Assalaamu alaikum I have been looking for a translation of this Mubarak Shajarah Sharief. Has it been translated into English? Jazakallah Khair
Bismillāhi’r Raĥmāni’r Raĥīm silsilah e áāliyyah qādriyah barakatiyah rizwiyyah yā Ilāhi raĥm farmā Muşţafā ke wāstey yā RasūlAllāh karam kījey Khudā ke wāstey mushkileń ĥall kar shah e mushkil kushā ke wāstey kar balāyeń radd shahīd e karbalā ke wāstey sayyid e sajjād ke sadqey meiń sājid rakh hameń ílm e ĥaqq dey bāqir e ílm e hudā ke wāstey sidq e sadiq kā tasadduq sādiqu’l islām kar bey ghazab rāzi ho kāzim aur razā ke wāstey bahr e maárūf o sarī maárūf dey bey khud sarī jund e Ĥaqq meiń gin junayd e bā safā ke wāstey bahr e shibli sheyr e Ĥaqq dunyā ke kuttoń se bachā ek kā rakh ábd e Wāĥid bey riyā ke wāstey bu’l faraĥ kā sadqah kar gham ko faraĥ dey ĥusn o saád bu’l ĥasan aur bū saýid e saád zā ke wāstey qādrī kar qādrī rakh qadriyoń meiń uţhā qadr e ábdu’l Qādir e qudrat numā ke wāstey aĥsanAllāhu lahum rizqan sey dey rizq e ĥasan bandah e Razzāq tāju’l asfiyā ke wāstey nasr abī sāliĥ ka sadqah, sāliĥ o mansūr rakh dey ĥayāt e dīń muhiyy e jāń fazā ke wāstey tūr e írfān o úluww o ĥamd o ĥusnā o bahā dey áli, mūsā, ĥasan, aĥmed, bahā ke wāstey bahr e ibrāhīm mujh par nār e gham gulzār kar bhīk dey dātā bhikāri bādshā ke wāstey khāna e dil ko ziyā dey rūye īmāń ko jamāl shah ziyā mawlā jamālu’l awliyā ke wāstey dey muĥammad ke liye, rozī kar aĥmed ke liye khwān e fazlullāh se ĥissah gadā ke wāstey dīn o dunyā ke mujhe barkāt dey barkāt sey íshq e ĥaqq dey íshqī e íshq antumā ke wāstey ĥubb e ahl e bayt dey aāl e muĥammad ke liye kar shahīd e íshq ĥamzah peyshwā ke wāstey dil ko açcha tan ko suthrā jān ko pur nūr kar açchey pyāre shams e dīń badru’l úlā ke wāstey do jahān meiń khādim e aāl e Rasūlullāh kar ĥazrat e aāl e Rasūl e muqtadā ke wāstey sadqah in aáyāń kā dey çhe áyn: ízz, ílm o ámal áfw o írfāń áāfiyat aĥmed razā ke wāstey