La wa rabb-il ‘Arsh Jis Ko, Jo Mila Unse Mila, Buthtee Hai Kawnayn Mai[n] Ne’mat Rasūlullah Kee La wa rabb-il ‘Arsh: kasam hai ‘arsh ke Rabb kī Buthtee: taqsīm hotī Kawnayn: do jahān Matlab ash-aar Muftī Ghulâm Ḥasan Qâdrī: Kyū[n] nahī[n]? Mujhe ‘arsh ke Rabb kī kasam hai, jis ko jo ne’mat bhī miltī hai, Dar-e Rasūl se hee miltī hai. Dono jahān mai[n] RasûlAllâh śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam ke qadmau[n] ka sadqa hee ne’matei[n] baantee ja-rahee hai[n]. Aap śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam ne farmāya: Deta Allah hee hai, aur, taqsīm mai[n] hee karta hoo[n]. Koyee Salīqah Hai ‘Aarzoo Ka Na Bandagee Merī Bandagee Hai, Yeh Sab Tumhāra Karam Hai Âqa Ke Baat Ab Tak Banī Huee Hai, Kissī Ka Iḥsān Kyu[n] Uthayei[n], Kissī Ko Haalaat Kyū[n] Batāyein, Tumhee[n] Se Maangei[n] Ge, Tumhee Daw Ge Tumhāre Dar Se Hee Law-Lagee Hai [Sharh Hadayeq-e Bakshish, pp. 436]
Qabr Mai[n] Lehrāyei[n] Ge Ta-Ḥashr Chashme Noor Ke, Jalwah Farmā Hogī Jab Tal’at Rasūlullah Kee Lehrāna: jhūlna, jārī hona Tal’at: chehra, sūrat noorānī Matlab ash’aar Muftī Ghulām Ḥasan Qâdrī: Qabr mai[n] Âashiqān-e Mustafa śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam ke liye Huzūr álayhis salâm kī aamad par aap ke Chehra’ye Aqdas se noor ke aise jalwe uthei[n] ge jo jhandau[n] kī tarah mu’min kī qabr mai[n] ta-qiyāmat lehraate rahei[n] ge. Qabr mai[n] teesra [3rd] sawaal Huzūr álayhis salâm, ke mutaliq hoga aur Aap khud ba nafse nafīs wahā[n] tashrīf layei[n] ge [shabeeh dekhāyee jaaye, parde hatāye jayei[n] ya khud jalwah ghar hau[n], ek hee baat hai aur noor ke chashme ta-ḥashr mu’min kī qabr mai[n] lehrāne ke liye itna bhī kaafī hai. [Sharh Hadayeq-e Bakshish, pp. 435]
Arsh-e Haq Hai Masnad-e Rif’at Rasūlullah Kee, Dekhnī Hai Hashr Mai[n] ‘Izzat Rasūlullah Kee śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam masnad – gaddī, baithne kī jaga rif’at – bulandī hashr – qiyāmat ‘izzat – martaba wa muqām Matlab ash’aar Mawlana Sūfī Muhammad Awwal Qâdrī: Hazrat Muhammadur RasūlAllâh śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam kī bulandī darjāt ka muqām Allah ka ‘arsh-e Aázam hai, aur agar Aap śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam kī ‘izzat aw azmat dekhnī hai tu mīdān-e maḥshar mai[n] dekhna, us din tamām awwaleen aw akhireen jama’ honge. aur kisī safee aw khalīl aw najee aw kalīm zabeeh álayhis salatu wat taslīm ko bārgāh rabb al-‘izzat mai[n] hāzir ho kar shafa’at karne kī siq’qat nahī[n] hogī, sab yahee farmayei[n] ge: nafsī nafsī izhabu ilā ghayrī/[mujhe] aaj apnī jaan kī fikr hai kisī aur ke paas jao, magar, Âap śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam farmayei[n] ge: anā lahā mai[n] is kaam ya’nī shafā’at ke liye hoon aur Âap Bārgah-e Bārī ta’ala mai[n] hāzir ho kar ek tawīl sajdah farmayei[n] ge, tu Allah ta’ala farmaye ga: ae Muḥammad śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam! Aap sar uthay’ye, sawāl farmay’ye, aap ka sawāl pūra kiya jāye ga, aur shafā’at kariye, aap kī shafā’at qabūl kī jaaye gī. [Sukhn-e Razā, pp. 149] ----- Muftī Ghulām Ḥasan Qâdrī: Hum sab ne [apnau[n] aur begānau[n] ne, maanane walau[n] aur munkirau[n] ne bhī] ḥashr mai[n] Allah ke Maḥbūb álayhis salâm kī jo shaan [dunya mai[n] parhee aur hum maanane waale ho gaye, aur munkir parh kar bhī inkaarī ho gaye] apnī aankhau[n] se dekhnī hai ke Khuda ke ‘arsh mu’alla pe Huzūr [śallAllāhu álayhi wa âlihi wa sahbihī wa sallam] tekh laga kar tashrīf farma hau[n] ge. Kyūnke: Hai[n] Mazhar Zaat-e Haq, Rasūl-e Akram, Mukhtār aw Khalīfa’ye Khudāye ‘Aalam Sirf Unke Sabab Se Sab Aū’lul al-‘Azm Hue, Hazrat Îsa, Hazrat Mūsa, Hazrat Khalīl aw Nūh aw Âdam. [Jamīl ar-Rahmân Khān Razawī] Ahl-e ‘ishq aw muḥabbat aur ‘Úlamā rabbaniyeen tu farmaate hai[n] ke, Allah ta’ala ne ‘arsh ko banāya hee Maḥbūb ke liye hai, kyūnke ‘arsh tu baithne ke liye hai, aur Allah ta’ala baithne uthne se paak aur mubra hai. Qiyāmat ke din, Huzūr álayhis salâm aur Âap kī ‘ummat ko buland muqām pe bethāya jaaye ga. [riwahu Aḥmad, Tafsīr Ibn Jarīr] ‘Aalam Ka Unhee[n] Khuda Ne Sultān Kiyā, Jibra’īl Amee[n] Ko Unka Darbaan Kiyā Har Cheez Ka Ikhtiyār Unku De Kar, Kawnayn Ko Haq Ne Unka Mehmān Kiya [Jamīl ar-Rahmân Khan Razawī] Huzur álayhis salâm ne farmāya: mai[n] aur merī ummat qiyāmat ke din itnī bulandiyau[n] pe honge, ke har koyee ahl-e maḥshar mai[n] se khawāhish karega ke, kaash hum bhī un mai[n] se hote. Aisa Tujhe Khāliq Ne Tarah Daar Banāya, Yusūf Ko Tera Tālib-e Deedār Banāya Kawnayn Banāye Gaye Sarkaar Kī Khātir, Kawnayn Kī Khātir Tujhe Sarkaar Banāya Hazrat Abdullah bin Abbās rađiyAllāhu ánhuma farmāte hai[n]: Huzūr álayhis salâm ko qiyāmat ke din Allah ta’ala kī dayei[n] jaanib [noor kī] Kursī pe bethāya jaaye ga. InshâAllâh, hum sab ne: Dekhnī Hai Ḥashr Mai[n] [yeh] ‘Izzat Rasūlullah Kee Issi mauzu’ pe kissī ko parhne ka shawq ho tu Aála Hazrat hee ka risala Tajallī al-Yaqīn dekhei[n], dala’il ke daryā bahā diye hai[n] aur, burāheen ke anbaar lagā diye hai[n], aur – jis samt aa gaye hai[n] sikke jamā-diye hai[n]. [Sharh Hadayeq-e Bakshish, pp. 434- 435]