Salto-Salaam
1)
Lakho durood aap par Lakho salm aap par,
Zato safat ko apki haq ne quran bana diya,
oozo sharaf pe aap ko arh charan ko chugaya,
Lakho durood aap par Lakho salm aap par.
Madare kaynat ne noore bashar hai kab jana,
noori adaon se apki ishq khuda ko hogya,

noor me dhale jism ko mim se dhape shakl ko,
parda ye jab uthgaya shakl thi ek naam do,

arsh farsh ye subah sham aap ke kul jahan ghulam,
haq ne diya hai ye maqam kaule khuda tera kalam,

leke salame johari de do sakune zindagi,
roz nahi to aye nabi karna karam kabhi kabhi,
Lakho durood aap par Lakho salm aap par,.
2) Tarif-e-Fazle Rehma Sarkar
Noor tha noore khuda noor-e-rehmani bana,
fazle tha fazle khuda ka fazl-e-rehmani bana,
is kadhar mehboob ho mehboob ke mehboob ho,
kyun na ho mehboob jab mehboob-e-subhani bana.
3)
Ki mana ki sub kuch to waliyon ki hateli main hai,
aur fazl-e-rehma ne jisko chmka diya wo bareliy main hai.
Mankabat
1)
Sataya hai gardisho naisun jaye
mujhe ghum se akar chudajaeye.
Mukhalif hai hawain kahin tofan ghere
jahan Fazle Rehma hai ajaye.
Nazar se Nazar to bahut milchuki
Munasib hai be parda ajaeye.
Namze Ishq main padhta hun lakin
jahan sar jhuke aap ajaye.
farishto ne ghera hai janch horahi hai
shifarish khuda se to karjaeye.
Dawain duai khatam ho chuki
Sambhal jaye halat jo ajaeye.
sukun jab na pao to jaldi se johar
Dare Fazl-e-Rehma par ajaeye.
2)
Aye Mere fazl-e-Rehma Karam kijye, aap ke dar pe har saal ata rahu,
Aap ke mankabat aap ke samne ba adab hoke dil se sunata rahun.
Aap ka dar dare rehmate kibriya, hai yahi kaule pake habi-e-khuda,
khake darbar-e-akdas mijaye to,ankhon mai misle surma lagata rahun.
bhik de dijye jholi bhardijye, karke nazare karam shaad kardijye,
dast anwar mere sar pe rakh dijye, taki har daur mai muskarata rahun.
mere dil ke fasurda kali ab khile aap ke dar se sadka mujhe bhi mile,
main jahan bhi rahun jis jagah bhi rahun, aap ka pyara nagma sunata
rahun.
bahere Gausul wara aur khawja piya mang tu bhi dua danish benawa,
wo bade bad akidon se main na darun,aur rehmani parchum lehrata rahun.

ye mankabat Hazrat Afzalur Rehman urf Bhole miyan(rah) jo mere pir sahab bhi hai un par likhi gaye thi chote nana nai.
aap ka parda bahut hi zabardast tarike se hua hai aap ne gunjmuradabad sharif chod diya tha aur akele agra ke jama masjid ke sidhiyon par 43 days ke chilla kiya tha bina kuch khaye piye app 43 days aise hi dhop, barish, main raat aur baithe rahein aur aap ne 43 din is dunyae fani se parda kiya, aap ko Fana Aur Baka dono ata hui, aap ka jism akdas jab wapas laya gaya gunjmuradabad sharif 3 din bad, aap ke jis akdas par moti kaye jum gaye thi aur aap ke jism ko kuch bhi nahi hua tha(subhanAllah) 3 din hone ke bawajood aisa lagraha tha ki aap sorahein hai,
ye mankabat unki taarif main mere chote nana ne like hai jo aap ka hal tha agra main usain bayan kiya hai.
aap ne parde ke 3 din baad jab aap ko ghusl diya jara tha apni ankh kholdi(subhanAllah) aur aur jo log ghusl de rahe the unko dekha aur muskuraye aisa ap ne 3 baar kiya aur phir hamesha ke liye ankh band karli.
Ise ye malim hoata hai ki Allah wale Marne Ke Baad bhi zinda hai, bus ye ek jagah se dosri jagah chale jate hai is liye ise jab koi guzarta hai to kaha jata hai ki parda karliya hai.
Is Hayat-e-maut par hairat ki koi ja nahi,
noor-e-rehma apne markaz ki taraf khichta chalagaya.
tham kar akhri ayaam ke ye aye rafiq,
markaze bala se hatkar khak par baitha raha.
deen duniya zadiye manzil na koi rasta,
wehmo ghuma yakin na rahat na asq na aah.
na paidh har maah tha na din tha na raat thi,
lab se nikal raha tha har sans la ilaha ill lal laa.
wo alame sakut tha par na tha jamood,
tanhai thi par na tha tanhai ka wajood.
kamosh mehwe haq the nazare jhuki hui,
dedar mustafa ke the nighaon main sujood.
nafs par kis tarah kaboo ho ye dikhla diya humko,
tarke duniya kaise ho samjhya diya humko.
kanaat isko kehte hai na bori hai na bistar hai,
fana-fil-laah ka shaheed tehra yun thera diya khudko.
Mashiyate ilahi par khamosh the warna,
huroon malak apne daman se hawa karte.