The Importance of Kalima and salato Salaam

Discussion in 'Poetry' started by mazhar_rk, Nov 27, 2007.

Draft saved Draft deleted
  1. mazhar_rk

    mazhar_rk Active Member

    Irafani Kalam written by my murshid Al Haj Khwaja Fazal Hussain
    Madari, Qadari, Chishti(rah).


    The Importance Of Kalima:

    Kalme se bana hai sara jahan kalme ki kali tum kya jano,
    ahmed wa ahad ka raaz hai ye kalme ki kali tum kya jano,

    kya zaat e nabuwat isme hai aur zaat e khuda bhi isme hai,
    jannat ismain hurain ismain kalme ki kali tum kya jano,

    Khusbhu is main nabiyon ki aur noor khuda bhi ismain hai,
    duniya ismain ukba ismain kalme ki kali tum kya jano,

    hai ismain Mohammad aur Ali aur Fatima pinha,
    hai ismain Hassan aur Hussain bhi khud kalme ki kali tum kya jano,

    hai arsho kursi ismai hai aur chand sitare ismain hai,
    aur noor-e-Mohammad aur noor-e-Khuda kalme ki kali tum kya jano,

    ya shah-e-Madar samjhya mujhe is duniya main ukba mai hai kya,
    takhlik-e- zamana hai kalme se kalme ki kali tum kya jano,

    izhar e khuda bhi is mai hai aur mehboob khuda aur pir bhi,
    yazdani liya khushbu iski kalmain ke kali tum kya jano.

    Irfani Kalaam:

    Shan Shana Rahe Dil Fakirana Rahe,
    Zahen main tera tasawur aur ghum se yarana rahe,

    Zindagi teri hi hai aur maut tere ishq mai,
    Hashr main tu samne aur tera mastana rahe,

    sakiya kausar zara nazre karam ho istaraf,
    jaam ho lub par mere aur rukh bhi shahana rahe,

    dum me dum ho aap ka aur dil mai ho tasweer e yaar,
    shakl rindo ke bane aur chehra rehmani rahe,

    hashar bhi hurein bhi jannat ka nazara bhi ho,
    gumbade khizra pe dil ab mera nazrana rahe,

    ya madar tera hi kehlata hun mai kadri,
    chishti zevar mera shakl yazdani rahe.



    Salto Salam Writeen by my pir Sahab Hazrat Sayed Shah Afzalur Rehman urf Bhole Miyan(raz)

    Salato Salaam:

    Auliya Naksh Kudrat Pe Lakho Salam,Panjatan Ki Sayadat Pe lakho Salam,
    Fazle Rehma Se Azmat Nabi Ki jo Sikhi,Is Mujadid KiJidad Pe Lakho Salam,
    Qadri,Nakshbandi Wa Chishti Gulon Ki,Karam Pash Nighat Pe Lakho Salam,
    Jise Biwi Zohra Banaye Hai Beta,Fazle Rehma Ki Nisbat Pe Lakho Salam.


    Ishq-E-Pir:

    Jo Bhi Chaho Wo Milega Ek Ishi Tatbir Se,
    Shart Ye Hai Ishq Karle Pahle Apne Pir Se,
    Wo Barzak Ho, Duniya Ho, Mehshar Ho, Ki Ukba Ho,
    Har Ek Manzil Main Sab Ko Zaroorat Hai Fazle Rehma Ki(SubhanAllah).
     

Share This Page