it does not detract, but being from the noble lineage certainly adds! of course it is a special honour. anyway, that was not the intention here but we were asking for information purporses and is certainly an important aspect of one's biography.
even if he was not a sayyid it would not detract from his greatness as a great alim but i always thought he was. we mustn't get a sayyid fetish though like some of our brethren who use it as an excuse to look down their noses at non-sayyids... pir sayyid irfan shah sahib says something beautiful that being a sayyid gives you twice the rewards but also with it comes twice the responsibility and, if u sin, twice the punishment...
i have other books by the shaykh, some which include sayyid and some do not. i also faintly remember someone long ago saying that the shaykh was not sayyid - he could have been mistaken; or i could have forgotten. books which add sayyid on the title: - al kalimatu'l `ulya li iylai ilm al-mustafa : a wonderful read on the matter of ilm al-ghayb in urdu. ad-dawlah is too advanced, and this is a simplified version accessible to anybody who can read urdu. - riyaz e nayeem - sawaniH e karbala - khazayin al-irfan; a commentary on the qur'an. books that don't: - aTyab al-bayan raddi tafwiyatu'l eeman - kitab al-aqayid
i was not sure about it and was about to amend it shortly after verification. if i recall correctly, hashmi miyaN said in a speech some years ago: 'sadr al-afazil ban saktey ho, sayyid nahin ban saktey.' in fatawa riDawiyyah, vol.23, pg.712 [fatwa number. 354] alaHazrat is asked about an issue and mawlana nayimuddin is mentioned without the appellation of 'sayyid' whereas, usually such an appellation is mentioned particularly when referring to ulama. [if it is mentioned anywhere else, i do not know.] these statement are open to interpretation, and are not proof that he was not a sayyid. yet, i wanted to verify it prior to stating it. nothing against the shaykh. raHimahullah wa raDiya anhu.
ay ibn e sa’ad rayy ki hukumat to kya milī zulm o jafa ki jald hi tujh ko sazaa milī ay shimr e naabakaar, shahīdoN key khuun sey kaysī sazā tujhe abhi ay naasazā milī ay tishna gaane khuun e jawānān e ahl e bayt dekhā ? key tum ko zulm ki kaysī saza milī kuttoN ki taraH lāsheN tumhārī saDā kiye ghūDī pey gor ko bhi tumhārī na jā milī ruswāy e khalq ho gaye barbād ho gaye mardūdo tum ko zillat e har do sarā milī tum ne ujāDa hazrat e zahrā ka būstāN tum khud ujaD gaye tumheN ye bad’duá milī dunyā parstO deen se muNh moD kar tumheN dunyā milī na áysh o tarab kī hawā milī aakhir dikhāya rang shahīdoN key khuun ney sar kaT gaye amaaN na tumheN ik zara milī paayī hai kyā naýīm unhoN ney abhī sazā dekheN gey woh jaĥīm meiN jis dam sazā milī
manqibat imam husayn raDiyallahu ta'ala anhu aabid e kibriyaa, imām ĥusayn zahid e bey-riyaa, imām ĥusayn gul e gulzār e sayyid e aalam mah jabeeN khush liqaa imām ĥusayn hazrat e fatimah key nuur e nazar deen haqq kee ziyaa imām ĥusayn qurratu’l ayn e hazrat e haydar sayyid e awliyaa imām ĥusayn sibT e akbar ke raahat e dil o jaaN quwwat e mujtabaa imām ĥusayn deen key peshwaa imām ĥusayn rahnumaa muqtadaa imām ĥusayn jumla as’ĥāb ke qaraar e dil waaris e anbiyaa imām ĥusayn jaaN nisaaraNe deen key sarkhayl haadi o peshwaa imām ĥusayn woh shahadat ko naaz ho jin par ahl e sabr o razaa imām ĥusayn sahib e adl o daad o hilm o karam taaj e ahl e sakhaa imām ĥusayn haami e deen o naasir e millat deen Haqq par fidaa imām ĥusayn karbala ki zameeN pey khuuN se likhaa tum ney naam e wafaa imām ĥusayn tum ney dikhlaa diyaa zamaaney ko naqsh e sidq o safaa imām ĥusayn dhuum aalam meiN hai shujāát kee kaam aysaa kiyaa imām ĥusayn kaysey kaysey sitam huwey tum par aashiq e kibriyaa imām ĥusayn raah haq meiN kaTaya sab kunbaa marHabah marHabah imām ĥusayn teen din tak pyaas meiN taDpaa teraa sab qaafilah imām ĥusayn nau nihaal apney tumney nazr kiye fakhr e sabr o razaa imām