uthā do parda dekha do chehra ke nūr-e bārī hijāb maiN hai, zamāna tāreek ho raha hai ke mahr kab se niqāb maiN hai jalī jalī boo se uskee paida hai sauzash-e ‘ishq chashm wālā, kabāb âhū [aahoo] maiN bhī na paaya maza jo dil ke kabāb maiN hai unhee kee boo mā’ye saman hai unheeN ka jalwa chaman chaman hai, unheeN se gulshan mehak rahe haiN unheen kee rangat gulāb main hai siyāh libāsān-e daar-e dunya woh sabz paushān ‘arsh walā, har ik hai unke karam ka piyāsa yeh fayz unkee janāb main hai khare haiN munkir nakīr sar par na koyee ĥamee na koyee yaawar, bata do âkar mere payambar ke sakht mushkil jawāb maiN hai karīm aisa mila hai jiske khule haiN haath aur bhare khazāne, bata’o ae muflisau ke phir kyūN tumhāra dil iztirāb maiN hai karīm apne karam ka sadqa la’yeem be-qadr ko na sharma, tū aur rizā se ĥisāb lena, rizā bhī koyee ĥisāb maiN hai