Manqabat of Sayyidina 'Ali

Discussion in 'Poetry' started by saghe_jilani, Oct 4, 2008.

Draft saved Draft deleted
  1. Wah! wah!

    bohot khub,bohot khub!
     
  2. Misbah al-Hidaya

    Misbah al-Hidaya Active Member

    safar tweel hai rahey nijaat choti hai
    Ali ka zikr bahut hai hayaat choti hai

    Ali ko kaisey Molai e kainaat manoo
    Naam bara hai Ali ka, kainaat choti hai
     
  3. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    thanks for that, bro. we always enjoy the manaqib of the ahle bayt.

    ahle sunnat ka hai beRa paar aSHab e huzoor
    najm haiN aur naao hai itrat rasulAllah ki

    sallAllahu 'alaihi wasallam
     
  4. Misbah al-Hidaya

    Misbah al-Hidaya Active Member

    hum hain molaee aqeeday ko chupa saktey nahin
    zar ki khatir aaqibat apni ganwa saktey nahin

    qatl kar do ghar jala daalo humain manzur hai
    Ya Ali kehnay se laikin baaz aa saktey nahin
     
  5. Misbah al-Hidaya

    Misbah al-Hidaya Active Member

    Khol di aankhen baali par, hum ne paakar khushbu e Ali
    Phir nahin dekha aur kisi ko dekh ke hum ne su e Ali

    Kab aaye kab gaye farishtey, qabr sey hum ko kiya malum
    Hum to thay masruf e ebaadat, dekh rahey thay Ru e Ali.

    Jo ke mujassam aap Ali ho uss ko kiya kehye aakhir
    Uss ko tau kehtey hain qalandar mil gai jis ko bu e Ali

    Marzee e Rab ka haamil shohar, betay sab sardar e jinan
    Jis ko chahey bakhsh dey jannat marzee e banu e Ali
     
    Last edited: Dec 20, 2007

Share This Page