eyk tarikhi khaT - az alaHazrat quddisa sirruh

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by abu nibras, Jun 22, 2007.

Draft saved Draft deleted
  1. abu nibras

    abu nibras Staff Member

    Last edited by a moderator: Jun 23, 2007
  2. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    ---------------
    mu'awazah e `aliyah imam barelwi quddisa sirruh:
    ba naam
    maulvi ashraf ali sahib thanawi
    ----------------

    bismillahi'r RaHmani'r RaHeem
    naHmaduhu wa nuSalli `ala Rasulihi'l kareem
    as-salamu `ala mani't taba'a al-hudaa.

    faqeer bargaah e `azeez o Qadeer `azza jalaluhu to muddatoN sey aap ko da'awat dey raha hai; ab Hasb e mu'ahadah qarardaad e muraadabaad phir muHarrik hai ke aap ko sawaalaat o muwakhizaat e Husam al-Haramayn ki jawab dahi ko aamaadah hoN; maiN aur aap jo kuch kaheN likh kar kaheN aur sunaa deN aur wahi dastakhaTi parcha usee waqt fareeqayn e muqabil ko detey jaayeN ke fareeqayn meiN se kisee ko kah ke bidakne ki gunjayish na rahey.

    mu'ahadah meiN 27 Safar 1329 hijri munazarah ke liye muqarrar huwee hai; aaj pandrah ko uskee khabar mujh ko milee; gyarah roz kee muhlat kaafi hai; wahaN baat hi kitnee hai? isee qadar ke yeh kalimaat shan e aqdas huzur pur noor sayyid e `aalam sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam meiN tauheen haiN yaa nahiN?

    ye bi `awnihi ta'ala 2 minute meiN ahl e eemaan par zaahir ho saktaa hai; li haza faqeer e us Azeem Dhu'l Arsh ki qudrat o raHmat par tawakkul kar key yahi 27 Safar roz e jaaN afroz do shunbah uskey liye muqarrar karta hai.

    aap fauran qubuul ki taHreer apni muhri dastakhaTi rawaana kareN aur 27 Safar ki Subah muradabad meiN hoN; aur aap bi'z zaat is amr e ahm o a'azam deen ko Tayy kar leN; apne dil kee aap jayse bataa sakeN gey wakeel kya bataye gaa?

    `aaqil baaligh musta'Teey ghayr mukhadarah kee tawkeel kyuN manzoor ho? ma'a-haaza yeh mu'amalah kufr o islaam ka hai; kufr o islaam meiN wakaalat kaysee? agar aap khud kisee Tarah saamne nahiN aa saktey aur wakeel ka sahara DhunDiye to yahee likh deejiye.

    itna to Hasb e mu'ahadah aap ko likhna hi hoga ke woh aap ka wakeel e muTlaq hai uska tamaam sakhta, pardakhta, qabool, sukoot, nakool, `adool, sab aap ka hai aur is qadar aur bhi zaroor likhna hoga ke agar bi-`awni'l `Azeez al-Muqtadir `azza jalaluhu aap ka wakeel maghloob ya mu'tarif ya saqiT ya faar huwa to kufr sey tawbah `ala'l i`ylan aap ko karne aur chapni hogi ke tawbah meiN wakalat namumkin hai aur i`ylaniyah kufr ki tawbah i`ylaniyah laazim.

    maiN arz karta huN aakhir baar aap hi ke sar rahta hai ke tawbah karni huwee to aap hi poochey jaayenge; phir aap khud hi daafiy e ikhtilaaf ki himmat kyuN na kareN? kya MuHammad RasulAllah Sallallahu ta'ala `alayhi wa sallam ki shaan e aqdas meiN gustakhi karney ko aap the aur baat banaane doosra aaye? laa Hawla wa laa quwwata illa billahi'l `aliyyi'l `azeem.

    aap barsoN sey saakit aur aap ke Hawari raf'a e khajlat ki sa'yi e bey HaaSil kartey haiN. har baar eyk hi tarah ke jawab hotey haiN; aakhir taa-bah-key?

    yeh akheer da'awat hai, is par bhi aap saamne na aaye to Al'Hamdulillah main farz e hidaayat adaa kar chukaa. aayindah kisi ke ghoghe par iltifaat na hogaa. manwaa denaa meraa kaam nahiN, Allah `azza wa jall ki qudrat meiN hai.

