Transliterated Islamic Poetry

Discussion in 'Poetry' started by Ridwi, Sep 9, 2011.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Tū Sham-e Risālat Hai

    -----

    Tū Sham-e Risālat Hai,
    Aalam Tera Parwāna
    Tū Maahe Nabuwwat Hai,
    Ae Jalwa-e Jaan-ana

    Jo Saaqī-e Kauṣar Ke,
    Chehre Se Niqāb Uthe,
    Har Dil Bane Meh Khāna,
    Har Aankh Ho Pemānah

    Har Aarzū Bar Aaye,
    Sab Hasratei[n] Pūrī Hau[n],
    Woh Kaan Zara Dhar Kar,
    Sunle Mera Afsānah

    Peete Hai[n] Tere Dar Ka,
    Khaate Hai[n] Tere Dar Ka,
    Paanī Hai Tera Paanī,
    Daanah Hai Tera Daanah

    Dunya Mai[n] Mujhe Apna,
    Tum Ne Tu Banāya Hai,
    Maĥshar Mai[n] Bhī Keh Dena,
    Yeh Hai Mera Deewāna

    Sarkār Ke Jalwau[n] Se,
    Raushan Hai Dil-e Nūrī,
    Ta-Hashr Rahe Raushan,
    Nūrī Ka Ye Kāshānah
     
  2. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Kyā Mahekte Hai[n] Mahekne Wāle
    Imām Ahl as-Sunnah Imām Aĥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Kyā Mahekte Hai[n] Mahekne Wāle,
    Boo Pe Chalte Hai[n], Bathakne Wāle

    Jagmaga Uthee Merī Ghawr Kī Khaaq,
    Tere Qurbān Chamakne Wāle

    ‘Arsh Tak Paehlī Hai Tāb-e Ā’riz,
    Kya Jalakhte Hai[n], Jalakhne Wāle

    Gul-e Taybah Kī Ṣana Gaate Hai[n],
    Nakhl-e Tūba Pe Chahekne Wāle

    Aasīyau Thaam Lo Daaman Unka,
    Woh Nahī[n] Haath Jhatakne Wāle

    Sunniyau! Unse Madad Maange Jaoo,
    Pare Bakte Rahai[n], Bakne Wāle

    Mawt Kehtī Hai Ke Jalwa Hai Kareeb,
    Ik Zara Sau Le[n] Balakne Wāle

    Jab Gire Mū[n]h Sue’e Maikhānah Tha,
    Haush Mai[n] Hai[n] Bahekne Wāle

    Kaf-e Daryāye Karam Mai[n] Hai[n] Razā,
    Paanch Fau-are Chalakne Wāle
     
  3. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Muftī Mustafa Razā Nūrī: Maktāhs from Sāmān-e Bakshish

    Khudā Khayr Se Laaye Woh Din Bhī Nūrī,
    Madīne Kī Galiya[n] Buhāra Karū[n] Mai[n]

    Ka’aba-aw-Aqsa-aw-Arsh-aw-Khuld Hai[n] Nūrī Magar,
    Hai Nirāla Sab Se Aalam Jalwah Gaa-hai Yaar Ka

    Zulmat Markad Ka Andesha Ho Kyūn Nūrī Mujhe,
    Qalb Mai[n] Hai Jab Mere Jalwah Jamāl-e Yaar Ka

    Aur Chamaktī Si Ghazal Koyee Parhau Ae Nūrī,
    Rang Apna Abhī Jamne Shu’ara Ne Na Diya

    Ek Ghazal Aur Chamaktī Sī Suna De Nūrī,
    Dil Jila Paaye Ga Mera Tera Ehsā[n] Hoga

    Umr Saarī Tu Kat-ee Lahw Mai[n] Apnī Nūrī,
    Kab Madīne Kee Taraf Kawch Ka Saama[n] Hoga

    Zulmat Qabr Ka Kya Khawf Mujhe Ae Nūrī,
    Jab Mere Qalb Mai[n] Îmâ[n] Ka Lam’aa[n] Hoga

