Sukhn-e Raza: Ya Elahi Har Jaga Teri Ata

Discussion in 'Transliterated Urdu' started by Ridwi, Mar 12, 2010.

Draft saved Draft deleted
  1. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahi Nā’ma-e A’māl Jab Khulne Lagei[n], ‘Ayb Paush-e Khal’q Sattar-e Khatā’ Ka Saath Ho

    nā’ma-e a’māl: record of deeds

    na’mah: tehrīr kitāb

    a’māl: kaam [actions, acts]

    ‘ayb: burayee [sin, vice, fault, defect]

    paush: chupāne wāle

    khal’q: mahklūqāt

    sattar: chupāne wāla [one who conceals faults]

    khatā’: ghala’tī

    matlab ash’ār:
    Ae Rabbil-Aalimīn mere a’māl kī Kitāb jab dekhī jaaye tu makhlūq ke ‘ayb chupāne wāle ghala’tīo[n] ko paushī’dah [concealed, hidden] rakhne wāle Aaqa ka saath ho.
     
  2. chisti-raza

    chisti-raza Veteran

    this is good (my opinion anyway). please, keep it coming.
     
  3. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahi gar’mī-e mehshar se jab bharkei[n] badan, daaman-e mehbūb ki thandī hawa ka saath ho

    bharkei[n]: jhalne lagei[n]

    daaman: qamīs ka neeche latke hua hissa

    matlab ash’ār:
    Ae Allah qiyamat ke din jab gar’mī se badan jhalne lagei[n] tu daaman-e Mustafa şallAllāhu álayhi wa sallam kī thandī hawa farma dena
     
  4. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahī Sard-Muhrī Par Ho Jab Khur-shīd-e Hashr, Sayyid-e be Sāyah Ke Zil-le Liwa Ka Saath Ho

    sard-muhrī: be-marwat be-wafa hona

    khur-shīd: sūraj

    hashr: rawz-e qiyamat

    sayyid: sardār

    be-sāyah: jin ke jism ka sāyah na tha

    zil: sāyah

    liwa: ilm, jhanda

    matlab ash’ār:
    Ya Allah jab sūraj qiyamat ke din be-wafayee se apnī tesh ziyada kar de [is kī gar’mī se damaag hāndhī kī tarah kholne lagei[n]] tu Sayyid be sayāh jin ke jism paak ka sayāh nahi[n] un ke jhande liwa-ul-hamd ke sayāh main jagah ‘ina’yat farma.
     
  5. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahi Jab Zū’bāne[n] Bahir Aayein Piyās’ Se, Sahib-e Kausar Sha-he Jood au ‘atā Ka Saath Ho​

    zū’bāne[n]: zū’bān kī jama’, jeeb

    kausar: hauz-e kausar jo duudh [milk] se ziyada sūfaid shaih’d [honey] se ziyada mī’thā [sweet] barf se ziyada thanda [cold].

    Jood: sakhā’wat [generosity]

    ‘atā: dene wala

    Matlab ash’ār:
    Ya Elahī qiyamat ke din sakht gar’mī [heat] kī wajah se piyās’[thirst] shadīd’ [intense, severe] ho aur zū’bāne[n] mūnh’[mouth] se bahir la’takne [hang] la’gee[n] tu Malik Hauz-e Kausar jin kī shaan main إِنَّآ أَعْطَيْنَاكَ ٱلْكَوْثَرَ nā’zil hu’ee jo Sultan-Ul Amibya Sayyid-Ul Mursilīn Sā’qī-e Kausar şallAllāhu álayhi wa sallam hain, unka saath ‘ina’yat farma tā-keh hum gar’mī-e Mehshar se mahfūz rahai[n].
     
  6. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahī Jab pare Mehshar Main Shaur-e Daar-au Geer, Am’n Dene Waale Pyāre Pesh’wa ka Saath Ho

    mehshar: qiyamat ka din [day of resurrection]

    am’n: panāh [protect]

    pesh’wa: rehbar [leader, guide] wa rehnuma

    Matlab ash’ar:
    Qiyamat ke din jab gunaah gaaro[n] kī pakar ka shaur-au gul macha ho, tu rehbar wa rehnuma Sha’fī Roz-e Jaza Muhammadur Rasulullah şallAllāhu álayhi wa sallam kī Ae Elāhul-alimīn qur’bat [nearness] ‘ina’yat [gift] farma dena. Amin!
     
  7. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahī Gaur Teerah Kī Jab Aaye Sakh’t Raat, Unke Pyare Moo[n] Kī Subhe Jā[n]-Fizā Ka Saath Ho
    gaur: qabr [grave]

    teerah: kāla, seyaah [dark, gloomy]

    sakh’t: mushkil, ka’thin [hard, difficult]

    jā[n]-fizā: rūh hiyāt ko bhar-hāne wāla

    Matlab ash’ār:
    Ae Allah jab qabr main raat kī tarah sakh’t andhera ho tu ru’ye taa’baa[n] subh-e darshaa[n] Jaan-e Aa’lam şallAllāhu álayhi wa sallam ka saath ho.
     
  8. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahi Bhool Jaoon Naz’a Kee Taklīf Ko, Shaadī-e Dīdār Husn-e Mustafa Ka Saath Ho
    naz'a: mawt

    taklīf: dukh, dard

    shaadi: khushī

    didar: darshan, nazarah

    husn: jau-bun, khoobsuratī

    Matlab ash’ār:
    Muhsin-e Aa’zam Nūr-e Mujassim Rehmat-e Aalam sallallahu alayhi wasallam ke dīdār kī khushī main ae aa’limīn! Main maut kī sha-dīd taklīf ko bilkul faramaush kar doo. Qabr main Munkar Nakīr har marne waale se teen [3] sawal karte hain:

    [1] man rabbuka: tera rab kaun hai?
    [2] maa deenuka: tera deen kya hai?
    [3] maa takūlu fī haqq-e ha-zal rajul: tū in ke bare main kya kehta tha?

    Is teesre sawal ki teen [3] suratein hain:

    [1] Kafir ko Aap kī shabīh dekha kar sawal hoga
    [2] Aam musalmān kī qabr se Huzūr Sallallahu alayhi Wasallam ke Roza-e At-har tak hijābāt utha kar Sarkār ka dīdar kara ke sawal hoga
    [3] Ushaaq ki qabr main Huzūr Sallallahu alayhi Wasallam tashreef laa-yein ge, tu Aashiq kahe ga ha-za Aa-qa’ee wa Mawla-ee Muhammad RasoolAllah Sallallahu alayhi Wasallam hain.

    Kafir kahe ga: haa haa laa adree

    Deobandi kahe ga: yeh bare bhai hain aur jawab qabr main fail ho jaaye ga.

    Munkar Nakir Aashiq se kahein ge: sau ja dulhan kee tarah sau ja.

    Aur Kafir munkar par azaab ke darwaaze khaul dein ge.
     
  9. Ridwi

    Ridwi Well-Known Member

    Ya Elahī Har Jaga Terī Atā Ka Saath Ho, Jab Par’e Mushkil Sha-he Mushkil Kusha Ka Saath Ho

    atā: Bakshish, sakhāwat

    Mushkil: Dushwarī, musībat

    Sha-he: Shah Ka Mau-khufuf

    Kusha: Kohlne wala, rāhat dene wala

    Matlab ash’ār:
    Hameh waqt Ya elahī teri bahkshish mere saat ho main agar kisī mushkil main puhns ja’oo tu shah mushkil kusha Rehmat-e Aa’lam Sallallahu alayhi Wasallam kī madad mushkil kusha’yee ka saath ho.
     

Share This Page