Hazrat Zubayr bin al-‘Awwām rađiyAllāhu ánhu

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by Ridwi, Oct 19, 2010.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Hazrat Zubayr bin al-‘Awwām rađiyAllāhu ánhu

    Ye Huzūr Aqdas śallAllāhu álayhi wa sallam kī phūphī Hazrat Safiyah rađiyAllāhu ánhuma ke farzind hai[n] is liye rishta mai[n] Shahenshāh Madīnah śallAllāhu álayhi wa sallam ke phūphī zaad bhai aur Hazrat Sayyidāh Khadījah rađiyAllāhu ánhuma ke bhatīje aur Hazrat Abū Bakr as-Siddīq rađiyAllāhu ánhu ke damaad hai[n]. yeh bhī ‘ashra mubashra ya’anī un das khush nasīb Sahâba kirām mai[n] se hai[n] jinko Huzūr Akram śallAllāhu álayhi wa sallam ne jannatī hone kī khush-khabrī sunāyī.

    Allâmah Abd-al Mustafa A’ázmī, Karāmāt-e Sahâba, pp. 94 - 95
     

Share This Page