    Lilla Khabr Lau Nūrī Kee,
    Achī Sūrat Ho Nūrī Kee,
    Chaand See Achī Sūrat Waale,
    śallAllāhu álayka wa sallam,
    śallAllāhu álayka wa sallam

    Haazir Dar Hai Nūrī Muztar Aapka Yeh Mau’rūsī Ṣana Gar,
    Ibn Razā Hai Khawaha[n] Razā Ka śallAllāhu álayka wa sallam

    Ae Shahenshah Do ‘Aalam, Shāf’e Rawz Qayâm,
    Zeenat Gulzār Tayba Marja’e Har Khaas-aw-‘Aam,
    Haazir Dar Aaj Hai[n] Sarkār Ke Razawī Ghulām,
    Az-Piye Aḥmad Razā Maqbūl Ho Unka Salâm

    Jhalak Rū-ae Anwar Kee Apnī Dekha Kar,
    Tu Nūrī Ko Nūrī Bana Ghaus-e Aázam

    Fida Tum Pe Ho Jaaye Nūrī Muztar,
    Yeh Hai Uskī Khwāhish Dilee Ghaus-e Aázam

    Tumhāre Karam Ka Hai Nūrī Bhi Pyāsa,
    Mile Yum Se Isko Bhī Num Ghaus-e Aázam

    Sunu-ge Laa, Na, Zubaane Kareem Se Nūrī,
    Ye Fayz-aw-Juud Ke Darya Bahāne Aaye Hai[n]

    Naseeb Tera Chamak Utha Dekh [Tu] Nūrī,
    Arab Ke Chaand Lahad Ke Sarhāne Aaye Hai[n]

    Piya Hai Jaam Muhabbat Jo Aap Ne Nūrī,
    Hamesha Is Ka Rahe Ga Khamār Aankhau[n] Mai[n]

    Saba Hee Se Nūrī Salâm Apne Kehde,
    Siwa Iske Kya Aur Chaara Karū[n] Mai[n]

    Yeh Nūrī Muztar Tera Ṣanā Gar,
    Aur Uska Ghar Bhar Ho Haazir Dar,
    Apne Gadāgar Ko Dar Par Bulālo,
    Amn-aw-Amā[n] Se Hamai[n] Sarwar Bulālo

    Sarkār Ke Jalwau[n] Se Raushan Hai Dil-e Nūrī,
    Ta-Hashr Rahe Raushan Nuri Ka Ye Kāshānah

    Qawāfī Aur Mazamīn Ache Ache Hai[n] Abhī Baaqee,
    Magar Bus Bhī Karo Nūrī Na Parna Baar Ho Jaaye

    Shawq Deedar Nūrī Mai[n], Ae Nūrī,
    Rūh Kheench Kar Ab Aankhau[n] Mai[n] Aayee Hai

    Wah! Kya Baat Aap Kee Nūrī,
    Kya Hee Achī Ghazal Sunāyee Hai

    Watan Kee Har Suhāni Subh Nūrī,
    Yahā[n] Kee Shaam Gurbat Par Fida Hai

    Suna Nūrī, Ghazal Uskee Ṣana Mai[n],
    Ṣana Jis Kee Ṣana’ye Kibriyā Hai
     
  4. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Muzhda Baad Ae Aasiyau!
    Imām Ahl as-Sunnah Imām Aĥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Muzhda Baad Ae Aasiyau! Shaf’e Sha-he Abrār Hai,
    Tahnīyat Ae Mujirmau Zaat-e Khudā Gaffār Hai

    Chaand Shaq Ho, Per’h Baulei[n], Jaanwar Sajdah Karei[n],
    BarakAllāh! Marja’e ‘Aalam Yahee Sarkaar Hai[n]

    Jinko Suee Âasmā[n] Phelā Ke Jal Thal Bhar Diye,
    Sadqah Un Haathau[n] Ka Pyāre Hum Ko Bhī Darkaar Hai[n]

    Lab Zulāle, Chashma’e Kun Mai[n] Gundeh Waqt-e Khamīr,
    Murde Zinda Karna Ae Jaa[n] Tum Ko Kya Dushwar Hai

