a qasidah by sayyidi abdullah ibn alawi al-haddad

Discussion in 'Tasawwuf / Adab / Akhlaq' started by Aqdas, Aug 5, 2020.

Draft saved Draft deleted
  1. Aqdas

    Aqdas Staff Member

    Who translated into Urdu?
     
  2. is it okay if i reproduce this?

    this is amazing. jazakAllah sidi abu hasan!
     
  3. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    sadfadsfdsafasfddsafdsafdsafdsaf
     

    Attached Files:

    • 1.png
      1.png
      File size:
      25 KB
      Views:
      1,101
    • 2.png
      2.png
      File size:
      25.4 KB
      Views:
      688
    • 3.png
      3.png
      File size:
      8.4 KB
      Views:
      450
  4. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    BETA VERSION: CORRECTIONS PENDING


    ilzam bāba rabbik * wa’truk kulla dūn
    wa’s-al’hu’s salamah * min dāri’l futūn
    lā yađīq şadruk * fa’l ĥādith yahūn
    Allāhu’l muqaddir * wa’l áālam shu’uun
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn


    hold fast, the doorstep of your Lord * and leave everyone else
    ask the Lord, to vouchsafe * (you) from this world of trials
    do not feel constricted * agony will eventually pass
    Allah is the Decreer * of all the affairs in the creation
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    apne rabb ke dar ko lazim karlo * aur uskey siwa doosroN ko tark kardo
    us sey salamati talab karo * is fitney ke ghar se (ya’ani dunya)
    (mushkiloN se) tumhara seena tang na ho jaye * bi’l aakhir museebat Tal hi jaayegi
    Allāh táālā Muqaddir hai * aur ye aalam uskey kaamoN meiN se hai
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa

    ----
    fikrak wa’khtiyārak * dá-humā warāk
    wa’t tadbīru ayđan * wa’sh-had man barāk
    mawlāk al-muhaymin * innahū yarāk
    fawwiđ luh umūrak * wa aĥsin fi’z zunūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn

    your thoughts and your choice * leave them behind you
    and planning as well * and look at who brought you in this world
    it is your Lord, the Protector * for verily He is Seeing you
    leave your affairs in His care * and have a good opinion about your Lord
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    fikr aur apne ikhtiyar ko * apne peeche choR do
    aur tadbir bhi choR do * yeh dekho ke kawn tumheN dunyaN mein laya hai
    tumhara mawla hai, jo muhaymin hai * aur woh tum par raHmat ki nazar rakhta hai
    apne tamam kam uskey hawale kardo * aur us key baarey meiN neyk guman rakho
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa

    ----
    law wa lima wa kayf * qawlu dhī ĥamaq
    yátariđ ála’Allāh * alladhī khalaq
    wa qađā wa qaddar * kulla shayy bi-ĥaqq
    yā qalbī tanabbah * wa’truki’l mujūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn

    ‘if’ and ‘why’ and ‘how’ * are the questions, a fool asks
    for he criticises Allah táālā * He, who has created (everything)
    and has Judged, and Decreed * everything by His Infinite Justice
    o my heart! take heed * and leave this madness
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    ‘agar’ , ‘kyun’ aur ‘kaise’ * ye ahmaqoN key sawal haiN
    ye Allāh táālā par iytiraz hai * us par, jis ney khalq ko payda kiya
    aur Hukm farma chuka, taqdir likh di * haqq ke saath
    ay dil! zara hoshiyar ho jaa * aur is deewangi ko choR dey
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa

    qad đamin táālā * bi’r rizqi’l qawām
    fi’l kitābi’l munzal * nūrun li’l anām
    fa’r riđā farīđah * wa’s sakhaţ ĥarām
    wa’l qunūú rāĥah * wa’t ţamaá junūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn


    Allāh táālā has given assurance * for the sustenance (of creation)
    as said in His revealed book * a light for the worlds
    it is obligatory to be pleased with Him * and forbidden to be displeased with His decree
    contentment is comfort * and greed is madness
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    Allāh táālā ney zamanat li hai * tumheN rizq dene ki
    us kitab meiN iska zikr kiya hai * jo jahanoN ke liye nur hai
    us sey raazi rahna farz hai * aur naaraz hona haraam hai
    qana’at meiN raahat hai * aur hirs pagal-pan hai
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa


    anta wa’l khalāyiq * kulluhum ábīd
    wa’l ilāhu fīnā * yaf-ál mā yurīd
    hammuk wa’ghtimāmuk* wayĥak mā yufīd
    al-qađā taqaddam * fa’ghnami’s sukūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn


    you and the entire creation * are His slaves
    and the Lord Almighty * does what, He pleases (concerning our fate)
    your worry and trepidation * (woe unto you!) is of no use
    destiny has been preordained * so, avail the blessing of calmness
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    tum aur saari makhluq * sab uskey bandey haiN
    aur ilaah al-alamin hamare haq mein * jo chaahey woh karta hai
    tumhari pareshani, aur tumhara gham * afsos! kuch fayidah na dega
    qaza guzar chuki * bas, sukun meiN ghanimat jaan
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa


    wa’ladhī qusim lak * ĥāşilun ladayk
    al-ladhī li ghayrak * lan yaşil ilayk
    fa’shtaghil bi rabbik * wa’l ladhī álayk
    fī farđi’l ĥaqiqah * wa’sh sharáyi’l maşūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn


    that which is in your destiny * will surely be yours
    and that which is for others * will never be yours
    busy yourself in serving your Lord * and in matters that you are responsible
    in fulfilling the obligatory actions * and dutifully following the sacred law, shariah
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    jo teri qismat meiN hai * woh tujhe mil kar rahe ga
    aur jo doosre ke liye hai * hargiz tujhe na mile ga
    apne rabb (ki ita’at) meiN mashghul ho * aur us meiN jo tere zimmah hai
    farayiz meiN * aur is paak shari’at ki payrawi meiN
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa


    sharáyi’l muşţafā * al-hādī al-bashīr
    khatam al-anbiyā’a * al-badr al-munīr
    şallAllāhu álayhi * ar-rabb al-qadīr
    mā rīĥ as-şabā * mālat bi’l ghuşūn
    lā yakthur hammuk * mā quddir yakūn


    the way of mustafa, the Chosen One * the guide and the giver of glad tidings
    the seal of prophets * the dazzling shining full moon
    blessings of Allāh táālā upon him * the Lord, the Sustainer, the All-Powerful
    as long morning breeze blows * swaying the twigs in the trees
    do not worry too much * that which is destined, will come to pass

    ya’ani mustafa ki shariyat * jo haadi haiN, bisharat dene wale
    khatimul anbiya * roshan, badr e muneer
    durud bheje un par, Allah * jo rabb hai, qadeer hai
    jab tak sabaa chale * darakht ki daliyoN par
    pareshan hona choR de * jo taqdir meiN likha hai, wahi hogaa
     
    Last edited: Apr 30, 2013
    HASSAN, FaqirHaider and Aqdas like this.

Share This Page