Huzoor Taajush Shariah on Videos / QA list

Discussion in 'Multimedia' started by Unbeknown, May 10, 2015.

Draft saved Draft deleted
  1. Unbeknown

    Unbeknown Senior Moderator

    Some QA on videos. I am posting these for info. I am not open to any discussion on these and will not be replying to any follow-up questions.

    --------------------
    1. Ulama e Ahl e Sunnat is mas'alay mei kya irshaad farmaate hai in do sawaalo mein: Video ya audio mei kisi ek ma'aroof shakhsiyat ki taqreer ho rahi ho aur us shakhs ne kuch aysa qawl kahaa jis se gumraahiyyat ya kufr saabit hota ho.
    Sawaal 1: Kya audio clip ya video clip mustanad dalil hai kisi ke upar fatwa lagaane mei ya nahin?
    Sawaal 2: Agar clip ya video kaafi nahi, aur Mufti e Islam ko agar is amr ke baare mashooriyyat ke tor par fatwaa lagaana ho, ya'nee, musalmaan ki kaseer jamaat mei ye mashoor hai ke Zaid ne gumraahi ya kufriya qawl bakaa, magar pareyshaani ye hai ke awwaam mei ye bhi mashoor hai ke aksariyat mei log video clip ya audio ki aawaaz sunnay se hi Zaid ki baat ma'aloom o mashoor farmyaai. Ab Mufti e Islam ko kya karna chaahiye? http://www.jamiaturraza.com/session/22Dec13/13.mp3

    2. Hazrat hum log video ke khilaaf hain. log tahirul padri ki kufri aqaid ko maanne se inkaar karte hain aur kahte hain ke woh itni acchi taqreer karta hai aur woh bhi sunni hai woh kaafir kaise ho sakta hai. sirf uski kufri aur galat baaton ko jo usne kaha projector ke zariye saboot ke taur pe awwaam ko dikha sakte hain ya nahin yeh is bunyaad pe ke NAQL KUFR KUFR NA BAASHAD. Rahnumai farmaen.
    http://www.jamiaturraza.com/session/12Jan14/24.mp3

    3. kisi ka Imaan bachane ke liye gustakhon ki Gustakhi ki video, tasawaeer dikhana kaisa hai?
    http://www.jamiaturraza.com/session/25Aug13/28.mp3

    4. Pakistan may dahshat gardi kay waqiaat kay baad kuch makhsoos ulema e kiraam kay liyay zaroori hay kay un kay programs ki video banaye jati hay aur ilaqay kay thanay may jama kerwaye jaati hay. Aisee sorat may in per koi aitraaz kya ja sakta hay ya nahi?
    http://www.jamiaturraza.com/session/27Sept09/7.mp3

    5. Wo ulema jo tasweer aur video kay khilaf fatwa detay hain magar majbooran ya qasdaa aisee jaga jana perta hay jahan un ki video aur tasweer ban jati hay tu kya aisee sorat may un kay peechay namaz hojayegee.
    http://www.jamiaturraza.com/session/27Sept09/6.mp3

    6. Badmazhaboun kay radd wali videos mobile ya email ky zarea phela saktay hain?
    http://www.jamiaturraza.com/session/29Sep13/28.mp3

    7. video Haram e Qat'i he ya Haram e Zanni?
    http://www.jamiaturraza.com/session/25Nov12/20.mp3

    8. FiZamana Kaseer tadad mein Ulama Video aur Digital Tasaweer k Jawaz ka Fatwa detay hain aur isi tarha Mic mein Namaz ka bhi? tou kia Isay Ijma-e-Ummat kaha ja sakta hay?
    http://www.jamiaturraza.com/session/02Aug09/17.mp3

    9. Aaj kal loug khusoosan Educated Tabqa Jadeed Tareeqay se Banai janay wali Tasaweer aur Video ki Mumaniat par Sharaee Dalail k sath sath Scientific or Logical wajoohat bhi poochti hay? Unhain kis taur par samjhaya jaey? Rahnumai Kijiye? Auckland
    http://www.jamiaturraza.com/session/26April09/23.mp3

    10. tv aur video najayez hay kyun kay is say haraam ko barawa milta hay tu is bunyaad per computer , laptop , internet wagera tu tv, video say do qadam agaye hain.tu yeh kaisay jaiz howay. Is maslay per aap kya farmatay hain.
    http://www.jamiaturraza.com/session/16June2009/26.mp3

    11. Photo khinchna haram he tv dekhna haram he jaandar ki video dekhna haram he to mobile haram kyu nahi he?
    http://www.jamiaturraza.com/session/11Jan15/18.mp3

    12. Mau'tariz aur Mukhalif Aetraz kartay hain k Hazrat T.V. Video aur Tasaweer aur Inn Khurafat k Hami Afrad aur Tanzeemon k bohat Khilaf hain magar khud Hazrat hi k Khulafa aur Murideen Bagari kisi Shara'ee Uzar ya Hukoomati Dabao k TV par aatay hain ya Video wa Tasaweer banwatay hain. Hazrat unn par bhi Sarzanish farmaen!
    http://www.jamiaturraza.com/session/15Aug10/16.mp3

    13. Wo sunni ulema jo tasweer, video banwatay hain unki dastbosi kernay may koi harj tu nahi
    http://www.jamiaturraza.com/session/1march09/5.mp3
     

Share This Page