Manqabat Siddiq e Akbar o Afzal

Discussion in 'Poetry' started by Qasim Hanafi Ridwi, Apr 23, 2014.

Draft saved Draft deleted
  1. Yawm Sayyiduna Khalifah bila fasal Siddiq e Akbar o Afzal radi Allahu Tabaaraka wa Ta'ala 'anhu
     
  2. Yawm Sayyiduna Khalifah bila fasal Siddiq e Akbar o Afzal radi Allahu Tabaaraka wa Ta'ala 'anhu
     
  3. Yaum e Siddiq e Akbar radi Allahu anhu on 22 Jamadi al Aakhirah
     
  4. Bismillah ir Rahmaan al Raheem

    Nahmaduhu wa nusalli wa nusallimu ‘ala Rasulihil Kareem
    Sall Allahu ‘alaihi wa Aalihi wasallam

    Bayaan ho kis zabaan se martabah Siddiq e Akbar ka,
    Hai Yaar e ghaar Mahbub e Khuda Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Yaa Ilaahi raham farmaa Khaadim e Siddiq e Akbar houn,
    Teri rahmat ke sadqe waasitah Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Rusul o Ambiyaa ke ba’ad jo afzal hai ‘aalam se,
    Yeh ‘aalam mein hai kis ka martabah Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Gadaa Siddiq e Akbar ka khudaa se fazl paataa hai
    Khudaa ke fazl se houn main gadaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)

    Nabi ka aur khudaa ka madh go Siddiq e Akbar hai,
    Nabi Siddiq e Akbar ka Khudaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Zia mein mehr ‘aalamtaab ka yun naam kab hota,
    Nah hota naam gar wajh e zia Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Zae’efi mein yeh quwwat hai zae’efoun ko qawe kar dein,
    Saharaa lein zae’ef o aqwiyaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Khudaa ikraam farmaataa hai atqaa keh kar Quran mein,
    Karein phir kyun nah ikraam atqiyaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Safaa wuh kuch mili khaak sar koo e payambar se,
    Musaffaa aainah hai naqsh e paa Siddiq e akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    Hue Faruq o Usmaan o ‘Ali jab daakhil e bay’at,
    Banaa fakhr e salaasil silsilah Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhum)
    Maqaam e khawaab e raahat chain se aaraam karne ko,
    Banaa pehlu e Mehbub e Khudaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhu)
    ‘Ali hain us ke dushman aur wuh dushman ‘Ali ka hai,
    Jo dushman ‘aql ka dushman hua Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhumaa)
    Lutaayaa raah e Haq main ghar kaie baar is mahabbat se,
    Keh lut lut kar Hasan ghar ban gayaa Siddiq e Akbar ka.
    (radi Allahu Ta’ala ‘anhumaa)

    Ustaaz al Zaman Imaam Hasan Raza Khan Noori Hasan 'alaihi al rahmah wa al ridwaan
    Zawq e Na'at
     

Share This Page