    Gore Gore Paoo[n] Chamkādo Khudā Ke Waaste,
    Noor Ka Tarkā Ho Pyāre Gaur Kee Shab Taar Hai

    Tere Hee Daaman Pe Har ‘Âasī Kee Partī Hai Nazar,
    Ek Jaan-e be-Khatā Par Do Jahā[n] Ka Baar Hai

    Jaush-e Tūfaan Bahr-e be-Paaya[n] Hawā Na-Saaz Gaar,
    Nūh Ke Mawla Karam Karde Tu Berā Paar Hai

    Raĥmatulil Alamīn Terī Duhāyee Dabgaya,
    Ab Tu Mawla be-Tarah Sar Par Gunah Ka Baar Hai

    Goonjh Goonjh Uthe Hai[n] Nag’māte Razā Se Baustā[n],
    Kyūn Na Ho Kis Phool Kī Mid’ĥat Mai[n] wa-Minkār Hai
     
  5. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Murādei[n] Mil Rahee Hai[n]
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Murādei[n] Mil Rahee Hai[n] Shaad Shaad Unka Suwālī Hai,
    Labau[n] Pe Iltija Hai, Haath Mai[n] Roze Kee Jālī Hai

    Terī Sūrat, Terī Sīrat Zamāne Se Nirālī Hai,
    Terī Har Har Ada Pyāre, Daleel-e Be-Misālī Hai

    Woh Hai[n] Allah Waale Jo Tujhe Waalī Kahei[n] Apna,
    Ke Tu Allah Waala Hai, Tera Allah Waalī Hai

    Nikāla Kab Kisī Ko Bazm-e Fayz-e ‘Aam Se Tumne,
    Nikālī Hai Tu Aane Walaw[n] Kī Hasrat Nakālī Hai

    Khudā Shāhid Ke Rawz-e Hashr Ka Khatka Nahī[n] Rehta,
    Mujhe Jab Yaad Aata Hai Ke Mera Kaun Waalī Hai

    Faqat Itna Sabab Hai Ine’qad-e Bazm-e Maĥshar Ka,
    Ke Unkī Shān-e Maĥbūbī Dekhāyī Jaane Waalī Hai

    Sharaf Makke Kī Bastee Ko, Mila Tayba Kī Bastee Se,
    Nabī Waalī Hee Ke Sadqe Mai[n] Woh Allāh Waalī Hai

    Wohee Waalī Hai, Wohee Âaqa Hai, Wohee Wāriṣ, Wohee Mawla,
    Mai[n] Unke Sadqe Jaoo[n] Aur Mera Kaun Waalī Hai

    Tumhāre Dar, Tumhāre Aastā[n] Se Mai[n] Kahā[n] Jaoo[n],
    Na Mujhsa Koyee Bekas Hai, Na Tumsa Koyee Waalī Hai

    Ĥasan Ka Dard-aw-Dukh Mawqūf Farma Kar Bahālī Do,
    Tumhāre Haath Mai[n] Dunya Kī Mawqūfī Bahālī Hai
     
  6. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Aisa Tujhe Khāliq Ne Taraĥ Daar Banāya
    Ustādh-e Zaman Mawlana Ĥasan Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Aisa Tujhe Khāliq Ne Taraĥ Daar Banāya,
    Yūsuf Ko Tera Tālib-e Deedār Banāya

    Deewarau[n] Ko Aa’eyna Banāte Hai[n] Woh Jalwe,
    Aa’eyau[n] Ko Jin Jalwau[n] Ne Deewār Banāya

    Kawnayn Banaye Gaye Sarkaar Kī Khātir,
    Kawnayn Kī Khātir Tumhai[n] Sarkaar Banāya

    Khunjhī Tumhai[n] Dee Apne Khazānau[n] Kee Khudā Ne,
    Maĥbūb Kiya, Malik-aw-Mukhtār Banāya

    ‘Aalam Ke Salateen Bhīkārī Hai[n] Bhīkārī,
    Sarkaar Banāya Tumhai[n] Sarkaar Banāya

