Sayyidah Aaminah Muslimah Muminah radi Allahu Ta’ala ‘anhaa Manqabat Dar Shaan Waalidah Muhtarmah Sayyidah Aaminah Bibi radi Allahu Ta’ala ‘anhaa Saqdah tum par ho dil o jaan Aaminah, Tum ne bakhsha ham imaan Aaminah. Jo milaa jis ko milaa tum se milaa, Deen o imaan ‘ilm o ‘irfaan Aaminah. Sab jahaan ki maaien ho tum par fidaa, Tum Muhammad ki bani maan Aaminah. Ibn e Maryam waaqa’ie Rabb ke Rusool, Par Muhammad ki bari shaan Aaminah. Jis shikam mein Mustafa houn jaaghuzeer, ‘Arsh e a’azam se hai zishaan Aaminah. Tum se imaan o amaanat aur aman, Tum faizaan tum se ‘irfaan Aaminah. Aaminah ke teen ma’ana bil yaqeen, Baa amaanat aman o imaan Aaminah. Tum se Allah o Muhammad hain ayyaan, Aur hidaayat tum mein pinhaan Aaminah. Ham hain mumin aur tum imaan bakhsh, Chashmah e Deen tum se jaari Aaminah. Aap ka rawzah mujaawir mein banun, Phir nikaalun dil ke armaan Aaminah. Mahbat e Qur’an Nabi hai aur tum, ho Nabi ki Muhtaram maan Aaminah. Hai yeh Saalik aap ke dar ka faqeer, mangta hai aman o imaan Aaminah. `Saalik’ Hakeem ul Ummah Mufassir ul Qur’an Shaykh ul Hadith Shaykh Mufti Ahmad Yaar Khan al Naeemi ‘alaihi al rahmah