Hum ko bulana lyrics

Discussion in 'Poetry' started by Aqdas, Mar 29, 2007.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    i have already. it was just a reminder for next time.
     
  2. Muslimah

    Muslimah New Member

    Sorry brother can you move it? and put it in the right section please.

    JazakAllah
     
  3. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    sister, this poetry is not from hadayiq e bakhshish. you posted it on the wrong section. this is the right section. hadayiq e bakhshish is only for alaHazrat's poetry
     
  4. Muslimah

    Muslimah New Member

    ASLAMALIKUM DEAR BROTHERS AND SISTERS


    HUMKO BULANA YA RASULALLAH



    Hum ko bulana Ya Rasulallah


    Hum ko bulana Ya Habiballah

    Kabhi to subz gumbad ka ujala hum bhi dekhein ge
    hamein bulwaein ge aaqa madina hum bhi dekhaein ge

    Dharak uthe ga ye dil ya dharkna bhool jaae ga
    dil e bismil ka us dur pur tamasha hum bhi dekhein ge



    Adab se haath baande un ke roze pur khare hon ge


    sunehri jaaliyon ka yun nazara hum bhi dekhein ge


    Dar e dolat se lotaya nahi jaata koi khali

    wahan khairat ka butna khudara hum bhi dekhein ge


    Barasti gumbad e khuzra se takrati hui boondein

    wahan pur shan se baarish barasna hum bhi dekhein ge




    Guzare raat din apne issi ummeed pur hum ne
    kisi din to jamal e roo e zeba hum bhi dekhein ge

    Dum e rukhsat qadam mun bhar ke hain mehsoos karte hain
    kise hai jaa ke lot aane ka yaara hum bhi dekhein ge

    Pohonch jaaein ge jis din ae ujagur un ke qadmon mein
    kise kehtein hain jannat ka nazara hum bhi dekhein ge

    Hum ko bulana Ya Rasulallah
    Hum ko bulana Ya Habiballah



    ARZO SAMA BANAY HAIN ISI NOORE KE TUFAIL

    ARZO SAMA BANAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL
    TARE CHAMAK REHAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL
    GULSHAN HARAY BHARAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL
    DONON JAHAN SAJAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL

    IS NOOR KA AZAL SE ABAD TAK HAI SILSILAH
    YEH NOOR WOH HAI JIS KA TARAFDAR HAI KHUDA

    AAYA HAI RAHE RAST DIKHANAIN KE WASITAY
    BANDON KO UN KE RAB SE MILANAIN KE WASITAY
    BUNIYAD BUT KADON KI GIRANAIN KE WASITAY
    RASMON RIWAJ KUFR MITANAIN KE WASITAY
    INSAN KO BANDAGI KA SALEEQA SIKHAY GA
    YEH NOOR ZULMATON KO UJALAY BANAY GA


    GUFTAR LAJAWAB HAI KIRDAR BE NAZIR
    HAMI SITAM ZADON KA YATIMON KA DASTAGIR
    HALQAH BAGOSH US KE HAIN KEYA SHAH KEYA FAQEER
    INSAN REH SEKAY GA NAH INSAN KA ASEER
    BHOOKA REHAY GA KHUD WOH JAHAN KO KHILAY GA
    WOH APNAIN DUSHMANON KO GALAY SE LAGAY GA


    PAYGHAME HAQ YEH SARE JAHAN KO SUNAY GA
    KINAH ZADON KO RASHKE GULISTAN BANAY GA
    HAR GAAM REHMATON KE KHAZANAIN LUTAY GA
    INSAN KO YEH DARSE UKHUWAT SIKHAY GA
    DAY GA KUCH IS ADA SE PAYGHAME DOSTI
    ZEHNON SE DOOR KER DAY GA SADIYON KI DUSHMANI


    YEH SAHIBE JAMAL HAI YEH SAHIBE KAMAL
    KUSH DIL HAI KHUSH PASAND KHUSH KHISAL
    KHALLAQE DO JAHAN KI HAI TAKHLIQE BEMISAL
    MUMKIN NAHIN HAI IS KO KISI DAOR MAIN ZAWAL
    ROSHAN KERAY GA RASHDO HIDAYAT KE WOH DIYE
    BAN JAIN GE SABAQ JO HER DAOR KALIYE


    BESHAK YEHI HAI BAIASE TAKHLIQE KAYNAT
    CHAMKAY GA US KE HUSN SE HER GOSHAE HAYAT
    RASIKH HAI IS KA QAOL TO SACHI HAI HER IK BAT
    DIL MAIN HAI IS KE REHM AOR NAZAR MAIN HAI ILTEFAT
    US KE KARAM KI HAD HAI NAH KOI HISAB HAI
    JIS PER NIGAH DAL DAY WOH AAFTAB HAI


    AAYA HAI MUFLISON KI HIMAYAT LIYE HOWE
    MAZLOOMO BEKASON KI MUHABBAT LIYE HOWE
    AHLE GUNAH KE HAQ MAIN SHIFAAT LIYE HOWE
    SARE JAHAN KELIYE REHMAT LIYE HOWE
    HO GA US KI ZAT PER QURAN KA NUZOOL
    WOH AKHRI KITAB HAI YEH AKHRI RUSOOL

    ARZO SAMAN BANAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL
    TARE CHAMAK REHAY HAIN ISI NOOR KE TUFAIL

    WALIKUM ASLAAM


     

Share This Page