Sharif Samne Ana :

    Hazrat Waris Ali Shah(rah) jin ki mazar-e-akdas barabanki (u.p) main hai bahut paye ki buzurg guzre hai wo Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke nanihali(mother side) taur se rishtedar bhi lagte hai. Hazrat Waris Ali Shah(rah) Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko chachajan kehte aur aksar Gunjmurabad sharif aya karte the. Hazrat Waris Ali Shah(rah) namaz nahi padte the jis wajah se un ke mureed un par barabar akidat nahi rakhte the. Ek din jab Hazrat Waris Ali Shah(rah) apne mureedon ko sath Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke pass mulakat ke liye aye to Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne unse kaha ki aaj wo unke sath namaz padhe is par Hazrat Waris Ali Shah(rah) ne kaha bilkun Aap ke piche namaz ke liye kaun mana kar sakta hai. Namaz ke liye jaise hi logo ne niyat bandhi. Sub log kya dekh te hai ki woh saare log kaaba sharif ke saamne khadhe hai. Jaise hi salam phera gaya kaaba sharif nazaro se ja juka tha.ye majra dekh kar sab log hairan ho gaye. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne Hazrat Waris Ali Shah(rah) ke mureedo se farmaya ki “Tumhara PEER koi mamuli PEER nahi hai, dekha apne peer ka martaba roz apni namaz kaaba sharif me padhte hai. Ye sun kar mureedo ko apni galti ka ahsas hua,aur un logo ne Hazrat Waris Ali Shah(rah) se maafi mangi. Is par Hazrat Waris Ali Shah(rah) muskuraye aur Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) se farmaya ki aaj apne jo raaz maine barso se chupa rakha tha aaj apne khol diya .
    Is par Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne farmaya ki apko aaj namaz padhne mein kaisa lutf aaya? Hazrat Waris Ali Shah(rah) ne us par farmaya ki Chachajaan

    “Aise Namaziya Agar koi Padhaye to hum roz Padhab”.


    4) Dubte Jahaaz Ko Bacha lena :

    Ek baar bahut se Huj-jaje-karam(Haj Karne Wale) Pani ke Jahaaz se Haj Karne Jaa rahee the,achanak Samandar main bahut bada tufan aya us jahaaz par bahut mureed Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke bhi the jahaaz dubne wala tha ki sab logo ne apne peer sahib ko yaad kiya bus mureedon ka unko yaad karma hi tha aur unka madad ke liye anaa tha. Sare Mureedon ne dekha ke un ke peer-e-kamil ne jahaaz ko khanda dekar bawar se nikal diya aur sab ko bacha liya is tarah sab mureed haj kar aye bakhairiyat se.

    “Bacha Sako To Bacha Lo Ki Dubta Hun Main
    Tumhi To Ho Jise Kehte Hai Nakhuda-E-Duniya”.

    5) Logo Ko Huzoor(صلى الله عليه وسلم.s) Ki Bargah Main Khada Kardena :

    Ek baar kuch aalim baithe hue the aur hadis-e-pak ka zikr kar rahein the.
    Tirmaji Sharif ke koi hadis par bahesh chidi thi jab baat Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko pata chali to apne logo ko sahi hadis bataye is pur kuch ulma aitaraz karne lage bus kyat tha Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) jalal me agaye aur sab logo ko ankhen band karne ko kaha jaise hi logo ne ankhen bandh ki sab log apne ko bargahe Risalat(صلى الله عليه وسلم.s) me dekhte hai. Huzoor Pur Noor(صلى الله عليه وسلم.s) Farmatein hai ki ye hadis sahi hai aur Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) jo hadis farmatein hai wo bilkul sahi hoti hai kyun ki har hadis ki sehat Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne hum se ki hai. Ye sab dekhne ke baad sare logo pe ek ajab masti wa suroor ka alam cha gaya aur sab Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke zaat-e-paak ki bulandi dekh kar hairan rehgaye.

