Hai kalam e Ilahi mein shams o duha

Discussion in 'Hadayiq e Bakhshish' started by abu hamzah, Jan 6, 2020.

Draft saved Draft deleted
  1. abu hamzah

    abu hamzah Active Member

    Hai kalam e Ilahi mein shams o duha terey chehra e nūr faza ki qasam
     

    Attached Files:

  2. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    Hai kalam e Ilahi mein shams o duha terey chehra e nūr faza ki qasam
    Qasam e shab e tār mein rāz ye tha ke habīb ki zulf e dotā ki qasam

    In the Divine Speech, there is the Sun and the Morning Brightness - an oath of your radiant countenance;
    The secret behind the oath of the night are the wavey tresses of the beloved

    ---
    Terey khulq ko Haqq ne azeem kaha teri khalq ko Haqq ne jamīl kiya
    Koyi tujh sa huwa hai na hoga shahā terey Khaliq e husn o adā ki qasam

    Your morals are called exalted by Allah, your creation was beautified by Allah;
    None has been like you nor will ever be, Master! By oath of the Creator of your beauty and grace

    ---
    Woh Khuda ne hai martabah tujh ko diya na kisi ko miley na kisi ko mila
    Ke kalam e majīd ne khayi shahā terey shahr o kalām o baqa ki qasam

    Allah gave you that rank, none attained it before you or after;
    That the Quran took oaths, Master! By your city, speech and life

    ---
    Tera masnad e nāz hai arsh e barīn tera mahram e rāz hai rūh e amīn
    Tu hi sarwar e har do jahān hai shahā tera misl nahin hai Khuda ki qasam

    Your honourable station is the Divine Throne, your confidante is the trustworthy soul;
    You are the leader of both worlds, Master! By Allah there is no other like you

    ---
    Yahi arz hai Khaliq e arz o samā woh Rasul hain terey main bandah tera
    Mujhey un ke jiwār mein de woh jagah ke hai khuld ko jis ki safā ki qasam

    Only this request, Creator of Earth and heavens: he is Your Messenger, I your slave;
    Grant me space in his vicinity, that whose purity paradise takes oath by

    ---
    Tu hi bandon pe kartā hai lutf o atā hai tujhi pe bharosa tujhi se dua
    Mujhe jalwah e pāk Rasul dikha tujhe Apney hi izz o ulā ki qasam

    Only You have benevolence and gift upon us, only upon You is reliance and to you supplication;
    Show me the blessed countenance of the Messenger, by virtue of Your Majesty and Highness

    ---
    Merey gar che gunāh hain hadd se siwā magar un se ummīd hai Tujh se rijā
    Tu Rahīm hai un ka karam hai gawāh woh karīm hain teri atā ki qasam

    Though my sins beyond measure, but I have hope in him and turn to You;
    You are Most Merciful, his munificence witness, he is magnanimous, I swear by Your Granting

    ---
    Yahi kahti hai bulbul e bāgh e jinān ke Raza ki tarah koyi sehr bayān
    Nahin Hind mein wāsif e shāh e hudā mujhe shokhi e tab'ey Raza ki qasam

    Thus sings the nightingale of paradise: that a wizard of words like Raza;
    There is none In India who praises the King of guidance, I swear by the pride of Raza's temperament
     
    abu hamzah likes this.

Share This Page