Sayyid Muhammad Na'eem al-Din Muradabadi

Discussion in 'Siyar an-Nubala' started by sunnistudent, Nov 27, 2010.

Draft saved Draft deleted
  1. sunnistudent

    sunnistudent Veteran

    It consists of 23 pages. It highlights the fraud which deobandis did in order to get signature of sunni arab scholars. And of course, some of the signatures were also fraud.


    I am sure brother Noori must have got it. If not, Insha Allah I will upload it.
     
  2. ghulam-e-raza

    ghulam-e-raza Well-Known Member

    subhanAllah I too wish to obtain a copy of this book! Anyone wishing to scan for us?

    JazakAllah!
     
  3. chisti-raza

    chisti-raza Veteran

    brilliant! this is what I was searching for - for a while now. does Sidi Noori perhaps have this or able to source this for his ever so helpful scribd scans?
     
  4. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    his other important books are:

    al-kalimatu'l 'ulya li iylayi 'ilm al-mustafa (on the extensiveness of the knowledge of unseen of RasulAllah sallAllahu alayhi wa sallam) a summary refutation of more than a dozen wahabi-deobandi books.

    aTyab al-bayan radd e tafwiyatu'l iman (a point by point refutation of the utterly burnable book tafwiyatu'l iman of ismayil dihlawi)

    at-taHqiqat li daf' al-talbisat (a refutation of the pack of lies by the name al-muhannad, which the deobandis still use to this day)
     
  5. masha Allah! Thanks for this!
     
  6. chisti-raza

    chisti-raza Veteran

    [FONT='Georgia','serif'][​IMG][FONT='Georgia','serif'][/font][/font]

    [FONT='Georgia','serif']
    A renowned and famous scholar of philosophy, geometry, logic, hadith, and a poet of the Beloved Messenger of Allah Salla Allahu ta'ala 'alayhi wa Sallam, namely Sayyad Muhammad Na'imuddin, titled as 'Sadr-al-Afadhil', the son of Mawlana Mu'in al-Din Rahmatullahi alayh, who was born on 21st of Safar-ul-Muzaffar 1300H, on 1st January 1887, in Muradabad, India.

    He became a memoriser (hafiz) of the Ennobled Qur'an, at the age of 8. He studied the Urdu, and Persian literature from his father, as the 'Dars-e-Nizamiyyah' was studied under Shah Fadl Ahmad Rahmatullahi 'alayh. He further obtained a degree in granting legal juristic opinion (ifta') from Shah Muhammad Gul Rahmatullahi 'alayh, and had also sworn allegiance (bay'ah) to him.

    His forefathers were the inhabitants of 'Mash'had'. At the time of King Aurangzeb, they travelled from there to India. The king gave them great esteem, and granted them with entitlement to land. They travelled many cities when they reached Lahore, and there they stayed near 'Abul-Hasanat'.

    He took part vigourously, in many Islamic Movements, as he was also a part (rukn) of the 'Khilafat Committee' which was to establish a Sultanate in Turkey. At this stage, he had made some sensational lectures.

    He made 'impacting' tours of Agra, Jaipur, Kishan Garh, Gobind Garh, Hawali'-e-Ajmer, Mithar, and Bharatpur against the 'Show 'Ali Movement' whose aim was to destroy Islam, and also sent his delegates there.

    In 1343H [1924], he issued the Monthly 'As-Sawad-al-A'zam' and by doing so, vigourously supported the 'View of the Two nations'.

    In gaining the independance for Pakistan, on the 18th September 1918, he delivered an oratory masterpiece, at the opening ceremony at the 'All India Sunni Conference'. He took great part in the passing of the resolutions for a Pakistan at Minto-Park. He was the Chief Organiser (Nazim-e-A'ala), at the Banaras Conference held in 1942.

    He fell ill while he was still preparing an Islamic constitution. Life spared him no deferment, and on 18th Dhul Hijjah 1367H [13th October 1948], on a Friday, the world became deprived of him. His sanctuary stands at the left of the Jami'ah Masjid, at Muradabad.

    He left 14 works, and lots of treatises including 'Khaza'in-al-Irfan' the tafsir [commentary] of Kanz al-Iman: Ala Hadrat Shah Ahmad Raza Khan alayhir rahman's Qur'an tranlsation in urdu.

    Amongst the most famous works are:

    Tafsir Khaza'in-al-Irfan,
    Deewan-e-Urdu,
    Kitab-ul-'Aqa'id,
    Sirat-e-Sihabah,
    Sawaneh Karbala,
    and Adab-ul-Akhya.

