Earn from website visiting

Discussion in 'General Topics' started by Muhammad Umair, Jan 4, 2023.

Tags:
Draft saved Draft deleted
  1. Muhammad Umair

    Muhammad Umair New Member

    please meray iss sawal ka jawab zaroor anayat farmaee k main abhi earn kar raha hoon par soochta hoon k earning apany istemal main laoon ya nahi



    main part time website visiting ki job karta hoon yeh iss tarhan ki job hai k platform par website owners task post kartay hain k main oon ki website par visit karoon aur kuch dehr oon ki website par serve karoon like 10 second iss par woh muhjay kuch pesay detay hain iss say oon ki website ki ranking google search engine par increase hoti hai jis say oon ko faida hota hai like oon ki popularity bahrti hai aur oon ki website tarffic bhi increase hoti hai toh kya main yeh job kar sakta hoon aur yeh bhi rehnumaee kar dain k kuch loog yeh job iss liye detay hain k oon ki website ki traffic iss liye increase ho k oon k business ki growth ho business like koi buy/sell ki website, koi blog joh oon k business ki growth karay, koi educational website aur kuch loog aisa bhi kartay hain k ads bhi laga letay hain jis say joh inn ki website ki traffic increase hoi hoti hai oos traffic k loog inn ki ads par click kartay hain jis say inhain google say pesay miltay hain par google ki kuch ads islam k lehaz say sahee nahi hoti like oon par bepardegeh hoti hai par mera sawal hai k website visiting say pehlay main yeh baat nahi janta k webiste ka owner ads lagaey gah ya nahi aur na hee mera oos say koi contact hota hai aur main earn karta rehta hoon kya iss tarhan mera earn karna halal hai
     

Share This Page