Imaam A’azam Abu Hanifah

Discussion in 'Poetry' started by Qasim Hanafi Ridwi, Jul 6, 2011.

Draft saved Draft deleted
  1. al 'Urs al Sharif
     
  2. By Hakim al Ummah 'Allamah Shaykh Mufti Ahmad Yaar Khan al Naeemi al Qadri rahimahullahu Ta'ala Gujrat Pakistan
     
  3. Ba Baarghaah e Imaam al Aaimmah Kaashif al Ghummah Imaam A’azam Abu Hanifah radi Allahu Ta'ala a'nhu

    Hamaare Aaqaa hamaare Mawla Imaam e A’azam Abu Hanifah
    Hamaare Maljaa hamaare Maawa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Zamaanah bar ne zamaanah bhar main bahot tajassus kiyaa wa lekin
    Milaa na koi Imaam tumsaa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Sepehr ‘ilm o ‘amal ke suraj tumhi ho sab hain tumhare taarey
    Tumhi se chamkaa hai jo bhi chamkaa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Tumhaare aaghe tamaam ‘alam nah kyun kare zanu e adab kham
    Keh peeshwayaan e Deen ne maanaa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Nah kyun karein naaz Ahl e Sunnat keh tumse chamkaa naseeb e ummat
    Siraaj e ummat milaa ho tum saa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Khudaa ne tujh ko wooh di hai rif’at ke tera mansab bhi hai marf’u
    Teri izaafat main raf’a paayaa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Hua ul il amr se yeh saabit ke teri taa’at zururi waajib
    Khudaa ne tum ko kiyaa hamaara Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Kisi ki aankhoun kaa tu hai taaraa kisi ke dil ka banaa sahaaraa
    Magar kisi ke jigr main aaraa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Jo teri taqleed shirk hoti muhaddiseen saare hote mushrik
    Bukhaari Muslim Ibn e Majah Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Keh jitne fuqahaa muhaddiseen hain tumhaare khirman se khosha chin hain
    Houn waastey se keh be wasilah Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Siraaj tu hai baghair tere jo koi samjhe hadees o Qur’an
    Phiri bataktaa nah paai rastah Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Khabr le ai dastgheer e ummat hai Saalik be khabr peh shiddat
    Who tera ho kar phire bhataktaa Imaam e A’azam Abu Hanifah

    Diwaan e Saalik: Rasaail e Na’eemiyah page 35
     

Share This Page