    Allāh Ta’āla Bhī Hua Uska Tarafdār,
    Sarkaar Tumhai[n] Jis Ne Tarafdār Banāya

    Har Baat Bud-A’māliyau[n] Se Mai[n] Ne Beghārī,
    Aur Tum Ne Merī Bighrī Ko, Har Baar Banāya

    Ae Nazm-e Risālat Ke Chamakte Hue Makta’,
    Tu Ne Hee Usse Matla’e Anwār Banāya

    Unke Lab-e Rangee[n] Kī Nechāwar Thī Ke Jis Ne,
    Pathar Mai[n] Ĥasan La’l-e Pur Anwār Banāya
     
  7. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Under the title is the name of the writer of the Kalam

    Owais Qadri is the writer of the na'at
     
  8. hayaa

    hayaa Guest

    Hey thanks for this.

    When you write Hz Owais Raza Qadri, is he the singer or writer of that naarth? Thanks.
     
  9. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Haajiyo Aao Shahenshāh Ka Roza Dekho
    Imām Ahl as-Sunnah Imām Aḥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Haajiyo Aao Shahenshāh Ka Roza Dekho,
    Ka’aba Tu Dekh Chuke, Ka’abe Ka Ka’aba Dekho

    Zer-e Mizab Mile Khoob Karam Ke Cheente,
    Abr-e Rahmat Ka Yahā[n] Zaur-e Barasna Dekho

    Dauh Chuka Zulmat-e Dil Bawsa’e Sang-e Aswad,
    Khaak Bawsī’ye Madīnah Ka Bhī Rutbah Dekho

    Mehr-e Maadar Ka Maza Detī Hai Aagawsh-e Hateem,
    Jin Pe Maa[n] Baap Fida Yaa[n] Karam Unka Dekho

    Multazam Se Tu Gale Lag Ke Nikāle Armā[n],
    Adab-aw-Shawq Ka Yaa[n] Bāhim Ulajana Dekho

    Misl-e Parwana Phira Karte Teh Jis Shama’ Ke Gird,
    Apnī Us Shama’ Ko Parwanah Yahā[n] Ka Dekho

    Kar Chukee Rif’at-e Ka’aba Par Nazar Parwazei[n],
    Tawpee Ab Thaam Ke Khaak-e Dar-e Walā Dekho

    Khoob Aankhau[n] Se Lagāya Hai Ghilāf-e Ka’aba,
    Qasr-e Mahbūb Ke Parde Ka Bhī Jalwah Dekho

    Gaur Se Sun Tu Razā Ka’abe Se Aatī Hai Sada,
    Merī Aankhau[n] Se Mere Pyāre Ka Roza Dekho
     
  10. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Aa Gaye Muzhda Shafâ’at Ka Sunāne Waale
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Aa Gaye Muzhda Shafâ’at Ka Sunāne Waale,
    Naar-e Dauzakh Se Ghulamo[n] Ko Bachāne Waale

    Hai Muqaddar Mai[n] Bulandī Hee Bulandī Apne,
    Hum Tu Hai[n] Qadmo[n] Mai[n] Sar Unke Jhukāne Waale

    Kar Ke Eshān Jitāna Yeh Nahī[n] Shān Unkī,
    Aur Koī Honge Woh Ehsān Jitāne Waale

    Marr Ke Pohancha Jo Laĥad Mai[n] Tu Nakīrau[n] Ne Kaha,
    Marhaba Na’at Shah-e Dee[n] Kī Sunāne Waale

    Tu Jala Saktī Nahī[n] Sun Le Jahannum Humko,
    Hum Tu Hai[n] Jashne Wilādat Ke Manāne Waale

    Kaash Sarkaar Sar-e Hashr Kahai[n] Mujhe Se Ubaid,
    Aa Ja Daaman Mai[n] Merī Na’at Sunāne Waale
     
  11. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Charāg-e Tasawwur Jalāya Tha Maine,
    Wohee Shae’rau[n] Ko Bhī Paaya Tha Maine,
    Jo Ghālib Tha Khayraa[n], Tu Iqbāl Purnam,
    Kalām-e Razā Jab Sunāya Tha Maine