    Wallahu yahdee man yashaa ilaa Siratin mustaqeem.
    wa Sallallahu ta'ala `ala sayyidina wa mawlana Muhammad wa aalihi wa SaHbihi ajma'yeen. wa'l Hamdu lillahi Rabbi'l `alameen.

    faqeer Ahmed Raza Qadri `ufiya `anhu 15 Safar al-Muzaffar, roz e chaharshunbah san 1329 hijri.

    ---
    [ma-aal yahi huwa ke akabir e devband ghabratey rahe khajalat o sharmindagi nibahtey rahey; ruju'u o ittiHaad sey gureyz kiya aur eyk bahut baDa fitna baaqi rah gaaya]
     
    Last edited: Mar 14, 2009
  3. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    eyk tarikhi khaT (pg.12-13)

    (ba-ifazah e hazrat `allamah mawlana hasanayn raza khan barelwi mudd zillahu'l `aali)

    ulama e devband ki woh deen soz ibarateN jin par saara arab o ajam cheenkh uTha tha, dunya ke baDey baDey `ulama e kiraam o muftiyaan e `izaam o mashayikh e zawi'l iHtiraam o `awaam laraz gayey the har dardmand mukhliS taDap raha tha ke kisi soorat yeh fitna khatm ho aur millat e islamiyah sukuun o itminaan kaa saans le.

    deen aur millat e islamiyyah meiN fitnah aur iftiraaq ki yeh hawlnaak aag aysi na thi jis par mujaddid e a'azam imam aHmed raza khan barelwi quddisa sirruh khamosh tamashayi rahtey. islam ka intihaayi dard musalmanoN ki dunya o akhirat kee tabahee ka khawf aur aap ke manSab ki zimmah-dari ney aap ko muztar aur bey-chayn kar diya. `ulama e devband ko da'awat par da'awat dee. bahut sey maTbu'ah o ghayr maTbu'ah khuTooT likhe; registeriyaN bheyjiN ke ay Allah ke bando!
    tumhari in ibaratoN sey islam kee bunyaadoN par zarbeN lagee haiN; musalman sakht mushkilaat meiN phans gaya hai; dunya ke saath uskee aakhirat bhi barbaad ho rahee hai.

    aaO; hum tum bayTh kar is mu'amale ko Saaf karleN aur us raah ko ikhtiyar kareN jo islam ka `ayn mansha'a aur musalmanoN ke liye sirat e mustaqeem ho. magar afsos ke akabir e devband ney ya to us sey ijtinaab kiya ya agar wa'adey bhi kiye to eefaa na kar sakey. khajaalat o sharmindagi daamangeer rahee.

    ulama e devband ki is rawish ka natijah yeh nikla ke us waqt ke andeshoN ke muTabi yeh fitnah aaj apney uruj par pahunch gaya jis sey na sirf musalmanoN ki dunya ko shadeed nuqSan pahunch raha hai balke ek bahut baRi jama'at aur uskee mukhtalif shaakoN ki aakhirat bhi barbaad ho rahi hai.

    hum zeyl meiN mujaddid e a'azam imam barelwi quddisa sirruh ke eyk taarikhi khaT ki naql peysh kar rahey haiN jo aap ney aaj se taqreeban satasaTh (67) saal qabl san 1329 hijri meiN maulvi ashraf `ali thanawi ko likha tha aur jo risalah "dafiy al-fasad `an muradabad" meiN chap
    chuka tha.
     

Share This Page