    6) Zubaan Se Farmate Hi Hafiz Hojana :

    Haafiz Adbul Rahim Khan Sahab Rehmani bade mukhlis asthana wa pa bandh shara the.3-4 din thair kar wo khidmat murshid karte phir wapas apne ghar ajate the. Ek din un ko ye tamana hui ki agar cha 32 bars ki umar ho chuki agar peer-o-murshid dua kardein to main Quran hifz karlu mauka pakar arz kiya ki mujhko tammana-e-hifz Quran hai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) sun kar khamosh rahein thodi der baad buland awaaz se is tarah pukar ki Haafiz Abdul Rahim Imamabadi Yahan aoo main fauran hazir hua to mujhey ruksat ki ijazat de di aamanabad pahuch kar jab maine tilawat Quran ki to maine kya dekha ki mujhe pura Quran Sharif hifz ho gaya hai aur main ache se ache haafiz se bhi acha haafiz hogaya sirf Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke zaban se Haafiz nikal ne ki barkat se.

    7) Murde Ko Zinda Kardena :

    Ek bar ek Hindu raja tha us ke koi aulaad nahi thi who har kaam panditon se puch kar karta tha bahut yagna kiye mandiron me matha teka magar kuch hasil na hua,usne Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke bare main kafi sun rakha tha ek din wo Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki khidmat main aya aur un se badi reham dili se aulad ke liye darkhast ki, Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne usko dua di ki ja tujhe ladka hoga aur ek batasha(sweet) diya aur kaha ki ise apne aurat ko khila dena aur takid ki, ki wo panditon ke chakkar main na pade aur bache ko Allah ke bharose chod de Allah ke karam se raja ke ghar ladka hogaya magar raja ki biwi ne panditon ka chakkr nahi choda, wo hark am panditon se puch kar karti, dhire dhire bache ki tabiyat kharab hone lagi aur ek time aya ki wo marne ke kareeb agaya raja ne har tarah se illaj karaya magar koi fayda nahi hua, akhir thak har kar raja ko phir Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke khidmat me apne bache ko lana pada, jab raja apne bache ke sath Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki khidmat main pahucha to bachha dum tod chuka tha, Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne farmaya ki ab kuch nahi ho sakta un hone use kaha ki jab mana kiya tha to panditon ke chakkar main kyun pada wo raja aur rani bahut roye aur mafi mangne lage Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko un par reham aya aur un hone us bache ke sar par
    “Allah Shafi Allah Kafi” padh kar ungli phir de aur wo bacha zinda hogaya(subanAllah)
    aur Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne raja se farmaya ki ye baccha 12 saal tak zinda rahega phir marjayega, aur aisa hi hua.

    8) Abe Zam Zam Ka Pani :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka ek mureed the wo ek baar haj karne gaye, ek din wo abe zam zam ke paas gaye aur apna lota dal kar paani bahrne lage ki achanak unka lota unke hath se chut gaya aur abe zam zam ka pani jahan se nikal raha tha us main gir gaya, aap bahut mayus hui aur wahan se wapas chale aye jab aap ki wapsi aapne watan hui haj karne ke baad to ek din aap apne pir sahib ke bargah main hazir huey.
    Shayad Namaz ka waqt ho gaya tha aap ne wazu ke liye kuan(well) main balti dali aur jab balti upar ghasti to jo dikha usse aap hairan hogaye aap ne apna wahi lota dekha jo wahan abe zam zam me gir gaya tha, ye lota lekar mureed fauran Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke paas pahuche aur sari baat bataye, Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne unki baat suni aur farmaya ki yeh kuan(well) ka pani abe zam zam se juda hua hai. Main is baat ka gawah bhi hun maine khud is mubarak pani ko piya hai beshak is paani main aur abe zam zam ke pani main koi farak nahi lagta..

