Meri Aankhon Mein Samaao..

Discussion in 'Poetry' started by Aqib alQadri, May 27, 2013.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

  2. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

  3. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

    Dear brothers, as-salaamo alaykum!

    The following is my humble attempt at writing a Naat for the first time, having been inspired by a famous one by Mufti Akhtar Raza Sahab (damat barakatuhum al-aliyah). (PS: This has been done by many illustrious writers, including Ala Hazrat, Mufti-e-Aazam e Hind, as well as Mufti Akhtar Raza Sahab).

    I had the great fortune of reciting the entire Naat Shareef at the Rawdha Mubarak of the beloved Holy Prophet - on last Friday (11 Rabi ul Aakhir) - yes, indeed directly facing the golden railings (of course in a very soft voice).

    Here are the simple words - appreciate your kind feedback!

    “Meri Aankhon Mein Samaao” -

    by Aqib alQadri


    Meri aankhon me samaao, to bahot achchaa ho
    Apnaa deedar karaao, to bahot achchaa ho!

    Qalbe muztar ke liye tum ho sukoon ki daulat
    Dil ko ghar apnaa banaao, to bahot achchaa ho!

    Saari dunya me tadapte hain tumhaare aashiq,
    Un ko taybah mein bulaao, to bahot achchaa ho!

    Zaaere taybah ki kia khoob hai kismet lekin,
    Apne saaye me basaao, to bahot achchaa ho!

    Yun to jalwon se tumhaare hai zamaana raushan
    Barzakhi parda uthaao, to bahot achchaa ho!

    Sakht mushkil me hai jaan, dhoonde hai jaanan tum ko
    Naz’a ke waqt jo aa jaao, to bahot achchaa ho!

    Umr guzri hai andheron mein khatavaaron ki
    Qabr mein jalwa dikhao, to bahot achchaa ho!

    Huye masroor jo achchey hain, tumhaare sadqey
    Apne aasi ko nibaaho, to bahot achchaa ho!

    Chor ki tarah laraztey hain qadam dil ghabraaye,
    Apne daaman me chhupaao, to bahot achchaa ho!

    Sookhi jaati hain zabaanein, hain halaq mein kantein,
    Jaam e kausar jo pilaao, to bahot achchaa ho!

    Maalike khuld banayaa khaalike kul ne tumhein,
    Hum ko jannat jo hibaa ho, to bahot achchaa ho!

    Bheega daaman liye darbaar me hai Aqib haazir,
    Mujzda gufraan ka sunaao, to bahot achchaa ho!
     

Share This Page