aashiyaaN apna gulistaaN se uTha ley bulbul !

abu nibras

Staff member
assalm`alaikum,



I hope those who understand urdu will enjoy this sublime piece of sufiyaana kalaam.

<center>

aashiyaaN apna gulistaaN se uTha ley bulbul

baagh ko choR de jangal ki hawaa ley bulbul



baagh.baaN ka hai sitam doosra saiyyad ka zulm

jaan in donoN ke haathouN se bachaa ley bulbul



hogee maloom tujhe us ghaRi sab qadr.e.bahaar

jab tu paD jaayegi saiyyad ke paaley bulbul



chah.chahaa karti hai kya us sey nahiN kuch haasil

misl.e.parwaana par.o.baal jalaa ley bulbul



paaye.daari hai kahaaN sohbat.e.gul hai dil chaar

uski boo.baas tu apney meiN basaa ley bulbul



baith ik jaaye tu bas karke tasawwur gul kaa

kyuN uRee phirti hai har jhaaR ke daaley bulbul



gul.e.maqsood ki hai chaah to kar choNch ko band

ghuNcha sa aap ko :Khamosh: bana ley bulbul




------

</center>

Taken from the Diwan of arif billah Hazrat Sayyid Shah Muinuddin Hussaini Shah Khamosh quddisa sirruh.



courtesy : http://shahkhamosh.blogspot.com



--abu nibras
 
Back
Top