    Fanaye Kamil :

    Karibul wafat 21wi ko 2 baje din ko Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne logo se farmaya ke mera intekal(death) hogaya hai hamari janaza ki namz padho aur agar koi na padhe to main khud hi padhleta hun. Isi ko Fana aur Baka Bhi kehte hai ki apni namaz-e-janaza khud padhana. Bataye apni maut ka waqt kaun jaan sakta hai pehle se magar qurban jaye zaate Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki Allah ne har raz pehle se hi khol diye the.


    Tarike Wafat :

    22 Rabi-ull-awwal 1313 hijri Juma ke roz 3 baje.Hazerein(Mureed) ka majma laga hua tha kasir tadad main. Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rah) ko aakhein(eyes) khol kar dekha phir unka hath apne hath main liya aur bahut kaske 2-3 minute tak pakde rahein kuch deir baad aap ne phir Sajjada Ahmed Miyan Sahab(rah) ko dekha aur haath chod diya aur ankhein bandh kar liye. Jis Tarah Allah Ke habib Hazrat Mohammad Mustafa(صلى الله عليه وسلم.s) apni ummat ke liye pareshaan rehtein aur har dum Allah ki bargah main apni ummat ki bakshish ki dua mangte rehte. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka bhi yahi haal tha wo apne mureedon aur apne azizon ke liye hamesha isi tarah pareshan rehtein the. Abhi unke wisal ke liye kuch ghante baki the dophar ke 3:30 baj rahe the. Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne apne dast(hands) mubarak uthakar nihayat khuzu se Allah ki bargah main dua farmaye ki Allah Pak Jalle Shanahu mere jumla mureedin, dost ahbaab, aziz wa akarib ko hamesha kush rakhe aur Allah sab ko khana khilata rahein, aur sab ka khatma bakhair ho(Aamin). Dhire dhire din dhalta gaya aur shyam hone lagi logo ki bhid badhti rahi, log zikr ilahi main mashgul the har jagah mano lag raha tha ki Allah ki rehmat jhama jham bars rahi hai, aur akhir wo waqt agaya magrib ka waqt ja chukka tha, dekhte hi dekhte Allah ka khas bande ki rooh ne is jism khaki ko chod diya aur alam-e-bala ki taraf parwaz kardi (In-na-Lill-lahe- wa-inna-ilaihe-rajioon).

    Assar Qubuliyat Wa Rehmat :

    Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke parda is duniyae fani se hochuka tha
    Unke jism akdas se aise khusbu arahi thi jise alfazon main bayan nahi kiya ja sakta jis kisi ka kapda apke jism akdas se chu jata usme bhi khushbu ane lagti. Aap ke kaul par amal kartein hue har kisi ne apne dil par jabar kiya tha.
    Agar koi chilla kar rota to fouran behosh ho jata. Jo log khamosh the unkey ankhon se ansoon jari the, har koi gum me mubteila tha chahe wo hindu ho ya musalman har kisi par qayamat barpa thi
    Anwar aur tajaliyaat ka kya zikr kiya jaye goya ek noorani chadar sab ko dhanke hue thi. Har taraf zikr-e-quran aur kalimaat horahe the aisa lag hi nahi raha tha Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ko dekh kar ki un ki maut hui hai balki aisa lag rahaa tha ki Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) har roz ki tarah aaram farmarahe hai. Aap Ka gusl sunnat ke mutabit karwayagaya. Janaza uthaya gaya khanda lagana duswar tha har jagah bhid ka jamghat tha, jisko bhi ye sharf mila such much nasib dar hai. Namaze janaza Peer Zada Hazrat Sayed Ahmed Miyan(rah) Ne padhaye thi. Janaza jaise hi gusl ke baad bahar nikla to jo log kandha diye huey they sab logo hairaan hogaye sab ke khande se janaza upar uth gaya tha sirf Peer Zada Hazrat Sayed Ahmed Miyan(rah) ka khanda ek taraf se janaze ko laga tha aur baki taraf se kuch gaibi logon ne janaze ko khande pe leliya tha. Aisa malum hota hta ki farishtey ya Allah ki koi khas makhluk unkey janaze ko khanda de rahein hai. Phir aap ki Mazare akdas tayyar ki gayi aur akhir main aap ke jism akdas ko dufn kar diya gaya. Aap ka Urs-e-pak 21 aur 22 rabi-ull-awwal ki chand ki tarikh ke hisab har saal khub dhum se machaya jata hai.