    -----

    Meenar-e Qasr-e Razā Tu Buland Kaafee Hai,
    Tum Uske Pehle Hee Zeene Pe Char Ke Dikhlado,
    Fatāwa-e Razawiyyah Tu Ek Karāmat Hai,
    Zara Hadayeq-e Bakshish Hee Parh Ke Dikhlado
     
  12. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Jalwa Hai Nūr Hai Ke Sarāpa Razā Ka Hai,
    Jamīl Nazar

    Jalwa Hai Nūr Hai Ke Sarāpa Razā Ka Hai,
    Taswīr-e Sunniyat Hai Ke Chehra Razā Ka Hai

    Wādī Razā Kī Koh Hai Himala Raza Ka Hai,
    Jis Samt Dekhiye WoH Ilaqa Razā Ka Hai

    Dastaar Aa Rahī Hai Zameen Par Jo Sar Uthe,
    Kitna Buland Aaj Parera Razā Ka Hai

    Kis Kī Majaal Hai Jo Nazar Bhī Mila Sake,
    Darbār-e Mustafa (śallAllāhu álayhi wa sallam) Mai[n] Thikāna Razā Ka Hai

    Alfāz Beh Rahe Hai[n] Daleelau[n] Kī Dhaar Par,
    Chalta Hua Qalam Hai Ke Dhara Razā Ka Hai

    Choota Hai Asman Ko Minaar Azm Ka,
    Ya’ani Atal Pahār Irada Razā Ka Hai

    Nukhte Ibaratau[n] Se Ubharte Hai[n] Khud Ba Khud,
    Nakhdo Nazar Pe Aisa Aejaara Razā Ka Hai

    Jo Likh Diya Hai Usne Sanad Hai Woh Deen Mai[n],
    Ahle Qalam Ke Aabroo Nukhta Razā Ka Hai

    Is Dawr Pur-Fitan Mai[n] Nazar Khush Aqeed-gee,
    Sarkaar Ka Karam Hai, Wasīla Razā Ka Hai
     
  13. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Apnī Nisbat Se Mai[n] Kuch Nahī[n] Hoo[n]
    Khālid Naqshbandī

    -----

    Apnī Nisbat Se Mai[n] Kuch Nahī[n] Hoo[n], Is Karam Kī Badawlat Bara Hoo[n],
    Unke Tukrau[n] Se Aezaaz Pā-Kar, Tājdaraw[n] Kī Saff Mai[n] Khara Hoo[n]

    Is Karam Ko Magar Kya Kahoge, Maine Maana Mai[n] Sab Se Bura Hoo[n],
    Jo Burau[n] Ko Samete Hue Hai[n], Unke Qadmau[n] Mai[n] Bhī Para Hoo[n]

    Dekhne Walo Mujhko Na Dekho, Dekhna Hai Agar Tu Ye Dekho,
    Kis Ke Dāman Se Wabasta Hoo[n] Mai[n], Kaun Wālī Hai Kis Ka Gada Hoo[n]

    Dekhta Hoo[n] Jab Unkī Atāyai[n], Bhool Jaata Hoo[n] Apnī Khatāyai[n],
    Sar Nadāmat Se Uthta Nahī[n] Hai, Jab Mai[n] Apnī Taraf Dekhta Hoo[n]

    Ya Nabī Apne Gham Kī Kahānī, Keh Sakūnga Na Apnī Zubānī,
    Bin Kahe Hee Merī Laaj Rakh Lo, Mai[n] Sisaktī Huee Iltijā Hoo[n]

    Shafa-e Muznibā[n] Ke Karam Ne, Laaj Rakhlee Mere Khawte-Pan Kī,
    Nisbatau[n] Ka Karam Hai Ye Khālid, Khawta Hote Hue Bhī Khara Hoo[n]
     
  14. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh
    Allāmah Muhammad Nisār Alī Ujāgar

    -----

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,
    Hum Ko Bulāna Ya HabībAllāh