    He was a khalifa of Imam al-Ahl as-Sunnat A'la Hadrat Shah Imam Ahmad Raza Khan al-Barelwi and of 'Ashrafi miya' Shaykh Allama Sayyad Muhammad Ali Hussain Shah al-Kicchochawee 'alayhir rahman w'al ridwan

    His students included:

    Mufti Ahmad Yaar Khan Na'imi


    Riyaz-e-Na'eem (Poetry Collection):

    Sadr al-Afadil, the teacher of teachers in the last century, Mawlana Muhammad Na'eemuddin Muradaabadi is a jurist, scholar, mufti, Quranic Exegete and an Educator. He was also an excellent poet; a collection of his poems is named as 'Riyaz e Na'eem' / the 'Garden of Na'eem' or the 'Garden of Comfort.' Below is a selection from his Deewan:[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]

    [FONT='Georgia','serif']ujDey huwey diyār ko ársh e barīN banayeN to[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]​

    [FONT='Georgia','serif']
    ujDey huwey diyār ko ársh e barīN banayeN to
    un pey fidā hai dil merā, naaz sey dil meiN aayeN to

    chahra e paak sey niqāb aap zaraa uThayeN to
    husn-e-khudā-numā ki shaan, shaan-e-khudā dikhāyeN to

    kushta e ishq sayyidaa, aap key naam par marey
    jalwah inheN dikhāyiye aap agar jilaayeN to

    dard o alam key mubtalaa, jin ki kahiN na ho dawaa
    dekheN woh shaan e kibriyaa, aap key dar pey aayeN to

    kartey haiN kis pey kuch sitam, kyuN ho kisi ko ranj o gham
    mawlid e Muşţafā ki ham, eyd agar manāyeN to

    bad haiN agarche ham huzur, aap ke haiN magar zaruur
    kis ko sunayeN haal e dil tumhain nahiN sunayeN to

    aap key dar pey gar na aayeN, kaun sa dar hai jis pe jaayeN
    saamney kis key sar jhukaayeN, aap hameN bataayeN to?

    haal meraa tabaah hai, naamah meraa siyaah hai
    heych meraa gunaah hai, aap agar bachaayeN to

    dil ki muraad un ki deed; deed hai unki dil ki eyd
    eyd nahiN hai kuch bayeed, lutf sey gar bulayeN to

    sadmeN firaq o hijr key, kis sey yeh ghamzadah kahey
    tu hi agar karam karey, dard e nihaaN sunayeN to

    rafá haiN fat’ĥ key asar; peysh hain kasr key zirar
    zeyr ko keejiye zabar, naSb adad uThayeN to

    karney ko jaan o dil fidaa rozah e paak par shahaa
    pahunchey naýīm e bey nawaa, aap agar bulāyeN to[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]

    [FONT='Georgia','serif']nalah kartey haiN aah kartey haiN[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]​

    [FONT='Georgia','serif']
    nalah kartey haiN aah kartey haiN
    yeh bhi koyi gunaah kartey haiN

    paaoN zakhmi huwey to honey do
    sar ko ham waqf e raah kartey haiN

    aap key hijr meiN aseer e alam
    giryah ay baadshaah kartey haiN

    dawr duuri ka duur ho jaaye
    yeh duáā sub’H gaah kartey haiN

    dil lagaana kisi sey laa haasil
    woh kisi sey nibaah kartey haiN

    garchey aasi haiN teri raHmat key
    hum umeed ay ilaah kartey haiN

    na-umeedi hai kaam kaafir kaa
    ya’s woh ruu siyaah kartey haiN

    aap key gham meiN jaan dee ham ney
    aap ko hum gawaah kartey haiN

    un ke husn e jameel kee tawseef
    anjum o mihr o maah kartey haiN

    haal e dil unsey kyaa kahey koyee
    sun ke woh waah waah kartey haiN

    husn e naa-paayedaar par yeh ghuruur
    but sitam bey-panaah kartey haiN

    ishq jo kartey hain paree-ruu sey
    naamah apnaa siyaah kartey haiN

    husn e faani bhi husn hai koyee
    umr ko kyuN tabaah kartey haiN

    husn e baatil pey naaz aur ghamzah
    kyuN yeh naamah siyaah kartey haiN

    aankh rakhtey haiN jo, nayimuddin
    dil sey ishq e ilaah kartey haiN[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]

    [FONT='Georgia','serif']Manqabat-e-Imam Husayn raDiyallahu ta'ala anhu[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]​