ĥusayn fauj zaalim ki ruu siyaah huwee karkey zulm o jafaa imām ĥusayn teri sawlat sey terey a’adaa meiN tehlaka paDh gaya imām ĥusayn teri talwaar ka jahaaN meiN hai aaj tak ghalghalaa imām ĥusayn kaTey har waar meiN parey ke parey ro diye ashqiyaa imām ĥusayn jalwah afroz karbalah meiN huwey sayyid e anbiyaa, imām ĥusayn [that is sayyid e anbiya AY imām ĥusayn] aap ko daayimi hayaat milee ay Imām e hudaa imām ĥusayn sab jahaN meiN tumhara qabzaa hai faatih e karbalaa imām ĥusayn saari khilqat meiN ho gaye ruswaa tere aadaa shahaa! imām ĥusayn saarey aalam ke mominoN ke liye rab sey keeje duaa imām ĥusayn aap sey rakhtey haiN umeed e karam ranj key mubtalaa, imām ĥusayn [again, ranj key mubtalaa ummeed rakhtey haiN AY imām ĥusayn] is nayeem e gunaah gaar pey lutf ay shah e asfiyaa imām ĥusayn ---------------------------------------------------------------------- disclaimer: some folk may think/claim that i am posting this just to ward off my 'recent behavior' that shows 'love' for yazid. the accusation that i love yazid is utterly false and an ugly slander. i don't deem it necessary clarify this; and do not care a bit for their unjust comments. we have always extolled and admired the bravery and sacrifice of imam husayn. i am not bothered with convincing anybody of my belief and this post is nothing to 'clarify' my position. it is as it has always been. wa billahi't tawfiq.
nalah kartey haiN aah kartey haiN yeh bhi koyi gunaah kartey haiN paaoN zakhmi huwey to honey do sar ko ham waqf e raah kartey haiN aap key hijr meiN aseer e alam giryah ay baadshaah kartey haiN dawr duuri ka duur ho jaaye yeh duáā sub’H gaah kartey haiN dil lagaana kisi sey laa haasil woh kisi sey nibaah kartey haiN garchey aasi haiN teri raHmat key hum umeed ay ilaah kartey haiN na-umeedi hai kaam kaafir kaa ya’s woh ruu siyaah kartey haiN aap key gham meiN jaan dee ham ney aap ko hum gawaah kartey haiN un ke husn e jameel kee tawseef anjum o mihr o maah kartey haiN haal e dil unsey kyaa kahey koyee sun ke woh waah waah kartey haiN husn e naa-paayedaar par yeh ghuruur but sitam bey-panaah kartey haiN ishq jo kartey hain paree-ruu sey naamah apnaa siyaah kartey haiN husn e faani bhi husn hai koyee umr ko kyuN tabaah kartey haiN husn e baatil pey naaz aur ghamzah kyuN yeh naamah siyaah kartey haiN aankh rakhtey haiN jo, nayimuddin dil sey ishq e ilaah kartey haiN
ujDey huwey diyār ko ársh e barīN banayeN to un pey fidā hai dil merā, naaz sey dil meiN aayeN to chahra e paak sey niqāb aap zaraa uThayeN to husn-e-khudā-numā ki shaan, shaan-e-khudā dikhāyeN to kushta e ishq sayyidaa, aap key naam par marey jalwah inheN dikhāyiye aap agar jilaayeN to dard o alam key mubtalaa, jin ki kahiN na ho dawaa dekheN woh shaan e kibriyaa, aap key dar pey aayeN to kartey haiN kis pey kuch sitam, kyuN ho kisi ko ranj o gham mawlid e Muşţafā ki ham, eyd agar manāyeN to bad haiN agarche ham huzur, aap ke haiN magar zaruur kis ko sunayeN haal e dil tum nahiN sunayeN to aap key dar pey gar na aayeN, kaun sa dar hai jis pe jaayeN saamney kis key sar jhukaayeN, aap hameN bataayeN to? haal meraa tabaah hai, naamah meraa siyaah hai heych meraa gunaah hai, aap agar bachaayeN to dil ki muraad un ki deed; deed hai unki dil ki eyd eyd nahiN hai kuch bayeed, lutf sey gar bulayeN to sadmeN firaq o hijr key, kis sey yeh ghamzadah kahey tu hi agar karam karey, dard e nihaaN sunayeN to rafá haiN fat’ĥ key asar; peysh hain kasr key zirar zeyr ko keejiye zabar, naSb adad uThayeN to karney ko jaan o dil fidaa rozah e paak par shahaa pahunchey naýīm e bey nawaa, aap agar bulāyeN to
Sadr al-Afadil, the teacher of teachers in the last century, mawlana muhammad nayimuddin muradaabadi is a jurist, scholar, mufti, quranic exegete and an educator. he was also an excellent poet; a collection of his poems is named as 'riyaz e nayeem' / the 'garden of nayeem' or the 'garden of comfort.' --- here is a selection from his diwan.