Transliterated Islamic Poetry

Discussion in 'Poetry' started by Ridwi, Sep 9, 2011.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ne’matei[n] Baanth Jis Samt Wo Zeeshan Gaya,
    Syeddī Aála Hadrat Imām Aĥmad Razā’ raĥimahullah

    -----

    Ne’matei[n] Baanth Jis Samt Wo Zeeshan Gaya,
    Saath Hee Munshīye Reḥmat Ka Kalum-daan Gaya

    Le Khabar Jald Ke Ghayrau[n] Kī Taraf Dhiyān Gaya,
    Mere Mawla, Mere Âqa, Tere Qurbān Gaya

    Âh Woh Aankh Ke Na-Kaam Tamanna Hee Rahee,
    Haaye Woh Dil Jo Tere Dar-Se Pur Armān Gaya

    Dil Hai Woh Dil Jo Terī Yaad Se Ma’mūr Rahā,
    Sar Hai Woh Sar, Jo Tere Qadmau[n] Pe Qurbān Gaya

    Unhei[n] Jaana, Unhei[n] Maana, Na Rakha Ghayr Se Kaam,
    Lillah-hil Hamd Mai[n] Dunya Se Musalmaan Gaya

    Aur Tum Par Mere Âqa Kī ‘Ināyat Na-Sahee,
    Najdīyo Kalimah Parhāne Ka Bhī Eĥsān Gaya

    Aaj Le Unkī Panāh, Aaj Madad Maang Unse,
    Phir Na Maanei[n] Ge Qiyāmat Mai[n] Agar Maan Gaya

    Jaan-aw-Dil Haush-aw-Khirad Sab Tu Madīne Pohanche,
    Tum Nahī[n] Chalte Razā Saara Tu Saamān Gaya
     
  2. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Wah Kya Juud-aw-Karam Hai Shah-e Bat-ĥā Tera
    Imām Ahl as-Sunnah Imām Aĥmad Razā Khān raĥimahullah

    -----

    Wah Kya Juud-aw-Karam Hai Shah-e Bat-ĥā Tera
    Syeddī Aála Hadrat Imām Ahmad Razā’ raĥimahullah

    Wah Kya Juud-aw-Karam Hai Shah-e Bat-ĥā Terā,
    Nahī[n] Sunta Hee Nahī[n] Maangne Walā Terā

    Dhaare Chalte Hai[n] Atā Ke Woh Hai Qutra Terā,
    Taare Khilte Hai[n] Sakha Ke Woh Hai Zarrah Terā

    Fayz Hai Ya Shah-e Tasnīm Niralā Terā,
    Aap Piyasau[n] Ke Tajassus Mai[n] Hai Daryā Terā

    Mai[n] Tu Mālik Hee Kahūn Ga Ke Ho Mālik Ke Habīb,
    Ya’anī Meĥbūb aw Muĥibb Mai[n] Nahī[n] Merā Terā

    Tere Qadmau[n] Mai[n] Jo Hai[n] Ghayr Ka Moo[n] Kya Dekhei[n],
    Kau[n] Nazarau[n] Pe Chare Dekh Ke Talwā Terā

    Ek Mai[n] Kya? Mere Isiyaa[n] Kī Haqīqat Kitnī,
    Mujh Se Sau Lākh Ko Kāfī Hai Ishāra Terā

    Teri Sarkaar Mai[n] Laata Hai Rizā Usku Shafī’ ,
    Jo Merā Ghaus Hai Aur Lād’lā Beta Terā
     

Share This Page