ay ibn e sa'ad rayy ki hukumat to kya mili - by imam al-muradabadi

Discussion in 'Poetry' started by Qasim Hanafi Ridwi, Nov 26, 2013.

Draft saved Draft deleted
 1. BarakAllahu fik for this where is this kalaam written?
   
 2. abu Hasan

  abu Hasan Administrator

  this rendering by mushtaq is moving, as usual.
   
 3. abu Hasan

  abu Hasan Administrator

  ay ibn e sa’ad rayy ki hukumat to kya milī
  zulm o jafa ki jald hi tujh ko sazaa milī

  ay shimr e naabakaar, shahīdoN key khuun sey
  kaysī sazā tujhe abhi ay naasazā milī

  ay tishna gaane khuun e jawānān e ahl e bayt
  dekhā ? key tum ko zulm ki kaysī saza milī

  kuttoN ki taraH lāsheN tumhārī saDā kiye
  ghūDī pey gor ko bhi tumhārī na jā milī

  ruswāy e khalq ho gaye barbād ho gaye
  mardūdo tum ko zillat e har do sarā milī

  tum ne ujāDa hazrat e zahrā ka būstāN
  tum khud ujaD gaye tumheN ye bad’duá milī

  dunyā parstO deen se muNh moD kar tumheN
  dunyā milī na áysh o tarab kī hawā milī

  aakhir dikhāya rang shahīdoN key khuun ney
  sar kaT gaye amaaN na tumheN ik zara milī

  paayī hai kyā naýīm unhoN ney abhī sazā
  dekheN gey woh jaĥīm meiN jis dam sazā milī
   

Share This Page