    Kabhī Tu Sabz Ghumbad Ka Ujāla Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Dharak Utthe Ga Yeh Dil Ya Dharakna Bhool Jaaye Ga,
    Dil-e Bismil Ka Us Dar Par Tamasha Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Adab Se Haath Baandhe Un-Ke Roze Par Khare Honge,
    Sunehrī Jaaliyo[n] Ka Yoo[n] Nazāra Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Dar-e Daulat Se Lutāya Nahī[n] Jaata Koyee Khalī,
    Wahā[n] Khayraat Ka Batna Khudāya Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Barastī Ghumbad-e Khazra Se Tak-raatee Huee Boondhei[n] ,
    Wahā[n] Par-Shaan Se Bārish Barasna Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Guzaare Raat Din Apne Is-see Um-meed Par Hum Ne,
    Kisī Din Tu Jamāl-e Rūḥ-e Zeba Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa, Madīnah Hum Bhī Dekhei[n] Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh,

    Pohanch Jaayei[n]-ge Jis Din Ae Ujāgar Unke Qadmau[n] Mai[n],
    Kise Kehte Hai[n] Jannat Ka Nazāra Hum Bhī Dekhei[n] Ge,
    Hamai[n] Bulwayei[n]-Ge Âqa Madīnah Hum Bhī Dekhei[n]Ge

    Hum Ko Bulāna Ya RasūlAllâh
     
  15. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Mehbūb Ke Dar Par Jaoo[n]
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Meḥbūb Ke Dar Par Jaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye,
    Taqdīr Apnī Chamkaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye

    Jab Pesh-e Nazar Ho Mere, Minaar-aw-Ghumbad Tere,
    Mai[n] Gush Kha Kar Ghir Jaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye

    Dil Ko Apne Samjha Kar, Dīdār Kī Âas Dila Kar,
    Ro-Ro Kar Mai[n] Sau Jaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye

    Woh Khaab Mai[n] Jalwah Dekhayei[n], Ae Kaash Karam Farmayei[n],
    Mai[n] Qadmau[n] Mai[n] Ghir Jaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye

    Hai Dil Ka Ubaid Ye Ar’maa[n], Phir Ban Kar Unka Mehmaa[n]
    Darbār Mai[n] Na’at Sunaoo[n], Woh Waqt-e Mubarak Âaye
     
  16. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member


    Mai[n] Madīne Chala, Mai[n] Madīne Chala
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Mai[n] Madīne Chala, Mai[n] Madīne Chala,
    Phir Karam Ho Gaya Mai[n] Madīne Chala

    Kaif-sa Cha Gaya, Mai[n] Madīne Chala,
    Jhoomta Jhoomta Mai[n] Madīne Chala

    Mere Âqa Ka Darr, Hoga Pesh-e Nazar,
    Chahiye Aur Kya Mai[n] Madīne Chala

    [Dharkano Tumhi Kaho Waqt Woh Kaisa Hoga,
    Saamane Aankho[n] Ke Jab Ghumbad-e Khazra Hoga]

    Sabz Ghumbad Ka Nūr, Zang Kar De Ka Duur,
    Paaye-ga Dil Jala, Mai[n] Madīne Chala

    Ashk Thamte Nahī[n], Paao[n] Jhamte Nahī[n],
    Larkharaata Hua Mai[n] Madīne Chala

    Mere Siddīq Umar, Ho Salâm Aap Par,
    Aur Rehmat Sada Mai[n] Madīne Chala

    Woh Uhud Kī Zamee[n], Hai Jahā[n] Par Makee[n],
    Mere Hamza Piya Mai[n] Madīne Chala

    Saaqiya Mai Pila, Mai[n] Madīne Chala,
    Mast-aw-Bekhud Bana Mai[n] Madīne Chala

    Ae Shajar, Ae Hajar, Tum Bhi Shams-aw-Qamar,
    Dekho Dekho Zara Mai[n] Madīne Chala

    Dekh Taare Mujhe, Yeh Nazaare Mujhe,
    Tum Bhī Dekho Zara Mai[n] Madīne Chala

    Ruh-e Muztar Theher, Tu Nikalna Udhar,
    Itnī Jaldī Bhī Kya Mai[n] Madīne Chala

