Kanzul Iman ahl-e-hadees ki naZar me

Discussion in 'Ulum al-Qur'an' started by abu hamzah, Jul 31, 2017.

Draft saved Draft deleted
  1. abu hamzah

    abu hamzah Active Member

    Kanzul Iman ahl e hadees ki naZar me

    JaHaan tak hazraat Ulama-e-deoband ka tAlluq Hai, woH to niHaayat shadd wo mad se iski mukhaalifat balke takfeer tak karte Hain. magar mai niHaayat waZaahat ke saat ye kaHoonga ke alif laam meem se lekar wannaas tak Hum ne Kanzul imaan me na to koyi tehreef paayi Hai aur naHee tarjama me kisee qisam ki ghalaT bayaani ko paaya Hai. na Hee kisi bidAt aur shirk ke karne kaa jawaaz paayaa Hai. balke ye ek aisa tarjama-e-Qur’an Hai ke jisme peHli baar is baat ka khaas khayaal rakHaa gayaa Hai ke jab Zaat-e-baari tAlaa ke liye bayaan ki jaane waali aayaton ka tarjama kiyaa gayaa Hai to bawaqt-e-tarjama iski jalaalat, taqaddus, AZmat wo kibriyaayi ko bHi malhooZ-e-khaaTir rakhaa gayaa Hai. jabke deegar taraajim khwaaH wo aHl-e-hadees sameyt kisee bHi maktaba-e-fikr ke Ulama ke Hon unme ye baat naZar naHi aati Hai.


    isi Tarah wo aayaten jin ka tAllu mahboob-e-khuda, ShafE-e-roz-e-jazaa, sayyidul awwaleen wal aakhireen, imaamul ambiyaa hazrat Muhammad muSwTafaa (SwallallaHu alayHi wa sallam), ya jin me aap se khiTaab kiya Hai to ba-wakht-e-tarjuma, Janaab maulana ahmad Raza Khan Saheb ne yaHaan par bHi auron ki Tarah Sirf lafZee aur laghwi tarjume se kaam naHi chalaaya Hai, balke Swahib-e-maa yanTiqu Anil Hawaa aur warafAna laka Zikrak ke maqaam-e-Aali Shaan ko Har jagaH malhooZ-e-khaaTir rakha Hai. Ye ek aysi khoobi Hai jo ke deegar taraajim me bilkul Hee na paayid Hai.

    - SaAyeed bin Azeez, ameer-e-JammeeAt aHl-e-hadees Pakistan
     

    Attached Files:

    Unbeknown likes this.

Share This Page