durr-e mukhtār mai[n] hai: agar baccha akela ho tu saff mai[n] dākhil ho jāye. marāqī al-falāh mai[n] hai:…agar bacche ziyada na hau[n] tu bacha mardau[n] ke darmiyān khara ho jāye. ba’az be-‘ilm jo yeh zulm karte hai[n] ke larka pehle dākhil namāz hai, ab yeh aaye tu usse niyyat bandah hua hata kar kināre kar dete aur khud beech mai[n] khare ho jāte hai[n] yeh mahaz jihālat hai, issī tarah yeh khayāl ke larka barabr khara ho tu mard ki namaz na hogi galt-aw-khata hai jis kī kuch 'asl nahī[n]. fatawah razawiyyah, vol. 7, pp. 51