Can anyone translate this Naat?

Discussion in 'Hadayiq e Bakhshish' started by sag e raza, Dec 28, 2010.

Draft saved Draft deleted
  1. sag e raza

    sag e raza Active Member

    uthā do parda dekha do chehra ke nūr-e bārī hijāb maiN hai,

    zamāna tāreek ho raha hai ke mahr kab se niqāb maiN hai



    jalī jalī boo se uskee paida hai sauzash-e ‘ishq chashm wālā,

    kabāb âhū [aahoo] maiN bhī na paaya maza jo dil ke kabāb maiN hai



    unhee kee boo mā’ye saman hai unheeN ka jalwa chaman chaman hai,

    unheeN se gulshan mehak rahe haiN unheen kee rangat gulāb main hai



    siyāh libāsān-e daar-e dunya woh sabz paushān ‘arsh walā,

    har ik hai unke karam ka piyāsa yeh fayz unkee janāb main hai



    khare haiN munkir nakīr sar par na koyee ĥamee na koyee yaawar,

    bata do âkar mere payambar ke sakht mushkil jawāb maiN hai



    karīm aisa mila hai jiske khule haiN haath aur bhare khazāne,

    bata’o ae muflisau ke phir kyūN tumhāra dil iztirāb maiN hai



    karīm apne karam ka sadqa la’yeem be-qadr ko na sharma,

    tū aur rizā se ĥisāb lena, rizā bhī koyee ĥisāb maiN hai
     

Share This Page