    Haath Uthte Rahai[n], Mujhko Dete Rahai[n],
    Woh Talab Se Siwa Mai[n] Madīne Chala

    Woh Baqī Kī Zamee[n], Hai Jahā[n] Par Makee[n],
    Mere Madanī Zia Mai[n] Madīne Chala

    Unke Mīnaar Par, Jab Pare Gee Nazar,
    Kya Suroor Aaye Ga Mai[n] Madīne Chala

    Dard-e Ulfat Mile, Zauq Barhne Lage,
    Jab Chale Qaafila Mai[n] Madīne Chala

    Kya Kare Ga Idhar, Baandh Rakht-e Safar,
    Chal Ubaid-e Razā Mai[n] Madīne Chala

    Mai[n] Tu Bas Yoo[n] Hee Tha, Mai[n] Kee Awkaat Kya,
    Qā’fiyah Yeh Mila Mai[n] Madīne Chala

    Kya Yeh Tū-ne Kaha, Ae Ubaid-e Razā,
    Soch Tu Kuch Zara Mai[n] Madīne Chala

    Lutf Tu Jab Mile, Mujh Se Murshid Kahai[n],
    Chal Ubaid-e Razā Mai[n] Madīne Chala
     
  17. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Jannat Mai[n] Leke Jaayegī Chāhat Rasūl Kī
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Kyūn Kar Na Mere Dil Mai[n] Ho Ulfat Rasūl Kī,
    Jannat Mai[n] Leke Jaayegī Chāhat Rasūl Kī

    Chalta Hoo[n] Mai[n] Bhī Qāfile Walo Rukhu Zara,
    Milne Do Bas Mujhe Bhī Ijāzat Rasūl Kī

    Poochei[n] Jo Deen-aw Imā[n] Nakir-ayn Qabr Mai[n],
    Us Waqt Mere Lab Pe Ho Midhat Rasūl Kī

    Qabr Mai[n] Sarkaar Aayei[n] Tu Mai[n] Qadmau[n] Mai[n] Ghiroo[n],
    Gar Farishte Bhī Uthayei[n] Tu Mai[n] Unse Yoo[n] Kahū[n],
    Ab Tu Paaye Naaz Se Mai[n] Ae Farishte Kyū[n] Uthoo[n],
    Marr Ke Pohancha Hoo[n] Yaha[n] Is Dilruba Ke Waaste

    Tarpa Ke Unke Qadmo[n] Mai[n] Mujh Ko Gira-de Shawq,
    Jis Waqt Ho Lahad Mai[n] Ziyārat Rasūl Kī

    Sarkaar Ne Bhulā Ke Madīnah Dekhā Diyā,
    Hogī Mujhe Nasīb Shafā’at Rasūl Kī

    Yā Rab Dekha De Aaj Kī Shab Jalwa-e Habīb,
    Ik Baar Tu ‘Atā Ho Ziyārat Rasūl Kī

    Tū Hai Ghulām Unka Ubaid-e Razā Tere,
    Mahshar Mai[n] Hogī Saath Himāyat Rasūl Kī
     
  18. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Jab Ghumbad-e Khazra Pe Woh Pehlī Nazar Gayī
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Jab Ghumbad-e Khazra Pe Woh Pehlī Nazar Gayī,
    Aankho[n] Ke Raaste Mere Dil Mai[n] Uttar Gayī

    Sar Kham Tha, Lab Khamaush Teh, Aankhei[n] Thee[n] Ashk-baar,
    Ik Sā’at-e Bedaar Thee Jo Ke Guzar Gayī

    Barsī Thee Iss Qadar Ke Naha Sa Gaya Udhar,
    Woh Bārish-e Karam Mere Daama[n] Ko Bhar Gayī

    Jo Keh Sakaa Na Lab Se, Milī Woh Muraad Bhī,
    Mere Sukūt Par Bhī Shahā Kee Nazar Gayī

    Marr Kar Bhī Na Maraūn-ga, Mai[n] Allah Kī Qasam,
    Yeh Jaan Unkī Zikr Mai[n] Merī Agar Gayī

