qafas meiN bulbul.e.shaidaa ko jab liyaa saiyyaad

Discussion in 'Poetry' started by abu nibras, Mar 8, 2005.

Draft saved Draft deleted
  1. abu nibras

    abu nibras Staff Member


    qafas meiN bulbul.e.shaidaa ko jab liyaa saiyyaad
    by
    Hazrat Syed Shah Mueenuddin Hussaini Shah Khamosh Quddisa Sirruh !

    qafas meiN bulbul.e.shaidaa ko jab liyaa saiyyaad
    kahi : qusoor kya mai ne kiya teraa saiyyaad

    parouN ko khol de aur sun meri haqeeqat ko
    tujhe sunaati hooN maiN apna maajraa saiyyaad

    mai dekh ghunchaa.e.khaatir ko munqabiz apney
    chaman meiN aayi thi khaney ko bas hawaa saiyyaad

    khulaa na uqdaa.e.dil kuch na dekhi sair.e.chaman
    huwi hooN qaid.e.ajaaib yeh gul khilaa saiyyaad

    qafas meiN rakh tu mujhey par chaman meiN rehne dey
    phaNsaa hai gul ki muhabbat mein dil meraa saiyyaad

    sitam to baaGh meiN pehle hi baaGhbaan ka thaa
    huwa sitam pe sitam teraa doosraa saiyyaad

    kisi se kuch na kaho dekh ho raho :Khamosh:
    khudaa hi saiyd banaaya khudaa kiyaa saiyyaad


    http://shahkhamosh.blogspot.com/

     
    Unbeknown likes this.

Share This Page