    [FONT='Georgia','serif']
    aabid e kibriyaa, imām ĥusayn
    zahid e bey-riyaa, imām ĥusayn

    gul e gulzār e sayyid e aalam
    mah jabeeN khush liqaa imām ĥusayn

    hazrat e fatimah key nuur e nazar
    deen haqq kee ziyaa imām ĥusayn

    qurratu’l ayn e hazrat e haydar
    sayyid e awliyaa imām ĥusayn

    sibT e akbar ke raahat e dil o jaaN
    quwwat e mujtabaa imām ĥusayn

    deen key peshwaa imām ĥusayn
    rahnumaa muqtadaa imām ĥusayn

    jumla as’ĥāb ke qaraar e dil
    waaris e anbiyaa imām ĥusayn

    jaaN nisaaraNe deen key sarkhayl
    haadi o peshwaa imām ĥusayn

    woh shahadat ko naaz ho jin par
    ahl e sabr o razaa imām ĥusayn

    sahib e adl o daad o hilm o karam
    taaj e ahl e sakhaa imām ĥusayn

    haami e deen o naasir e millat
    deen Haqq par fidaa imām ĥusayn

    karbala ki zameeN pey khuuN se likhaa
    tum ney naam e wafaa imām ĥusayn

    tum ney dikhlaa diyaa zamaaney ko
    naqsh e sidq o safaa imām ĥusayn

    dhuum aalam meiN hai shujāát kee
    kaam aysaa kiyaa imām ĥusayn

    kaysey kaysey sitam huwey tum par
    aashiq e kibriyaa imām ĥusayn

    raah haq meiN kaTaya sab kunbaa
    marHabah marHabah imām ĥusayn

    teen din tak pyaas meiN taDpaa
    teraa sab qaafilah imām ĥusayn

    nau nihaal apney tumney nazr kiye
    fakhr e sabr o razaa imām ĥusayn

    fauj zaalim ki ruu siyaah huwee
    karkey zulm o jafaa imām ĥusayn

    teri sawlat sey terey a’adaa meiN
    tehlaka paDh gaya imām ĥusayn

    teri talwaar ka jahaaN meiN hai
    aaj tak ghalghalaa imām ĥusayn

    kaTey har waar meiN parey ke parey
    ro diye ashqiyaa imām ĥusayn

    jalwah afroz karbalah meiN huwey
    sayyid e anbiyaa, imām ĥusayn [that is sayyid e anbiya, Aey imām ĥusayn!!]

    aap ko daayimi hayaat milee
    ay Imām e hudaa imām ĥusayn

    sab jahaN meiN tumhara qabzaa hai
    faatih e karbalaa imām ĥusayn

    saari khilqat meiN ho gaye ruswaa
    tere aadaa shahaa! imām ĥusayn

    saarey aalam ke mominoN ke liye
    rab sey keeje duaa imām ĥusayn

    aap sey rakhtey haiN umeed e karam
    ranj key mubtalaa, imām ĥusayn [again, ranj key mubtalaa ummeed rakhtey haiN Aey imām ĥusayn!!]

    is nayeem e gunaah gaar pey lutf
    ay shah e asfiyaa imām ĥusayn[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]

    [FONT='Georgia','serif']Dushmanan-e-Ahle Bayt[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]​

    [FONT='Georgia','serif']
    ay ibn e sa’ad rayy ki hukumat to kya milī
    zulm o jafa ki jald hi tujh ko sazaa milī

    ay shimr e naabakaar, shahīdoN key khuun sey
    kaysī sazā tujhe abhi ay naasazā milī

    ay tishna gaane khuun e jawānān e ahl e bayt
    dekhā ? key tum ko zulm ki kaysī saza milī

    kuttoN ki taraH lāsheN tumhārī saDā kiye
    ghūDī pey gor ko bhi tumhārī na jā milī

    ruswāy e khalq ho gaye barbād ho gaye
    mardūdo tum ko zillat e har do sarā milī

    tum ne ujāDa hazrat e zahrā ka būstāN
    tum khud ujaD gaye tumheN ye bad’duá milī

    dunyā parstO deen se muNh moD kar tumheN
    dunyā milī na áysh o tarab kī hawā milī

    aakhir dikhāya rang shahīdoN key khuun ney
    sar kaT gaye amaaN na tumheN ik zara milī

    paayī hai kyā naýīm unhoN ney abhī sazā
    dekheN gey woh jaĥīm meiN jis dam sazā milī[/font][FONT='Georgia','serif'][/font]

    [FONT='Georgia','serif'][​IMG][/font][FONT='Georgia','serif'][/font]​
     

Share This Page