    Dil Bhī Hai Shaad Shaad, Tabeeyat Hai Pur-Bahaar,
    Lagta Hai Aaj Merī Madīne Khabar Gayī

    Tayba Se Lawtna Kisī Aashiq Se Poochiye,
    Aisa Hai Jaise Rūh Badan Se Guzar Gayī

    Âwāz Ubaid Terī Ba Fayzān-e Na’at Hee,
    Seeno Mai[n] Aashiqan-e Nabī Ke Uttar Gayī

    Dil Mai[n] Basa Ke Dekh, Gham-e Mustafa Ubaid,
    Tū Bhī Kahe Ga Zindagī Merī Sa[n]war Gayī
     
  19. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Âqa Ka Mīlad Âya
    Alhāj Muhammad Oways Razā Qādrī

    -----

    Ya RasūlAllâh Ya HabībAllâh
    Salla Alayka Ya RasūlAllâh
    Wasallam Alayka Ya HabībAllâh
    Ahlaw[n] Wa Sahlan Marhaba Ya RasūlAllâh

    Charau[n] Taraf Nūr Chaaya, Âqa Ka Mīlad Âya
    Khushiyau[n] Ka Peghām Lāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Shams-au-Qamar Aur Taare, Kyūn Na Ho Khush Aaj Saare
    Unse Hee Tu Nūr Pāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Khushiya[n] Manāte Hai[n] Wohī, Dhoomai[n] Machāte Hai[n] Wohī
    Jin Par Hua Unka Sāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Hai Shaad Har Ek Musalmaa[n], Karta Hai Ghar Ghar Charāgha
    Galiyau[n] Ko Bhā Jagmagāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Mukhtār-e Kul Maane Jo Unhe, Nūri Bashar Jaane Jo Unhe
    Na’ara Ussī Ne Lagāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Jo Aaj Mehfil Main Aaye, Mann Kī Muradei[n] Woh Paaye
    Sab Par Karam Ho Khudāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Ghaws Ul-Wara Aur Dāta Ne, Mere Razā Aur Khwāja Ne
    Sab Ne Hee Ye Din Manāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Na’at-e Nabī Tum Sunao, Ishq-e Nabī Ko Barhao
    Hum Ko Raza Ne Sikhāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Jis Ko Shajar Jaante Hai[n], Kehna Hajar Maante Hai[]n
    Aisa Nabī Hum Ne Pāya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Dil Jagmagāne Lage Hai[n], Sab Muskarāne Lage Hai[n]
    Ik Kaif Sa Aaj Chāhya, Âqa Ka Mīlad Âya

    Kar Ae Ubaid Unkī Midĥat, Tujh Par Khudā Kī Ho Reĥmat
    Tū Ne Muqqadar Ye Pāya, Âqa Ka Mīlad Âya
     
  20. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Mai[n] Lab Kusha Nahī[n] Hoo[n]
    Professor Iqbāl Azīm rahmatullah ‘alayh

    -----

    Mai[n] Lab Kusha Nahī[n] Hoo[n] Aur Mehawe Iltija Hoo[n],
    Mai[n] Mehfil-e Haram Ke Aadaab Jaanata Hoo[n]

    Koyee Tu Aankh Waala Guzre Ka Is Taraf Se,
    Tayba Ke Raaste Mai[n], Mai[n] Muntazir Khara Hoo[n]

    Yeh Roshnī-sī Kya Hai Khushbū Kahā[n] Se Aayī,
    Shayid Mai[n] Chalte Chalte, Roze Thak Aa Gaya Hoo[n]

    Tayba Ke Sab Bhīkārī Pehchānte Hai[n] Mujhko,
    Mujhko Khabar Nahī[n] Thī Mai[n] Is Qadar Bara Hoo[n]

    Duuree-aw-Haazrī Mai[n] Ik Baat Mushtarak Hai,
    Kuch Khawāb Dekhta Tha, Kuch Khawāb Dekhta Hoo[n]

    Iqbāl Mujh Ko Ab-Bhī Mehsūs Ho Rahā Hai,
    Ke Roze Ke Saamne Hoo[n], Aur Na’at Par Raha Hoo[n]
     

Share This Page