Kya Îsā álayhis salâm wafāt pa-chuke hai[n]?

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by Ridwi, Oct 19, 2010.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    kufriyyah kalmāt ke bāre mai[n] suwāl jawāb, pp. 256 -257:

    -----

    Kya Îsā álayhis salâm wafāt pa-chuke hai[n]?

    jī nahī[n]. Âap ala nabīyyīna wa-álayhis salâtu wa as-salâm ne abhī zahirī wafāt nahī[n] paayee. Allāh azzawajal ne Âap ala nabīyyīna wa-álayhis salâtu wa as-salâm ko zindah âasman par utha liye hai.

    chunāche Sadr us-Sharī’á, Badr ut-Tarīqah Hazrat Allâmah Mawlana Muftī Muḥammad Amjad ‘Alī A’ázmī álayhi rahmatullah al-qawwī farmāte hai[n]:

    Îsā álayhis salâm ko Allah Ta’āla ne zinda âasman par utha liya [surah an-nisa’, ayat 157 mai[n] hai]:

    aur hai yeh ke unhau[n] ne na usse qatl kiya, aur na usse sūlī dee, balke unke liye uskī shabīh bana diya gaya

    mazīd issī sūrat kī âyat 158 mai[n] irshād hota hai:

    balke Allah ne usse apnī taraf utha liya.​

    fatâwah amjaddiyah, vol. 4, pp. 42
     

Share This Page