    Aap ki Mazar Sharif par pahunchne ke liye har kisi ko kanpur station jo (U.P) main hai utarkar kar Bus stad pe jakar Hardoi yaa Gujmuradabad Sharif ke liye bus pakadane hogi.
    Kanpur Se 2:30 ghante lagte hai Hazrat ki mazaar Sharif tak pahuchne main, Makhanpur Sharif Jahan Dada Zinda Shah Madar Ki mazaar-e-akdas hai 1 ghanta lagta hai, Gujmuradabad sharif sirf 40 km hai. Aane wale Lucknow Bus Stand Se bhi aa sakte hai wahan se bhi Bus Yahan Roz ati hai.
    Mere Maniye to main to kehta hun ki har kisi ko ek baar zaroor Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke mazar-e-akdas par hazri deni chahiye. Is Darbar ki azmat to sirf dekh kar hi jaani ja sakti hai. Main aap sab logo ko dawat deta hun ki aap log ek baar jis masjid main hamare pyare Nabi Huzoor Mohammad(صلى الله عليه وسلم.s) aye hai us jagah aap log nahi ana chahenge aur Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ne to khud hi farma diya hai ki is masjid main job hi kadam rakhega uski akhirat bakhair hogi, to kaun hai aaj apni akhirat ko bakhair karna nahi chahta hai.

    Doston ye sari baatein padne ke baad to aap log jaan hi chuke honge ki kaisi nirali zaat-e-pak hai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki, kis tarah aap logo pe nazre karam kiya karte aur din-e-islam ko fhailate rahein hai aur sunniyat ka jhanda gadte rahein, Hum sab ko chaheye ki aise bulandi rakhne wale buzurg se jitna zyada ho sake ishq karein aur apni akhirat sudhar lain. Is hakir fakir jo khandane Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka ek adna sa ghulam hai use ye sharf hasil hua ki wo is azim-o-shan buzurgi wale buzurg ke bare main kuch likh sake waise mere itne aukaat to nahi hai ki main unke wakya aur tarifaat bayan kar saku par jitney bhi taufik mujhe mili sab Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ka hi karam hai warna mujh nachiz ko kahan kuch at hai, Upar likhe huey bahot se wakyat aur tafsiraat maine apne pir-o-murhid Hazrat Sayed Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(rah) jo Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke pote hai unki likhi hui kitaab “Afzale Rehmani se liya hai. Mere Pir Sahab ne apni jindagi main bahut si kitab likhin hai jo zaat-e-pak Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ki puri zindagi aur unki kahi hui baton par hai, in kitabo ko agar koi phadle to usko aur kuch padhne ki zaroorat nahi hai uski poori zindagi sawar jayegi, In kitaboon main jism, rooh, barzak har chiz ko pak karne ka zikr kya hai aur kaise kiye jatein hai sab likha hua hai, jo aap ki akhirat ko sawaregi, har cheez sunnat aur hadis ke saye main hai, main niche in kitabon ke naam likh raha hun :
    1) Rehmat wa Nemat 2) Afzale Rehmani 3) Tirmadul Wahabin yeh kuch naam hai jo silsile Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke kitaabain hai .
    Agar mujh nachiz se upar likey hui baton main koi galti ho gayi ho to Allah Pak se dua hai ki wo apne habib ke sadke main mujhe maaf Karain(aamin). Agar aap log aur kuch jana chahte hai Hazrat Sayed Shah Fazle Rehma Gujmuradbadi(rah) ke barein main ya kuch aur baat puchne chahte hai to mujhe mail kar saktein hai mera email id hai :mazi_24fps@yahoo.co.in

    Allah Hafiz
    Mazhar Rehmani
     

Share This Page