MERE AAQA BANEY LAA MAKAAN KE MAKEEN

Discussion in 'Poetry' started by Aqib alQadri, Apr 16, 2015.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

    MERE AAQA BANEY LAA MAKAAN KE MAKEEN

    Naaz karta hai qadmoN pe arsh e bareeN, mere aaqa baney laa makaaN ke makeeN

    ناز کرتا ہے قدموں پہ عرش بریں، میرے آقا بنے لا مکاں کے مکیں


    Sab ko milta Nabi se hai ilm o yaqeeN, Jaari lab pe hua un ke Qura’n mobeeN

    سب کو ملتا نبی سے ہے علم و یقیں، جاری لب پہ ہوا ان کے قراں مبیں


    Jo kia Noor ko sajdah e awwaleen, un ke khaadim baney dekho Rooh e ameeN

    جو کیا نور کو سجدہ اولیں، ان کے خادم بنے دیکھو روح امیں


    Aaye dunya me yun to bahut mahJabeen, Koi aaya na aayega tumsa haseeN

    آے دنیا میں یوں تو بہت مہ جبیں، کوئی آیا نہ آے گا تمسا حسیں


    Martabah voh mila hai khuda ke yahan, koi tumsa hua hai na hoga kaheeN

    مرتبہ وہ ملا ہے خدا کے یہاں، کوئی تمسا ہوا ہے نہ ہوگا کہیں


    JholiyaaN bharte hain detey hi rehte hain, ek lafz naheeN un key lab par naheeN

    جھولیاں بھرتے ہیں دیتے ہی رہتے ہیں، ایک لفظ نہیں ان کے لب پر نہیں


    Dekh kar jalwa karte hain aankhon ko band, un ke ushhaak ko koi jachta nahiN

    دیکھ کر جلوہ کرتے ہیں آنکھوں کو بند، ان کے عشاق کو کوئی جچتا نہیں


    Mal ke aankhon mein Aaqa ke qadmon ki dhool, Awliyaa ki nazar me hai lawh e mobeeN

    مل کے آنکھوں میں آقا کے قدموں کی دھول، اولیاء کی نظر میں ہے لوح مبیں


    Khuld ke talibo shehr e Taibah chalo, Un ke qadmon mein jannat basi hai yaheen

    خلد کے طالبو شہر طیبہ چلو، ان کے قدموں میں جنّت بسی ہے یہیں


    Khuld ka raasta Vaa ho Aaqib tera, khaake Taibah me mil jaaye do gaz zameeN

    خلد کا راستہ وا ہو عاقب تیرا، خاک طیبہ میں مل جائے دو گز زمیں
     
    Abu al-Qasim likes this.

Share This Page