English translation of the Naat "Shukar Khuda ke aaj ghadi iss safar ki hai"

Discussion in 'Hadayiq e Bakhshish' started by abu Hasan, Mar 20, 2007.

Draft saved Draft deleted
  1. abu Hasan

    abu Hasan Administrator

    shukr-e-khudā ke aaj ghaDi us safar ki hai
    jis par nisār jaan falāĥ-o-zafar ki hai

    garmi hai, tap hai, dard hai, kulfat safar ki hai
    na shukr yeh to dekh ázīmat kidhar ki hai

    man zāra turbatī wajabat lahu shafāátī

    un par durūd jin se navīd in bushar ki hai [bushra, pl.bushar]

    us ke tufayl ĥajj bhi khudā ney karā diye

    aşl-e-murād hāzri us pāk dar ki hai

    zikr-e-khudā jo un se judā chāho najdiyo

    wallāh zikr-e-ĥaqq nahiN kunji saqar ki hai

    bey unkey wāstey key khudā kuch átā karey

    ĥāshā ghalat ghalat; yeh hawas be başar ki hai

    jannat meiN ākey nār meiN jāta nahīN koyi

    shukr-e-khudā navīd najāt-o-zafar ki hai

    aagey rahī áta woh ba-qadr-e-talab to kya

    áadat yahāN umeed se bhi beeshtar ki hai

    bey māngey dene wāley ki niymat meiN gharq haiN

    māngey se jo miley kisey fahm us qadar ki hai?

    aa kuch sunā dey íshq ke boloN meiN ay razā

    mushtāq tab’á lazzat-e-soz-e-jigar ki hai
     
  2. Muslimah

    Muslimah New Member

    Shukar Khuda ke aaj ghadi iss safar ki hai
    Jis par nisaar jaan o falah zafar ki hai


    Thanks to Allah that the time for that journey has arrived
    That journey which is the essence of success

    Garmi hai tap hai dard hai kulfat safar ki hai
    Na shukr yeh to dekh Azeemat kidhar ki hai


    This journey is full of pain and difficulties
    O ungrateful! realize the magnificence of the destination you want to reach

    Man Zara Tubati Wajabat Lahu Shaf'atee (Hadith)
    Un par Durood jin se naveedan bashar ki hai


    My Intercession is obligatory on the one who has seen my Shrine (Hadith)
    Blessings be on Him Who has given mankind this good news

    Iss ke tufail Haj bhi Khuda ne karadiye
    Asl muraad Haazri Iss Pak Dar ki hai


    Through his intervention, Allah has enabled me to perform Hajj
    MY REAL AIM IS TO VISIT THE HOLY SHRINE

    Zikr-e-KHUDA INSE juda chaho najdiyo
    WALLAH Zikr e HAQ nahi kunji saqar ki hai


    O najdi! If you separate his remembrance from that of Allah
    By Allah! This is not remembrance of the Almighty but the key to hell


    Bey Inke waaste KHUDA kuch Ata karay
    Hasha ghalat yeh hoos bay-saqar ki hai


    If one thinks that Allah will grant anything without his intervention
    Not at all! This is the lust of the shortsighted

    Jannat me akay naar me jata nahi koee
    Shukar Khuda naveed najaat wa zafar ki hai


    Once entering Heaven (Riyaadul Jannah) one does not go to hell
    Thanks to Allah for this good news about salvation

    Agay rahi ataa woh bay qadar talab to kya
    Adat yahaan ummeed se bhi peshtar ki hai


    If my demands are fulfilled before I ask, so what?
    Here, I have the intention to get more than I wish

    Bay maange dene wale ki ne'mat me gharq hai
    Maange se jo mile fahem is qadar ki hai


    I am drowned in the Grace of the Generous who gives without asking
    Who can realize what can be obtained on asking?

    Aa kuch suna day Ishq ke bolaun me Ai Raza
    Mushtaq tab'ay lazzat soz-e-jigar ki hai


    Come on O Raza! Say something in the language of love
    I am longing to versify the feeling of my burning heart
     

Share This Page