Translation requests

Discussion in 'Poetry' started by MubeenIqbal, Dec 20, 2009.

Draft saved Draft deleted
  1. MubeenIqbal

    MubeenIqbal New Member

    Assalamu alaykum

    I would be ever ever so grateful if one of the brothers could translate for me the following naat by Hazrat Mufti e Azam e Hind, Shehzada e AlaHazrat, Taajdar e Ahlesunnat, Maulana Mustafa Raza Khan Noori (radiAllahu anh):

    Habeeb-e-Khuda ka nazara karoon main
    Dil-o-jaan Un par nisara karoon main

    Teri kafsh-e-pa yoon saanwara karoon main
    Ke palkaun say apni buhara karoon main

    main kyun ghair ki thokarein khane jaoon
    Tere dar se apna guzara karoon main

    Khudara ab aaon ke dum hai labaun par
    Dum-e-waapsi to nazarah karoon main

    Tere naam par sar ko Qurbaan karke
    Tere sar se sadqe utara karoon main

    Yeh ek jaan kya hai agar ho karodoon
    Tere naam par sab ko wara karoon main

    Mera deen-o-imaan farishte jo poochein
    Tumahri hi janib isharah karoon main

    Dum e waapsi tak tere geet gaoon
    Muhammad mumajjad pukara karoon main

    Khuda ek par to ik par muhammad
    agar qalb apna dopaara karoon main

    Tera zikr lab par khuda dil ke andar
    yunhi zindagani guzara karoon main

    Tere dar ke hote kahan jaoon pyare
    Kahan apna daaman basara karoon main

    Khuda Khair se laae woh din bhi Noori
    Madine ki galiyaan buhara karoon main
     

Share This Page