nice urdu ash'ār

Discussion in 'Poetry' started by Bazdawi, May 16, 2017.

Draft saved Draft deleted
  1. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    woh andhera hi bhala tha keh qadam rah pe the
    roshni layi hai manzil se bahot dur hamein!
     
  2. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    bey-iytidaliyoN se subuk sab meiN hum huwe
    jitney ziyadah ho gaye utne hi kam huwe
     
  3. abu nibras

    abu nibras Staff Member

    zindagi ka yeh hunar bhi aazmana chahiye
    jung gar apnouN se ho to haar jana chahiye
     
  4. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    teri wafa se kya ho talafi ke dahr meiN
    tere siwaa bhi ham pey bahut se sitam huwe


    likhtey rahe junuN ki Hikayat e khuun chakaN
    har chand is meiN haath hamare qalam huwe
     
  5. abu nibras

    abu nibras Staff Member

    Comes in handy as a response to painful solutions

    dard.e.sar ke waastey sandal lagaanaa hai mufeed
    is kaa ghisnaa aur lagaanaa, khud
    bhi ek sar.dard hai
     
    Bazdawi likes this.
  6. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    na tha kuch to khuda tha, na hota kuch to khuda hota;
    duboya mujh ko hone ne, na hota mai to kya hota?
     
    Ghulam e Mustafa likes this.
  7. Abu Hamza

    Abu Hamza Well-Known Member

    zāhid sharāb peene de masjid mai bet kar
    ya wau jagga bata jahan khuda nahin

    [Mirza Ghālib]

    masjid khuda ka ghar hai peene ki jagga nahin
    kāfir kai dil mai ja, waha khuda nahin

    [Iqbāl's response]
     
    Unbeknown and Noori like this.
  8. Aqib alQadri

    Aqib alQadri Veteran

    محمد کی محبت دین حق کی شرط اول ہے
    اسی میں ہو اگر خامی تو سب کچھ نامکمل ہے


    In the true religion, the love of Mohammed is prerequisite!
    If this itself is flawed, everything else is incomplete!
     
  9. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    is it true Iqbal wrote this aimed towards molwi abul kalam azad?
     
  10. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    i was about to post this one, you just about nabbed it.
     
    Aqdas likes this.
  11. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    hum taalib e shuhrat hain hameN nang se kya kaam
    badnaam agar honge to kya naam na hogaa?

    [shefta]
     
    Unbeknown, Bazdawi and Aqdas like this.
  12. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    yūñ qatl se bach'choñ ke woh badnām na hotā
    Afsos ke fir'áwn ko college ki na sūjhi
     
    Unbeknown and Noori like this.
  13. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    qawm kya cheez hai, qawmo ki imamat kya hai -
    is ko kya samjhain ye beycharey do rakat key imam!
     
  14. Noori

    Noori Senior Moderator

    موت سنتا ھوں ستم تلخ ہے زہرابہ ناب
    کون لا دے مجھے تلووں کا غسالا تیرا
     
    Last edited by a moderator: Apr 11, 2016
    Unbeknown likes this.
  15. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    nahiN tera nisheman qaSr e sulTani ki gumbad par
    tu shaheeN hai baSera kar pahaRon ki chaTanoN par
     
    Last edited: Apr 11, 2016
    Unbeknown and Bazdawi like this.
  16. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    classic akbar ilahbadi:

    ---
    rang chehre ka to college ne bhi rakha qayim
    rang e baaTin meiN magar baap se beTa na mila

    sayyid uThe jo gazette le ke to lakhoN laaye
    shaykh qur'an dikhate phire paisa na milaa

    ----
    duniya meiN huN duniya ka talabgar nahiN huN
    baazar se guzra huN kharidaar nahiN huN

    zinda huN magar zeest ki lazzat nahiN baaqi
    har chand ke huN hosh meiN hoshiyar nahiN huN

    afsurdah huN ibrat se dawa ki nahiN haajat
    gham ka mujhe ye zu'uf hai beemar nahiN huN

    woh gul huN khizaN ne jise barbad kiya hai
    uljhuN kisi daaman se main woh khaar nahiN huN

    go da'awa e taqwa nahiN dargah e khuda meiN
    but jis se hoN khush, aysa gunahgar nahiN huN


    -----
    a fine example of sahl mumtaniy:

    Allah bacha'ye maraz e ishq se dil ko
    suntey haiN ke ye aarizah ach'cha nahiN hotaa

    [ach'cha nahiN hota is used both as "not good" and "won't be cured"]

    hum aah bhi kartey haiN to ho jaatey haiN badnaam
    woh qatl bhi kartey haiN to charcha nahiN hotaa
     
    Last edited: Apr 11, 2016
    Unbeknown and Bazdawi like this.
  17. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    ay zauq takalluf mein hai taklif sarasar
    aaram se woh hai jo takalluf nahin karta


    zoq.jpg
     
    Unbeknown and Bazdawi like this.
  18. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    kahūn kis se maiN kih kyā hai - shab-e ġham burī balā hai!
    mujhe kyā burā thā marnā agar ek bār hotā.
     
    Unbeknown likes this.
  19. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    girtey hain shah-sawar hi maydan e jung meiN
    woh Tifl kya girega jo ghuTnoN ke bal chaley
     
    Ghulam Ali, Unbeknown and Bazdawi like this.
  20. Bazdawi

    Bazdawi Well-Known Member

    masjid to banadi shab-bhar mai
    iman ki hararat walo ne
    man apna purana paapi tha
    barso mai namazi ban na saka.
     
    Unbeknown likes this.

Share This Page