yaad meiN jiski nahiN hosh-e-tan o jaaN humko
phir dikha de wo rukh ay mahr-e-farozaN humko
deyr se aap meiN aana nahiN milta hai humeN
kya hi khud rafta kiyaa jalwa-e-jaaNaaN humko
jis tabassum ne gulistaaN pe giraayi bijli
phir dikha de wo adaa-e-gul-e-khandaN humko
kaash aawiza-e-qindeel-e-madina ho wo dil
jiski sozish ne kiyaa rashk-e-charaaghaN humko
`arsh jis khubi-e-raftaar ka paamaal huwa
do qadam chal ke dikha sarw-e-khiraamaN humko
khawf hai sam`a kharaashi-e-sag-e-Tayba kaa
warna kyaa yaad nahiN naala O afghaaN humko
khaak ho jaayeN dar-e-paak pe hasrat miTjaay
yaa ilaahi na phiraa be sar O saamaN humko
khaar-e-Sahray-e-madinah na nikal jaaye kahiN
waHshat-e-dil na phiraa koh o bayaabaN humko
tang aaye haiN do aalam teri betaabi sey
cheyn lene de tap-e-seena-e-sozaN humko
paaOn ghirbaal huwe raah-e-madinah na mili
ay junuN ab to mile rukhsat-e-zindaaN humko
mere har zakhm-e-jigar se yahi aati hai Sadaa
ay maleeH-e-`arabi kar de namak daaN humko
sayr gulshan se aseeran-e-qafas ko kyaa kaam
na dey takleef-e-chaman bulbul-e-bustaaN humko
sham`a-e-Tayba se maiN parwaana raHun kab tak duur
haaN jalaa de sharar-e-aatash-e-pinhaaN humko
jab se aankhoN meiN samayi hai madiney ki bahaar
nazar aate haiN khazaaN deeda gulistaN humko
gar lab-e-paak se iqraar-e-shafa`at ho jaay
yuN na beycheyn rakhe joshis-e-`iSyaaN humko
nayyir-e-Hashr ne ik aag lagaa rakhi hai
tez hai dhuup miley saaya-e-daamaaN humko
raHm farmayiye yaa shaah ke ab taab nahiN
taa bake khuuN rulaye gham-e-hijraaN humko
chaak daamaN pe na thak jayiyo ay dast-e-junuN
purze karnaa hai abhi jayb o gariybaN humko
parda us chahra-e-anwar se uTha kar ik baar
apna aayina banaa ay mah-e-taabaaN humko
ay raza waSf-e-rukh-e-paak sunaa ne ke liye
nazr dete haiN chaman murgh-e-ghazal khwaaN humko