ghazal by saleem kausar

Discussion in 'Poetry' started by Aqdas, Apr 24, 2007.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    najam shiraz has written(?) and sung a similar poem.

    yeh jo raaste haiN juda juda yeh mu'amila koi aur hai
     
  2. Yaseen

    Yaseen Active Member

  3. Mein Khayal Hoon Kisi Aur Ka
    Mujhe Sochta Koi Aur Hai
    Sar-E-Aeenah Mera Aks Hai
    Pas-E-Aeenah Koi Aur Hai


    Mein Kisi Keh Dast-E-Talab Mein Hoon
    To Kisi Keh Harf-E-Dua Mein Hoon
    Mein Naseeb Hoon Kisi Aur Ka
    Mejhe Maangta Koi Aur Hai





    Ajab Aitabar-O-Bey Aitabaree
    Keh Darmayan Hai Zindagi
    Mein Qareeb Hoon Kisi Aur Keh
    Mujhe Jaanta Koi Aur Hai


    Mujhe Doston Ka Pata Nahin
    Mujhey Dushmanon Ki Khabar Nahin
    Meri Daastan Koi Aur Thi
    Mera Waaqaya Koi Aur Hai


    Jo Milen Kabhi Unhen Poochna
    Dekhna Unhen Ghaur Sey
    Jinhen Raastey Mein Khabar Hui
    Keh Yeh Raasta Koi Aur Hai


    Jo Meri Reyazat-E-Neem Shab
    Ko Saleem Subh Na Mil Saki
    To Is Key Mani To Yeh Hue
    Keh Yahan Khuda Koi Aur Hai
     

Share This Page