Manqabat: Ahmad Raza ka taaza gulistaan hai aaj bhi

Discussion in 'Poetry' started by Qasim Hanafi Ridwi, Oct 31, 2013.

Draft saved Draft deleted
  1. Unbeknown

    Unbeknown Senior Moderator

    when we say 'mawt' are'nt we referring to the malkul-mawt? angles always carry out the commands given to them so this line would seem problematic in the sense that hazrat malkul mawt (alayhissalaam) is regretting something he has done or in other words regretting the carrying out of an order.........

    maybe i'm stretching this out, please excuse me. i'm not so well versed in urdu so i may be missing a metaphor. if you don't mind please explain. no offence meant.

    wassalaam
     
  2. Why is that you shouldn't objective without giving a reason.
     
  3. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    please edit to 1921
     
  4. Unbeknown

    Unbeknown Senior Moderator

    erm..this seems problematic
     
  5. Wisaal Sharif

    Shaykh al Islam al Mujaddid al Aazam Imam Ahmad Rida
    rahimahullahu Ta'ala passed away on 25th Safar ul Muzaffar 1340 AH 28th October 1921 Jumu’ah Mubaarakah Friday at the age of 68 at 2:38 PM in Bareilly Sharif Uttar Pradesh Hind.


    The Imam’s blessed soul left his body at the time when the Muadhin said “Hayya alal Falaah rush to success”.

    For the whole account see al Wasaayaa of the great Imam radi Allahu Ta'ala ‘anhu.

    Tazkirah Mashaiykh Qadriyyah 457
     
    Last edited by a moderator: Jan 4, 2013
  6. 'Urs wa Yawm al Rida 25th Safar

    Tuesday 8th January 2013
     
  7. 'Urs wa Yawm al Rida 25th Safar
     
  8. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Jalwa Hai Nūr Hai Ke Sarāpa RAZA Ka Hai,
    Taswīr-e Sunniyat Hai Ke Chehra RAZA Ka Hai

    Waadī Raza Kee Ko-Hai Himaala RAZA Ka Hai,
    Jis Samt Dekhiye Woh Ilaqa RAZA Ka Hai.

    Dastaar Aa Rahī Hai, Zamin Par Jo Sar Ooteh,
    Itna Buland Aaj Parera RAZA Ka Hai.

    Kis Kī Majaal Hai Jo Nazar Bhi Mila Sa-ke,
    Darbar-e Mustafa Main Thikaana RAZA Ka Hai.

    Alfaz Beh Rahe Hai, Daleelo Ki Dhar Par,
    Chalta Hua Qalam Hai Ke Dhara RAZA Ka Hai.

    Chū-ta Hai Aasman Ko Minaar Azm Ka,
    Yaanī Atal Pahaar Irada RAZA Ka Hai.

    Dariya Fasahato Ke Rawa(n) Shayri Main Hai,
    Ye Zehne Mumtane Hai Ke Lehja RAZA Ka Hai.

    Jo Likh Diya Hai Usne, Sanad Hai Woh Deen Main,
    Ahle Qalam Kee Aabroo Nuqta RAZA Ka Hai.

    Aglo Ne Tu Likha Hai Bahut Ilm-e Deen Par,
    Jo Kuch Hai Iss Sa-dī Main Woh Tanha RAZA Ka Hai.

    Is Daure Purfatan Main Nazar Khush-Aqeedgee,
    SARKAAR Ka Karam Hai, Waseela RAZA Ka Hai.
     
  9. Manqabat of Shaykh al Islam Imam Ahmad Rida
    rahimahullahu Ta'ala

    Ahmad Raza ka taaza gulistaan hai aaj bhi
    Khursheed ‘ilm un ka darakhshaan hai aaj bhi

    ‘arsah hua woh mard e mujaahid chalaa gayaa
    sunniyon main aik sozish e pinhaan hai aaj bhi

    imaan paa rahaa hai halaawat ki naematein
    aur kufr tere naam se larzaan hai aaj bhi

    kis tarah itne ‘ilm ke daryaa bahaa deyee
    ‘ulamaa e haq ki ‘aql to hayraan hai aaj bhi

    maghmum ahl e ‘ilm nah hon kyun tere liye
    jab ‘ilm khud hi sar bagareeban hai aaj bhi

    sab unke jalne walon ke ghu ho gaye chiraagh
    Ahmad Raza ki sham’a farozaan hai aaj bhi

    ‘ishq e Habib e Paak mein dubaa hua kalaam
    sarmaayah nishaat sukhandaan hai aaj bhi

    (sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

    bhar di diloun mein ulfat o ‘azmat Rasul ki
    jo makhzan e halaawat e imaan hai aaj bhi

    (sall Allahu Ta’ala ‘alaihi wa Aalihi wasallam)

    tum kya gaye ke rawnaq e mehfil chali gayei
    sh’er o adab ki zulf e pareshaan hai aaj bhi

    ‘aalim ki mawt kehte hain ‘aalam ki mawt hai
    apne kiye peh mawt pasheeman hai aaj bhi

    wabastagaan kyun hon pareeshaan un peh jab
    lutf o karam unka damaan hai aaj bhi

    lillah apne faiz se ab kaam lejiye
    fitnoun ke sar uthaane kaa imkaan hai aaj bhi

    Taibah main us ki zaat salaamat rahe keh jo
    teri amaanatoun kaa nighehbaan hai aaj bhi

    Mirza sare niyaaz jhukaataa hai is liyee
    ‘ilm o ‘amal peh aap ka ihsaan hai aaj bhi
     
    Last edited by a moderator: Feb 10, 2010

Share This Page