What's your favourite Ala Had.rat poem?

Discussion in 'Hadayiq e Bakhshish' started by Hashim Aftab, Apr 1, 2015.

Draft saved Draft deleted
  1. Hashim Aftab

    Hashim Aftab New Member

    Rukh din hai ya mehr-e-sama.

    Also... wohi rabb hai jisne tujhko hamatan karam banaya.
     
  2. Ridawi78692

    Ridawi78692 Hanafi Maturidi Qadri

    Dushman e ahmed pe shiddat pe kijiye
     
  3. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    i just read it again and i love it, so here it is again, my favourite:

    1. sach’chī bāt sikhāte ye haiN
    sīdhī rāh chalātey ye haiN


    2. TūTī nāw tirāte ye haiN
    hiltī nīw jamātey ye haiN


    3. TūTī ās bandhāte ye haiN
    chūTī nabz chalātey ye haiN


    4. qaşr e danā tak kis ki rasāyī
    jātey ye haiN ātey ye haiN


    5. us ki bakh-shish in kā şadqā
    detā wo hai dilātey ye haiN


    6. un ke hāth meiN har kunjī hai
    mālik e kull kahlātey ye haiN


    7. innā aáţaynāka’l kawthar
    sārī kasrat pātey ye haiN


    8. rabb hai muúţī yeh haiN qāsim
    rizq us kā hai khilātey ye haiN


    9. apni banī ham āp bigāDeN
    kawn banāye? banātey ye haiN


    10. lākhoN balāyeN karoroN dushman
    kawn bachāye bachātey ye haiN


    11. nazáa e rūĥ meiN āsāni dey
    kalimah yād dilātey ye haiN


    12. marqad meiN bandoN ko thapak kar
    mīthī nīnd sulātey ye haiN


    13. bāp jahāN beTey se bhāgey
    luţf wahāN farmātey ye haiN


    14. māN jab iklautey ko choRey
    aa aa kah ke bulātey ye haiN


    15. ik sajdey meiN gir kar apnī
    girtī ummat uThātey ye haiN


    16. THanDā THanDā mīthā mīthā
    pītey ham haiN pilātey ye haiN


    17. kah do razā se khush ho khush rah
    muzhdah razā ka sunātey ye haiN


    this is a transliteration and i think it should be khush ho khush rah www.alahazrat.blogspot.com
     
    Last edited: Mar 30, 2015
  4. Noori

    Noori Senior Moderator

    Salam,

    tuhamaray zarra'y kay partaw sitar ha'ay falak
    tumharay na'al ki naqis misal ziya'ay falak


    sar'ay falak na kabhi tabah aastaan' ponhcha
    kay ibtada'ay bulandi thi intaha'ay falak

    mairay ghani nay jawahir say bhar dia daman
    gaya jo kasa'ay mah lay kay shab gada'ay falak

    raha jo qana'ah yak nan'ay sokhta din bhar
    mili 'huzor say 'kan'ay ghohar' jaza'ay falak


    full of beautiful allegories.

    also

    'ariz'ay shams o qamar say bhi hain anwar airiyyan
    'arsh ki ankhon kay taray hain woh koshtar airiyyan

     
  5. :s1: bhai,
    I know what you mean--it is difficult to pick only one out of the myriad
    masterpieces in his divan! All are peerless poems!

    I also love this one:
    Hai kalam e Ilahi mein Shams ud D.uh.a...

    :)
     
  6. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    my urdu is not good enough to appreciate a lot of the na'ats, perhaps this is the reason why one of my favourites is sach'chi baat sikhate ye haiN.

    its very simple but the ishq...Allahu Akbar!

    i know you asked for only the favourite and i do like zameen o zamaN like yourself. but i also love unki mahak ne dil ke ghunche khile diye haiN.

    other faves:

    'arshe haq hai masnade rif'at Rasulullah ki (sallallahu 'alaihi wasallam)
    peshe haq muzda shafa'at ka sunate jaeN ge

    sorry for mentioning so many but i cant choose my fave.
     
  7. :s1:

    Mine is probably ZameeN o ZamaaN...
     

Share This Page