imaan kaa imtihaan

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by Aqdas, Jun 10, 2013.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    one should read the above regularly to keep oneself in check. a regular reminder is never amiss.
     
  2. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    the above is from tamhid e iman, recently translated and annotated here.
     
  3. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    the below has been translated at http://www.sunniport.com/masabih/showthread.php?t=3831

    ---

    Imaan ke haqeeqi hone ko do baateN zaroor haiN:

    (1) muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam ki ta’zeem
    (2) aur muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam ki mahabbat ko tamaam jahaan par taqdeem

    to is ki aazmaayish kaa ye sareeh tareeqa hai ke tum ko jin logoN se kaisi hi ta’zeem, kitni hi ‘aqeedat, kitni hi dosti, kaisi hi mahabbat ka ilaaqa ho, jaise tumhaare baap tumhaare ustaad tumhaare peer tumhaare bhai tumhaare ahbaab tumhaare as’haab tumhaare molvi tumhaare haafiz tumhaare mufti tumhaare waayiz waghayra waghayra kase baashad, jab wo muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam ki shaane aqdas meiN gustaakhi kareiN aslan tumhaare qalb meiN un ki ‘azmat un ki mahabbat kaa naam o nishaan na rahe. fauran un se alag ho jaao, doodh se makkhi ki tarah nikaal kar pheNk do, un ki soorat un ke naam se nafrat khaao.

    Phir na tum apne rishte, ‘ilaaqe, dosti ulfat ka paas karo, na us ki molviyat, shaykhiyat, buzurgi, fazeelat ko khatre meiN laao ke aakhir meiN ye jo kuch thaa Muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam hee ki ghulaami ki binaa par thaa jab ye shakhs unheeN ki shaan meiN gustaakh huwa phir hameiN is se kyaa ‘ilaaqa raha, us ke jubbe ‘amaame par kyaa jaaeN - kyaa bahteere yahoodi jubbe naheeN pahante ‘amaame naheeN baandhte, us ke naam ‘ilm o zaahiri fazl ko le kar kya kareiN - kyaa bahteere paadri, bakasrat falsafi baDe baDe ‘uloom e funoon naheeN jaante.

    Aur agar ye naheeN balke muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam ke muqaabil tum ne us ki baat banaani chaahi - us ne huzoor se gustaakhi kee aur tum ne us se dosti nibaahi yaa u'se har bure se badtar bura na jaana yaa u'se bura kahne par bura maana yaa isi qadr ke tum ne is amr meiN be parwaahi manaayi yaa tumhaare dil meiN us ki taraf se sakht nafrat na aayi - to lillaah ab tumheeN insaaf kar lo ke tum imaan ke imtihaan meiN kahaaN paas huwe, qur’an o hadees ne jis par husoole imaan kaa madaar rakkha thaa us se kitni door nikal gaye.

    Musalmaano! Kyaa jis dil meiN Muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasalam ki ta’zeem hogi wo un ke badgo ki waq’at kar sake gaa agarche us kaa peer yaa ustaad yaa pidar hi kyooN na ho. kyaa jise Muhammadur rasulAllah sallAllahu ta’ala ‘alaihi wasallam tamaam jahaan se zyaada pyaare hoN wo un ky gustaakh se fauran sakht shadeed nafrat na kare gaa agarche us ka dost yaa biraadar yaa pisar hi kyooN na ho.

    Lillah apne haal par rahm karo.
     
    Last edited: Jun 10, 2013

Share This Page